19• Ikhtilaf | اختلاف

194 17 15
                                    

•••••••••

After a week:

Hadeed office se akar apne kamray ki taraf barh raha tha , usske baal usske mathay par aye huay thay aur coat ek hath par dheelay andaz mein latkaya hua tha ussi waqt ussne Rehman Malik ke study ki light on dekhi toh ussne wahan janay ka socha.

Woh andar aya toh wahan koyi nai tha woh wapis janay hi laga tha ke usske hath lagnay ki waja se kuch files neechay gir gayi ussne unhein uthaya toh usski nazar jis cheez par pari ussne usske hosh hi ura diye.
Woh evidence file thi 6 saal puranay huay hadsay ki file aur uss mein culprit ke khilaf tamam evidences mojood thay , aur uss file ke andar nam dekh kar usse laga jaisay kisi ne usske sir par bomb phenk diya ho.

Woh surkh ankhon kesath lambay lambay qadam leta hua study se bahir nikla tha aur lounge ke darwazay se bahar akar apni gari mein beth gaya aur gari sarak par dornay lagi.
Usski grift steering wheel par itni mazboot thi ke usske hathon ki nasein saaf dekhi jasakti thi.

Raat ke 10 baj rahay thay aur ussne gaari ek ghar ke samnay lakar rok di.
Guards ne usse dekha toh foran andar anay ki ijazat di , shayad usski raubdar personality ko dekh kar ya phir yeh soch kar ke Hadeed ki shakal unke malik se kitni milti hai.

"Sher Khan Sahab andar hai?"

"G sahab woh andar hain"

Woh ussi tarah taizi se ghar ke aqbi darwazay ko kholta hua andar aya , samnay khari Asiya begum ke chehray par usse dekhtay hi muskurahat agayi.

"Hadeed beta!"

"Chachu kahan hai?"

"Yahan hun"
Sher Khan ne hath mein cigarette letay huay usski taraf rukh karke kaha.

"Mein sirf ek sawal karoonga apse , mujhe usska seedha seedha jawab chahiye"

Sher Khan ke chehray ke tasurat mein koyi tabdeeli nai ayi thi.

"Uss raat hamari gaari ke hydraulics kesath apne kuch kiya tha?"

Asiya ussi tarah chehray par pareshani liye khari thi jaisay kuch samajh nahi araha ho.

"Toh Rehman ne apne andar ka zeher tum mein bhi bharna shuru kardiya , isliye kaha tha tumse apne mamoo ke bajaye apne taya ke pas akar raho"

"Yeh mere sawal ka jawab nahi hai"

"Kya sunna chahtay ho?"

"Ammi baba ka accident ek pre planned murder tha yeh baat mein kafi arsay se janta hun lekin iss mein apka hath hai yeh mujhe aaj pata chala hai , apke mun se sach sunna chahta hun"

"Mera koyi hath nahi hai , unke muqaddar mein tha yeh , mein ne toh bas ek choti koshish thi unse jan churanay ki aur woh poori hogayi"
Sher Khan ka yeh aitraf sun kar jitni takleef uss waqt Hadeed ko hui thi woh betahasha thi , itne saalon tak khud ko uss raat ka zinmedar tehrata raha tha , koyi usse samajhnay wala nahi tha , zindagi jeenay ki saari umeedein kho chuka tha aur jab zindagi ne akhir kaar usse apnon pe bharosa karne ka moqa diya , apnon ke qareeb laya toh aaj usse laga woh sara bharosa ek dafa phir chikna choor hogaya.

Woh shock ki waja se do qadam pheechay hua aur nafi mein apna sar hilaya , uski surkh ankhon se ab ansoo anay lagay thay. Hadeed Azam Khan pehli dafa har man gaya tha , woh ro raha tha.

"Nahi keh dein aap jhoot bol rahay hain , keh dein jo mein ne suna hai woh ghalat hai"
Hadeed ne nam awaz mein kaha tha.

"Lekin iss sab ka ab kya fayda hai , 6 saal puranay hadsay ko ab khoj kar kya milega tumhein , tum sirf khud keliye mazeed problems bana rahay ho , mere khyal se behtar hai ke tum business ke mamlon se door raho , İstanbul wapis jao wahan apni kursi sambhalo aur mujhe yahan sab handle karne do"

Hadeed ne aglay hi lamhay Sher Khan ka gireban dono hathon se pakra aur usse janjora.

"Business , paisa , jaydad , iss sab ke ilawa kuch nazar nahi ata apko , apke sagay bhai aur bhabi ki jan chali gayi , aur apko business aur jaydad ki pari thi, ab mujhay sab samajh araha hai , meri ankhon ke samnay se sari dhool jhat gayi hai , aapne yeh sab issliye Kiya kiunke baba ke akhri dinon mein apne unse business mein 60% shares mangay thay aur unhon ne apko denay se inkar kardiya , aur apne unko iss tarah rastay se hatana munasib samjha"

"Gireban choro mera!"
Sher Khan oonchi awaz mein bola tha.

Hadeed kuch qadam pheechay hua aur tanziya sa muskuraya aur phir apni shahadat ki ungli Sher Khan ko dikhatay huay challenge kartay huay andaz mein bola.

"Choroonga toh mein ab kisi ko bhi nahi , ab agli mulaqat apse jail mein hogi"

Sher Khan ne kehkaha lagaya tha.

"Apne taya ko jail bhejoge tum?.. koyi saboot hai tumharay pas ya gawah"

"Saboot bhi hai , gawah bhi hai , GAME IS OVER MR.SHER KHAN"

Woh lambay qadam leta hua wahan se bahar agaya aur gaari mein beth kar apna sar steering wheel par rakh diya.

"Yeh sab kya tha? Apne yeh sab..."
Asiya begum ne rotay huay kaha.

"Usse lagta hai ke mere liye usse apne rastay se hatana mushkil hoga bhool hai usski"
Sher Khan ne khud kesath sargoshi ki thi.

____________________

Liza pooray ghar mein hooriya ko dhoond chuki thi lekin woh kahin nahi mili toh liza ne usske kamray mein jakar usse dhoondha , kamray mein koyi nahi tha shayad woh art gallery gayi hui thi usska kamra mukhtalif paintings aur paint pallets se bhara para tha tab hi usski nazar bed se neechay giri hui ek diary par pari thi jisne usse utha kar dekha toh usspe kuch yun likha hua tha.

Ussne baghair kuch sochay aisay hi bekhyali mein diary ko khola aur parhnay lagi.

Akhri safhon tak pohonchtay pohonchtay usski ankhein nam hochuki thi , usse yaqeen nahi araha tha ke yeh hooriya ki diary thi aur ussne khud hi khud mein akelay kitni cheezon ko kitni baton ko apne andar chupa kar rakha tha.
Ussne ek aur line pari aur usski ankhon se mazeed ansoo anay lagay.

"Sab ki families kitni perfect hoti hain , I wish meri bhi family perfect hoti , I wish ke logon ke dilon mein ek doosray keliye nafrat aur bughaz na hota , duniya kitni haseen jagah ban jati. Par yahan toh kabhi kabhar apne hi apko zindagi ka sabsa bara dukh dejatay hain"

____________________________

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now