21. Khasara | خسارہ

229 15 8
                                    



Barish ki ek ek boond zameen par aisay gir rahi thi jaisay zameen kitne dino se pyasi ho aur aaj asman ke yeh ghanay badal zameen ki pyas bhuja rahay thay. Woh ussi tarah Islamabad ki uss sunsan sarak par khara tha aur bheeg raha tha , ankhein surkh thi aur usski pusht gaari kesath lagi hui thi aur ussne kan se phone lagaya hua tha.

"Agar meri biwi ke ek baal ko bhi nuqsan pohoncha toh yaqeen mano iss bar Hadeed Azam Khan tum sab par ek afat ban kar tootega"
Usski awaz buland hui thi aur lehjay mein aisi sakhti thi ke woh khud bhi hairan tha. Woh itna sakht toh nahi tha woh toh apne sabar aur istekamat keliye jana jata tha lekin shayad zindagi ne koyi kasar nahi chori thi iss bar usse sakht tareen chattan mein badalnay keliye.

Liza ko ghayab huay 24 ghanto se zyada waqt hochuka tha , Ab tak pooray sheher mein Barrister Rehman Malik ki beti ki gumshudgi ki khabrein phel chuki thi. Tamam comissioners aur ground officers har jagah naqa bandi karchukay thay lekin uss se bhi zyada mashkook cheez yeh thi ke Liza ke sath sath ek aur shakhs bhi lapata hochuka tha aur woh koyi aur nahi Sher Khan tha.

Hooriya taiz qadmon kesath apne baba ke office mein dakhil hui.

"Mujhe baba se milna hai kahan hai baba?"
Usski ankhein surkh thi.

"Mr.Sher Khan iss waqt office mein nahi hai Hooriya bibi"
Reception par bethay shakhs ne kaha toh ussi waqt ek daraz qad aur khush shakal shakhs Hooriya ki taraf barha.

"Is there any problem Miss Hooriya?"

"Aap kon?"

"Mein Wadan Hamdani Apke Hadi bhai ka business partner"

"Aap baba ke office mein kya kar rahay hain?"

"Kisi kam ke silsilay mein aya tha unse ek deal final karni thi but seems like he isn't around kafi der se wait kar raha hun unka"

Hooriya ne ek lambi sans li aur reception par bethay shakhs se mukhatib hui.

"Baba ke PA ko bulao mujhe bat karni hai uss se"

Itne mein Waris Shah jo Sher Khan ka PA woh aya.

"Kya hua hooriya bibi?"

"Baba kahan hai?"

"Out of the city gaye hain"

"Jhoot mat bolo mujhse! Achi tarah janti hun out of the city nahi gaye balkay kisi aur ganday khel ki tayari kar rahay hain kisi konay mein beth kar"
Hooriya do qadam aur qareeb ayi thi usske aur ghussay se usski ankhon mein dekh rahi thi jabkay Wadan Hamdani yeh sara manzar dilchaspi se dekh raha tha.

"Hooriya bibi ap kya keh rahi hain yeh? Relax hojayein ham beth kar baat kartay hain"

"Mujhe abhi issi waqt baba ki location batao , janay se pehle kya kaha tha unhon ne?"

"Mujhe sach mein nahi pata unki exact location unhon ne sirf itna hi bataya hai"

"Theek hai aisay nahi bataoge tum? Mr.Wadan can you do me a favour?"

"Yeah sure!"
Ussne gardan oonchi karke kaha tha.

"Police ko call karein aur arrest karwayein issko. Meri behen aur baba dono ghayab hai aur choonkay yeh jhoot pe jhoot bolay jarahy hain issliye main suspect ke tour par inko arrest kiya jasakta hai"

Wadan Hamdani tuktuki bandhay usse dekh raha tha. Hooriya Sher Khan ko baazi palatna ata tha.

"Acha mein batata hun apko Hooriya bibi aap itmenan rakhein........ Sher Khan Sahab kuch bandon ko sath lekar old warehouse ki taraf gaye hain unhon ne kaha tha mein kisi ko na bataun"

Hooriya ne bas itna suna aur taiz qadmon kesath bahar nikli jab ussi waqt Wadan bhi usske pheechay pheechay aya aur usske sath hi chaltay huay kaha.

"Meri gari mein chaltay hain apko old warehouse ka rasta shayad maloom na ho but mein uss jaga ko achi tarah se janta hun"

"Aap kesay jantay hain?"
Hooriya ne sawal kiya

"Apke baba ki personal jaga hai woh jahan woh kayi logon ki jan lechukay hain. You know its like a hell where he punishes every single person who goes against him"

Hooriya ka halak khushk hogaya , apne baap ki sachaiyan uss par khulti jarahi thi aur har karway sach ke inkishaf kesath ussko khud se ghin anay lagti ke woh Sher Khan Ki beti thi.

"Kya matlab jan lechukay hain?"

"I guess you have no idea but yeah your father runs a whole mafia group and performs illegal surgeries you know organ trafficking right? Your father is the head of that mafia group"
Wadan bari rawangi se bolta gaya aur Hooriya ke chehray ka rang har ek inkishaf kesath urta gaya.

_______________________

Ussay Laga woh khala mein Hai , Kisi aisi jaga Jo Haqeeqat aur Serab ke darmyan hai.
Sab jal raha Hai , Ek daymi aag Hai , ussnay uthnay Ki Koshish Ki magar uskay hath bandhay huay thay , ussay laga usskay phepray dhuwein Ki shiddat se phat jayein ge. Kya tha yeh sab ? Kya yeh wahi jahanam Hai jiski Allah ne nafarmanon ko waeed sunayi thi. Lekin Kya woh nafarman thi? Kya woh itni gunehgar thi ke ussay dunya mein hi jahanum Ki ek Jhalak dikhayi gayi thi. Kya Zindagi bas itni si Hai Ke ek din ek aag lagay gi aur sab Rakh hojayega? Ussay apni maa Ki Yad ayi thi , beshumar Yad , Kya woh unhi ke pas jarahi thi? Kya usski maa ne ussay apnay pas talab Kiya tha? Apni Zindagi ka Har acha bura waqya usski nazron ke samnay se guzar raha tha jaisay woh Kisi film ko rewind par dekh rahi ho. Ek tez awaz aati Hai aur Koyi mazboot Cheez usskay sar par agirti Hai , manzar achanak se khatam hojata Hai , kanon mein awazein ana band hogayi Hain ab , tareeki hi tareeki ab toh aag Ki tapish ya Sanson Ki Jalan bhi mehsoos nahi horahi.
Kya Hayat khatam shud hui?
Kya Talaash khatam shud hui?
Kya ab Haqeeqat aur Serab kay darmiyan Ki bareek lakeer mitgayi?
Ussi waqt uss aag ke sholon mein kisi ki harkat mehsoos hui , apne nazuk hathon se Hoor ne Liza ke zakhmi wajood ko uthaya aur apne khanday pe dal kar woh uss khandar si jagah ke darwazay se bahar ayi aur Liza ko bahar ghas par litaya barish ki boondein usske chehray par parnay lagi thi aur Liza ka besudh behosh chehra bhi barish se bheeg raha tha.

"Liza ankhein kholein please Liza!"
Hoor ne usske chehray ko thapthapaya tha.

Woh uss khandar ke bahar ek sunsan sa maidan tha , badalon ka saya cha chuka tha aur sooraj doob chuka tha , January ki barish har cheez ko bhigo rahi thi , Hooriya ki ankhon se ansoo behne lagay thay aur woh musalsal Liza ko hosh mein lanay ki koshishein kar rahi thi.

"Chor do usse ab tak marchuki hogi"
Pheechay se awaz ayi thi aur yeh awaz sun kar Hooriya ka khoon ubla tha ussne foran pheechay mur kar apni bap ki berehem ankhon mein ankhein dal kar dekha tha.

"Kisi ko toh bakhsh detay baba kisi ko toh bakhsh detay"
Hooriya ke halq se awaz bohat mushkil se nikli thi ansooyon aur siskiyon se usski awaz nam hochuki thi.

Sher Khan ne ek tanziya muskurahat kesath Liza ke behosh paray wajood jo barish se bheeg raha tha usski taraf nazar dorayi.

"Bakhsh deta issko agar Hadeed mere rastay mein nahi ata , khair ab chalo yahan se yeh jaga safe nahi police kisi bhi waqt ati hogi"
Sher Khan ne apni beti ka hath pakra tha magar Hooriya wahan se hil hi na payi aur ek jhatkay se apna hath churaya aur agle hi lamhay apne long coat ki jaib se revolver nikala.

"Kahan bhagein ge ap aur kab tak bhagein ge"
Hooriya ne apne kanptay huay hathon se revolver Sher Khan ki taraf kiya.

Sher Khan beyaqeeni se apni beti ko dekhta raha.

"Yeh iss sab ka waqt nahi hai , I know tum iss waqt shock mein ho but filhal chalo yahan se"

"Ek qadam bhi uthaya apne toh mein goli chalanay mein zara bhi dair nahi karoongi baba"
Hooriya ki ankhein surkh thi aur hath ab kanp nahi rahay thay balkay mazbooti se revolver ko pakray huay thay jaisay aaj usske andar ka sara khouf sara dar hi khatam hogaya ho.

____________________________________

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 05, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now