13• Sard Dil | سرد دل

214 17 20
                                    


•••••

میں مضطرب زمین پر ، بےتاب تو فلک پر
مجھ کو بھی جستجو ہے تجھ کو بھی جستجو ہے

Mein muztarib zameen par , betab tu falak par.
Mujh ko bhi justuju hai , tujh ko bhi justuju hai.

•••••

Kitni haseen hoti hain kuch khushiyan , balkay khushiyan toh saari haseen hoti hain magar uss insan keliye Nahi jo yeh janta ho ke iss duniya ki har Khushi ko zawal hai.
Yeh duniya aur isski aarzi khushiyan , kisne kab jee bhar ke mehsoos ki hai yeh khushiyan?

December ki thandi sham thi aur Woh Charon samandar ke kinaray kharay thay. Lehrein taiz thi aur hawayein sard , Hadeed ne Liza Ka hath thama hua tha jabkay Hoor aur Aaryan apni hi choti si duniya basaye huay tha jahan Hoor Aaryan ke har be matlab latifay par bhi Dil khol Kar Hansa karti thi.

"Yeh akhri hafta hai hamara İstanbul mein"
Liza ne ek thandi sans bhartay huay kaha tha.

"Zaroori Nahi hai ke akhri ho , kya tum dobara Kabhi Nahi aogi Istanbul"
Hadeed ne usski taraf rukh kartay huay kaha.

"Zindagi Ka kya bharosa Mr.Hadeed Azam Khan"

"Zindagi Ka bharosa Nahi man liya , lekin Allah ki zaat par toh bharosa Hona Chahiye na"
Hadeed ne ek dilkash muskurahat kesath kaha.

Liza ko Dil hi Dil mein ek itmenan sa mehsoos hua , Hadeed ne ab pehle jaisay mayoosi ki batein chordi thi ya phir shayad usse yeh laga tha.

"Tum ne achanak yeh faisla kiun Kiya?"
Liza ne phoocha.

"Konsa faisla?"

"Pakistan janay ka"

"Jana toh tha hi ek din , abhi ho ya phir kabhi"

"Kya tum abhi bhi uss baat par qayam ho?"

"Konsi baat?"

"Accident wala case"
Liza ne doosri taraf rukh karke kaha.

"Kya tumhein lagta hai ke mujhay itni asani se yeh bat janay deni chahiye"
Hadeed ne kuch soch kar kaha.

"Sultana Jan ko pata chalay ga toh unka reaction kya hoga kabhi socha hai tumne Hadi?"

"Sach ka samna toh unhon ne bhi karna hoga ek na ek din"

"Tum Pakistan purani files dobara kholnay keliye jarahay ho haina?"

"Dekho Liza mujhay iss baray mein baat nahi karni aur na hi mein chahta hun ke tum mujhse iss qisam ke sawal karo , kal flight hai hamari and I don't want you to think anything and stress out yourself for no reason."
Hadeed usse aisay tassali deraha tha jaisay koyi panch saal ke bachay ko deta hai.

Liza ne sar kham kiya aur halka sa muskurayi aur phir Hoor aur Aaryan ki taraf dekha jo kisi baat par muskura rahay thay.

"Yeh Dono saath rehtay hain toh ek alag si khushi rehti hai inkay chehray par"
Hadeed ne apne dono hath jeans ki pockets mein dekar kaha.

"Han magar dono hi ek number ke ziddi hain"
Liza ne hans kar kaha aur Hadeed bhi hansnay laga.

____________________


Liza , Hooriya aur Aaryan ab apnay apartment mein achuke thay aur Pakistan janay ki tayari zor o shor par thi. Istanbul mein bohat si khoobsurat yadein ban gayi thi ab toh , jana mushkil tha magar utna hi asan bhi tha.
Chay mahino mein kya kuch nahi badal gaya ya phir shayad abhi bhi bohat kuch badalna baqi tha.

MALAL E YAR | ON HOLDWhere stories live. Discover now