15• Nazrein | نظریں

235 17 14
                                    


Mayoos yun huay ke manana dushwar , Narazgi aisi ke hansana dushwar , ghussa hai itna ke muskan rooth jaye , par muskan
unki aisi ke dunya bhool jaye.

°°°°°°°

"Company kesi chal rahi hai?"
Rehman Sahab ne Hadeed ki taraf dekh kar phoocha jo unhi ke mukhalif lounge ke sofay par Aaryan kesath betha tha , chehray par wahi sanjeedgi magar sanjeedgi aisi jismein uljhan ab shayad kaafi had tak kam hogayi thi.

"Sab theek chal raha hai"

"Azam jahan bhi hoga tum par bohat fakhar karta hoga Hadeed , tumne usske naam o namoos ki hifazat ki hai , apne dam par itna kuch kiya hai"

Hadeed zara sa muskuraya shayad aaj tak kisi ne usse yeh nahi kaha tha ke usska baap uss par fakhar karta hoga.

Yeh alfaaz naye thay usske liye aur jo bhi tha usske dil ko naram kargaye thay magar uss uljhan ka kya jo ab bhi uss mein kahin na kahin baaqi thi.

"Chalo bachon tum dono rest kar lo Kaafi lamba safar tae karke aye ho , mein kal ke apne case keliye zara files study karta hun"
Rehman Sahab uthnay hi lagay thay jab jatay jatay unhon ne sofay ke konay par ek dam besudh bethay Aaryan ko dekha. Khamoshi waqayi Aaryan Rehman Malik par suit nahi karti thi.

Rehman Sahab ne usske khanday par hath rakha.

"Aaryan?"

Ussne nazar utha kar unhein dekha.

"G baba!"

Rehman Sahab ne kuch tafteeshi nazron se apne betay ko dekha aur phir muskuraye.

"Tumhara blog dekha mein ne , tumhein toh kaafi professional companies se offer arahi hain brands ki photography keliye"

Aaryan ne halka sa sar hilaya aur dheema sa muskuraya.

"Then what are you waiting for? Go for it!"

Aaryan kuch dair soch mein pargaya.

Rehman Sahab phir uss se mukhatib huay?

"Sab theek hai na?"
Rehman Malik chahay sheher ka jitna hi bara barrister kiun na tha , chahay aaj tak kitna hi busy kiun na raha ho woh, magar apne bachon ke chehray ke har tasur se waqif tha.

"I'll definitely think about it baba"
Aaryan ne unhein ek convincing muskurahat kesath dekha.

________________________

Hooriya ke turkey mein exhibition ke bad se usske liye bohat kuch badal gaya tha woh Islamabad hi mein ek namwar art firm ki ek permanent member banchuki thi.

Yahi toh chahiye tha usse , usse zindagi mein rang chahiye thay aur usse woh rang milgaye thay ya phir abhi bhi kuch rang charhna baaqi tha.

Woh baal ek dheelay se bun mein bandhay hui , stool par canvas ke bilkul samnay bethi thi.

Kuch ramg bharnay thay ussne par samajh nahi araha tha issi liye ussi tarah khali canvas ko apni bari bari ankhon se dekh rahi thi jab usse kuch yad aya.

"Tumhein na taza hawa ki zaroorat hai , aisi kisi khuli jaga par janay ki zaroorat hai jahan parindon ki halki chehchahat ho , samandar ki lehron ka shor ho , saaf asman ho , darakhton aur phoolon ka dhair ho Artists ko aisi jagayein bohat influence karti hun"

"Ek second ek second Kya abhi kuch dair pehle Mr.Aaryan ne ek sensible bat ki baghair mera mazaq uraye?"
Hoor shararat bharay andaz mein boli.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now