12• Aashna | آشنا

258 22 24
                                    

°°°°°°°

میں گلہ تیری ذات سے کیسے نہ کروں
تیری تو دنیا تھی ، میرا تو بس ایک تو ہی تھا

Mein gila teri zaat se kesay na karun
Teri toh dunya thi mera toh bas ek tu hi tha

°°°°°°°


"Tumhari paintings ka kya bana? Exhibition tak mukammal hojayeingi?"
Aaryan apni black leather jacket ki jaibon mein hath diye hua tha aur ahista qadmon kesath isteklal street ki hujoom kesath barh raha tha.

"Han hojeyeingi ...... hmm tumne mujhe apni photography nahi dikhayi"
Hoor apnay jhooltay huay balon ko sambhaltay huay boli.

"Dikhaunga kisi din"
Aaryan dheemay lehjay mein bola.

"Kisi din kiun? Aaj kiun nahi?"

"Un mein kuch bohat khas tasweerein hain , waqt anay par hi dikhaunga woh tumhein"

Hoor ne Aaryan ki taraf mur kar dekha aur dono ki nazrein kuch dair keliye mili.

"Ek bat phoochun?"
Hoor ne ussay mukhatib kiya.

"Jitni marzi phooch lo"

"Nahi mujhe Ek hi phoochni hai"

Un dono ka lafzon ka takrar jari tha.

"Phoocho phir"

"Tum aaj kal itnay khamosh tabiyat ke kiun hogaye ho , kahin khoye khoye se ho"

Hoor ke sawal par Aaryan halka sa muskuraya , woh muskurahat nahi thi , mehez Ek khushi ka ehsas tha ke koyi tha jo usski zara si khamoshi ko bhi mehsoos karsakta tha.

"Toh kya tumhein mein aisay khamosh acha nahi lagta?"
Aaryan ki nazrein ab usske chehray par tikki thi , kisi cheez ki muntazir thi usski nigahein.

"Nahin mujhe wahi larta jhagarta Aaryan zyada acha lagta hai , jo mujhay hansata tha mujhay ghussa dilata tha , woh Aaryan mujhay zyada acha lagta hai"
Hoor ke chehray par koyi tasur nahi tha par usski awaz mein jo ehsas tha wph sirf Aaryan hi mehsoos karsakta tha.

"Woh Aaryan kiun acha lagta hai tumhein?"
Ussne ek aur sawal kiya , kitne sawalat thay in dono ke beech.

"Mein jab bachpan mein America se Pakistan shift hui , mein ek bohat sehmi si bachi thi jo har bat pe rodeti thi , khudke liye larna kabhi nahi seekha , jab tumse aur Liza se mili toh tum dono mein ek apnay sabse achay doston ko paya mein ne , aur tum Aaryan tumne toh mujhe bohat kuch sikhaya hai , koyi bhi problem hoti meri life mein toh hamesha tumne mujhe uss se khud larnay keliye agay kiya , tum hotay thay meray sath , meray pas , door se mera khayal rakhtay , kabhi show nahi kartay lekin meray hamesha meray muhafız rahay."

Hoor ke chehray par muskurahat poori bat ke doran qayam rahi jabkay Aaryan ki ankhon mein ansoo thay.

Akhri bar Aaryan kab roya tha? Shayad apni maa ki mout par , ya phir apni maa ki beemari ki takleef dekh kar.
Bas woh akhri bar tha jab Aaryan Rehman Malik roya tha.

Aur aaj itne saal bad woh usski ankhon mein ansoo aye thay.
Kiun thay yeh ansoo?
Kis bat keliye thay ansoo?
Kya Aaryan Rehman Malik , Hooriya Sherkhan se ISHQ karnay laga tha?

"Kya hua? Khamosh kiun ho?"
Hoor usski taraf dekh kar boli jabkay Aaryan doosri janib rukh kiye huay tha.

"Acha laga sun kar"
Aaryan ne kuch dair ki khamoshi ke bad kaha.

"Kya sun kar?"

"Ke tum mujhay kisi qabil samajhti ho"
Woh muskuaya tha , iss bar sach mein muskuaraya tha aur dil se muskuraya tha.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now