1• Khwab | خواب

915 42 53
                                    

وَقَالُوا لَن تَمَسَّنَا النَّارُ إِلَّا أَيَّامًا مَّعْدُودَةً ۚ قُلْ أَتَّخَذْتُمْ عِندَ اللَّـهِ عَهْدًا فَلَن يُخْلِفَ اللَّـهُ عَهْدَهُ ۖ أَمْ تَقُولُونَ عَلَى اللَّـهِ مَا لَا تَعْلَمُونَ

And they say: "The Fire shall not touch us but for a few numbered days:" Say: "Have ye taken a promise from Allah, for He never breaks His promise? or is it that ye say of Allah what ye do not know?"

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Islamabad , Pakistan
•7:30pm

"Liza kiun itnay nakhray kar rahi hain Aakhir aap? Pehen lein Na Koyi aur ear ring" Hoor darwazay mein kharay iss bikhray huay kamray ko dekh rahi thi Jo Abhi chand lamhay pehlay shadeed zalzalay aur teztoofan Ki zad mein aya tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Liza kiun itnay nakhray kar rahi hain Aakhir aap? Pehen lein Na Koyi aur ear ring"
Hoor darwazay mein kharay iss bikhray huay kamray ko dekh rahi thi Jo Abhi chand lamhay pehlay shadeed zalzalay aur tez
toofan Ki zad mein aya tha.

Usski bhoori ankhein musalsal uss kamray ka pehra kar rahin thi. Ussnay sky blue outfit pehna Hua tha aur ek kaan mein ear ring tha jabkay doosray mein nahi tha , doosra ear ring kho Gaya tha , lekin pareshani Kis bat Ki , Liza Rehman apni cheezon ko Har Hal mein dhoond nikalnay walon mein se thi aur agar usski malkiyat ussay na milti toh Kisi Ko bhi chayn se Nahi rehnay deti. Woh Ziddi nahi thi , bas uss mein ek alag hi junoon tha apni Har baat Har khwahish ko poora karnay ka junoon.

"Kiun pehnu mein Koyi aur ear ring ? Mere outfit ke Sath wahi matching tha aur muhtarma agar apki Jan par giran Na guzray toh dhoondnay mein madad farma dijye" Liza Rehman ka wahi do tok Andaz.

Ussnay apnay ghanay bhooray Balon Ki ek lat kanon ke pheechay Ki aur wardrobe ke sab se konay wali drawer ko khola , samnay Pari Cheez ko dekh kar woh ghayab dimagh hogayi , woh Radon Ki men's wrist watch thi , dikhnay mein kafi expensive , Liza ek dafa phir panch saal pheechay chali gayi thi , usski nazron ke samnay usska dhundhla sa aks aya , wohi siyah bikhray Baal , siyah ankhein Jo musalsal Ronay Ki waja se ab surkh hochuki thi , usski nasheeli si awaaz jesay pata Nahi kitni raaton se na soya ho aur usskay bahar Ki taraf tez bhartay qadam aur aakhri Baar mur kar sirf ussay dekhna. Kuch second ka woh eye contact Aaj bhi Liza ko Yad tha. Aur yeh wrist watch bhi usski ek amanat thi Jo Liza ne apnay Sath mehfooz Rakhi thi.

"Yeh lein Liza Apki ear ring!" Hoor ne samnay paray kapron ke ek dher se woh ear ring nikali thi aur Saath mein Liza ko bhi bohat se khyalat se bahir nikala tha.
Liza ne jaldi se drawer band Kiya tha.

"Ayyyi Meri Jaan Hoori" Liza ne usskay hath se woh ear ring leli aur ussko zor se galay lagaya jabkay Hoor Ki ek halki si cheekh nikli thi. Liza Rehman aisi hi thi , apnay hawason ko khud par zyada haavi Na honay deti , kuch der pehle Ki uss gehri soch se khud ko nikaal kar ab kaafi had tak compose kardiya tha.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now