20• Bhikray Kaanch | بکھرے کانچ

245 18 14
                                    



Liza ne foran Aaryan ki gaari nikali thi aur intehayi rash driving kartay huay woh baghair kisi manzil ke rastay par nikal pari thi , Aaryan aur Rehman Malik liza ko gaari kam hi chalanay detay thay wajah usski rash driving thi aur aaj woh jis halat mein nikli thi toh guards ne foran Aaryan ko khabar di thi.

"Kya matlab meri gaari legayi hai woh?"
Aaryan ne mathay par hath phertay huay kaha.

"Sahab g rotay huay nikli hain woh aur unki driving ka toh aap ko pata hai"

Ussi waqt Hooriya ki gaari garage mein dakhil hui thi , woh apne office se seedha yahin par ayi thi , woh driving seat se utri hi thi ke Aaryan ne usske hath se chabiyan li aur driving seat par beth gaya.

"Kya horaha hai koyi mujhe batayega?"

"Woh bibi ji Aaryan Sahab Liza bibi ke pheechay jarahay hain woh kafi pareshan hokar ghar se nikli hain"

Hooriya ne yeh suna toh foran passenger seat ka darwaza khola aur beth gayi Aaryan ne bhi gaari aglay hi lamhay sarak par dorayi.

_________________

Liza ne dashboard par rakhay huay phone ko uthaya jo musalsal baj raha tha.

"Liza kya hua hai kahan jarahi ho?"
Aaryan usski hi gaari ko follow kar raha tha aur liza ki speed ko match karnay ki koshish kar raha tha.

"Marnay jarahi hun"

"Liza just shut up! Hua kya hai?"

Phone loudspeaker par tha issliye Hooriya Liza ki kanpti hui awaz sun sakti thi.

"Woh larki jisko mein ne apni behen kaha , usse apni behen samjha , woh khud hi khud mein itni takleef uthati rahi aur mujhe pata bhi nahi chala Aaryan , mein kesi behen hun"
Woh gariyon ke beech mein se taizi se guzarti hui kabhi steering wheel left ko ghumati toh kabhi right.

Hooriya ne yeh suna toh usske pairon ke neechay se zameen nikal gayi , Liza usski diary parchuki thi aur yeh andaza Hooriya ko hogaya tha.

Aaryan ne bhi Hooriya ki taraf foran dekha aur phir mamlay ke hasaspan ko samajhtay huay foran Liza ko calm down karne ki koshish ki.

"Liza mein sab janta hun lekin agar aap aisa kareingi toh Hadi Bhai ko kon sambhalay ga , please gaari ko ek side par rok dein ham aaram se bat kartay hain"

"Hadeed ki ankhon mein kaisay dekhoongi , woh mujhe kehta raha ke phupho aur phupha ka murder kiya gaya tha aur mein hamesha usse hi ghalat kehti rahi , mein ne kabhi kisi ko nahi samjha har kisi ko let down kiya hamesha , bas apni takleef nazar ayi mujhe aur doosron ki takleef ko hamesha nazar andaz kiya"
Woh yeh keh rahi thi ke ussi waqt ek truck usske samnay aya magar Liza ne foran steering wheel ghumaya aur road ke doosray side par agayi aur abhi bhi ussi speed se gaari chalanay lagi. Woh Liza Rehman Malik thi , apne breaking point par akar usse phir kisi cheez se khouf nahi ata tha.

"Liza mein ne kaha gari side par karein!"
Iss bar hooriya chilayi thi.

Liza ne usski awaz suni toh usske lab kanpnay lagay.
"Hooriya .. meri jan"

"Liza aapne mujhe kabhi let down nahi kiya , ab aap please meri baat manein aur gaari side par rok dein"

Aaryan har tarah se uss tak pohonchnay ki koshish kar raha tha.

"Mujhay maaf kardena Hoor.....

Iss se pehle ke woh kuch aur bolti ek siyah posh black Hiace van Liza ki gaari ke bilkul samnay akhari hui aur Liza ki gaari ek jhatkay se uss gaari ke sheeshay kesath lagi thi.

Aaryan aur Hoor ne kuch faslay se yeh manzar dekha tha aur kuch hi lamhay mein har taraf dhuan hi dhuan tha jaisay hawa mein har taraf smoke hi smoke phel gayi ho , Aaryan ne foran gaari roki thi kiunke agay barhnay ka koyi jawaz nahi tha smoke ki waja se unhein kuch nazar nahi araha tha. Woh dono foran Liza ki gaari ki taraf bhagay thay magar jaisay hi uss jaga tak pohonchay toh wahan Liza ki gaari ke tootay huay sheeshon ke siwa aur kuch nahi tha , woh black colour ki hiace van ka bhi nam o nishan nahi tha , wahan sirf bhikray kaanch thay aur hawa mein pheli gard thi.

_________________

Asalam o Alaikum ! I know the chapter is short but i will try to write a long one next time. Just bare with me for this time. Also don't forget to vote for this chapter and tell me how was it.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now