11• AŞK | عشق

221 26 54
                                    


میں ملاقات کرکے آیا ہوں
آج ہی بات کرکے آیا ہوں

کیا ہے اظہار اب محبت کا
اب شروعات کرکے آیا ہوں

پیار دشوار ہے اسے کرنا
پیدا حالات کرکے آیا ہوں

~

"Unhein aaj bhi yeh lagta hai woh sahi hain , aur mujhy aaj bhi yeh lagta hai woh ghalat hain , kesa Imtehan hai yeh meray khuda , un logon ki ankhon mein dekhna jo aapse itni muhabbat kartay hain yeh jantay huay ke ek din woh aapse nafrat karnay lagein ge , aisa kiun hai ke apnay baba ke kiye ki saza mein bhugat rahi hun , aisa kiun hai ke unka zameer pursukoon neend mein hai aur mera zameer mujhay sonay nahi deta....."

Hoor apnay kamray ki khirki ke ahatay mein bethi apni diary mein kuch likh rahi thi jab Liza achanak se usske kamray mein ayi.

"Hoor mera overall nahi mil raha tumne dekh kahin?"
Liza andar ake boli.

Hoor ne apni diary foran drawer mein rakhi aur drawer band kiya.

"Han woh laundry se kapray aye thay toh ghalti se meray wardrobe mein agaye honge apke kuch kapray... aap jayein mein laati hun"
Hoor harbarahat mein boli.

"Acha sahi hai woh choro tum yahan betho ...."
Liza usske pas akar boli.
"Kuch hua hai kya?"
Liza ne uss se phoocha.

"Nahi kuch bhi toh nahi kya matlab?"
Hoor nazrein idhar udhar pher kar boli shayad iss waqt Liza ki ankhon mein nahi dekh sakti thi kiunke woh janti thi Liza ke samnay usske ankhon se ansoo behne lagein ge.

"Sher Khan Uncle se baat hui tumhari?"

Hoor ne foran liza ki taraf dekha.

"Nahi kiun?"
Hoor ne harbarahat mein phoocha.

"Sher Khan uncle naraz hain tumse kya ? Asiya Aunty se bat hoti hai tumhari aur Uncle se nahi aisa kiun?"
Liza ne phoocha.

"Woh mujhse naraz nahi mein unse naraz hun"
Hoor ne khirki se bahar dekhtay huay kaha.

Liza ko kuch ajeeb mehsoos hua woh janti thi ke Hooriya kabhi kisi se itni asani se naraz nahi hoti thi , zaroor koyi bari wajah hogi aur phir Hoor toh bachpan hi se apni mama se zyada baba se close rahi hai.

"Tum kiun naraz ho unse?"

"Pata nahi"

"Arrey aisay kesay pata nahi ... tum ruko mein abhi uncle ko call karti hun aur tum dono ke beech ki saari problems aisay jhat se solve karti hun"
Liza usska mood acha karnay keliye boli aur hooriya ka phone side table se uthaya.

"Kya kar rahi hain Liza aap ? Mat karein unko call mujhay nahi karni unse baat"

"Aisa thori na hota hai hoor .... aur tum mujhse cheezein kabse chupanay lagi ho agar mein khud na phoochti toh mujhe kabhi pata hi nahi chalta ke tum apne baba se naraz ho kisi bat par"

"I am sorry aap khafa mat hon mujhse.... mein bas bat nahi karna chahti thi iss baray mein"
Hoor ne Liza ki taraf dekh kar kaha.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now