𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 3

29 7 79
                                    

♡︎𝑒𝑛𝑗𝑜𝑦♡︎




《 or wo kon hai? 》

Samjh tu wo gai thi lekin phir bhi pouchna zaroori smjha tha dil ki dharkane Kabo jo nahi ho rahi thi....

《 apke " wo " ay hai or unke sath wo kharos insan lekin mai souchti ho wo insan bhi hai nahi? 》

Zoya ne sharart se bola tha or wo par khas zor lagaya tha lekin end mai uske zikar par shakal Bigari thi....

《 zoyaaaa 》

Zainab ne kha Jane wali nazro se usse dekha tha jis par uska kheka chota tha...

《 acha acha sryyyy ab nahi karti chale ab nahi tu aliyan bhai ne idhar hi ajana hai apko lene ke liye 》

Uska chera laal ho raha tha hasi ko Rokne ki waja se....

Wo dono lounge baithe kuch baat kar rahe the jab wo dono lounge mai enter hoi thi unko dekh kar aliyan or adyan dono apni apni jaga se uth khare hoe the... adyan jaha royal blue three piece suite pehne cout utar ke pas hi sofe par rakha hoa tha apne waistcoat ke button theek kar raha tha or chere pe janlewa muskurahat... wohi dusri taraf aliyan black three piece suite pehne chare pe mudham si muskurahat liye khara tha...

《 aslamoalaikum 》

Enter hote hi zoya ne unchi awaz mai salam kiya tha jiska jawab done ne sar hila ke dia tha...

《 plz have a seat 》

Aliyan ne un dono ko baith ne ka kaha tha.. jab ke adyan ko ye baat kuch zada pasand nahi aya tha...

《 Ms zoya Kia ap humme ek cup chai ka mil sakta hai ? 》

Adyan ne ye baat kafi sharart se bola tha... aliyan ne usse kha Jane wali nazro se dekha tha jab ke zoya ke chare par Tanzia muskurahat pail gai thi....

《 ji zaroor Mr adyan abhi lai.. 》

《 a nahi zoya iski zaroorat nahi hai 》

《 nahi nahi aliyan bhai wo tu Maine pehle hi mulazma ko bol dia tha magar ab " inho ne " mujhe bola hai tu ab mai khud hi bana lao 》

Kheti waha se chali gai thi magar adyan ko ghoorna nahi bholi thi.. wo bhi dheet ban kar muskuraya ta waha baith gaya tha....

Kuch dair bad wo chai lati waha table par unke samne rakhthi...

《 chini?》

Suger pot kholti usne adyan se poucha tha...

《 1 spoon 》

Sedha hota baitha usne bola tha... aliyan or zainab uski bate samjh ne ki koshish mai the magar afsos jab un dono ko nahi pata wo kiya baat kar rahe hai tu kaise samjhte.. alfa tu samjh arahe the magar jo expressions the wo samjh na mushkil the... zoya halka sa muskurate 2 spoon dale the or wo usse sawaliya nazro se dekh raha tha..

《 ap jaise logo ko Mehta thora zada khana pina chahiye 》

《 mujh jaise kaise? 》

Muh par hath rakh te hoe poucha tha.. wo sar niche kar ke muskura di thi jab ke aliyan ki ankhe hairat se phail gai thi or zainab ka bas nahi chal raha tha ke zoya ka sar phar de ya phir uske muh par taip laga de...

《 zoiiiiiii 》

Zainab ne dant piste hoi boli thi

Zoya chai samne baithe aliyan or zainab ko dene ke bad wo bhi adyan ke samne wale sofe par baith gai thi...

《 ap jaise matlab... batameez, Hitler,
changez khan, wehshat naak, dehshat naak akal ke dushman akal ke andhe or bhi bohot se aise naam hai jo mai bol nahi rahi kiyu ke aliyan bhai or api ka yaha le haz kar rahi ho warna pata deti... 》

Uski ankho mai ankhe dal kar bari ada se bola tha... wo usse dekhta hi reh gaya tha jab ke aliyan or zainab uske jawab par ankhe phailay zoya ko phir ek nazar adyan ko dekha tha...

Aj tak kisi ne adyan se aise baat nahi ki thi agar karne ki koshish ki bhi tu adyan ki ek nazar ne usse chup karwa dia tha magar ye larki alag thi usmai koi agal hi baat thi...

《 or aisi konsi cheez hai jisne " tumhe " ye souch ne par majboor kiya mere bare mai 》

Usse andaz mai bola gaya tha...

《 aappp itne kharos, serious, sarial hai... khamosh hai 》

Usne bare hi afsos se kaha tha.... jaha zainab or adyan usse dekhte hi reh gaya the waha aliyan ka kehka chota tha.... ab ki bar zoya kuch sharminda hoi thi...

Wo uthti waha se Jane hi lagi thi ke jab adyan ko awaz ne usse roka tha

《 mujhe nahi pata tha tum mujhe tarti ho 》

Uski baat par wo muri thi... jab wo phir bola...

《 mujhe itna goor se mat dekha karo.. agar mujhse pyaar hogaya tu phir kiya karo gi? 》

Wo pursakoon sa bola tha or usse bas dekhti reh gai jab ke aliyan or zainab ko phir se wohi halat thi...

《 pyaar or wo bhi tumse never tum jaise sarial insan se pyaar karne se acha mai single hi mar jao 》

Adyan mudham sa muskuraya tha or taik laga ke baitha tha...

《 tu madam jiiii itna samjh li jiye pyaar hone se ya karne se nahi hota ye ek wo bimari hai jiska koi ilaj nahi... or agar kabhi hojay tu isse bhoolaya nahi jata na chora jata... 》

Usse uska chera laal hota lag raha tha
Smjta kiya tha wo khud ko?....

《 jis din mai is bimari mai par gai na us din aise hi tumhari ankho mai ankhe dal kar itne hi confidence se bolo gi... khair aisa kuch hone nahi wala 》

Kehti wo waha se chali gai thi lekin uske awaz ne or khekhe ne uska door tak picha kiya tha

《 khair ye tu waqt hi batay ga 》

Jab usne apna chare aliyan or zainab ko taraf ghomaya tu un dono ki nazro ka samna karna para tha tu wo thora sharminda hoa tha....

Wo apni hi soucho mai se tab bahar ai jab kisi ne uske kandhe par hath rakha... wo usse dekh te hi apni jaga se khari hoi thi...

《 aliyah ap kab ay liya hoa udhar, kiya sab theek hai, ap kab ay, kiya... 》

Isse pehle zainab or kuch bol pati aliyan ne usse chup kar waya tha.. or apne hath se uske behte ansu Saaf kiye the... wo apni soucho mai itni goom thi ke usse khud ko nahi pata chala ke kab uski ankho mai se anso behne lage....

♡︎ᴀɴᴋʜᴏ ᴍᴀɪ ᴀɴsᴏ ᴛᴀʙ ɴᴀʜɪ ᴀᴛᴇ ᴊᴀʙ
ᴀᴘ ᴋɪsɪ ᴋᴏ ʏᴀᴀᴅ ᴋᴀʀᴛᴇ ʜᴀɪ
Aɴsᴏ ᴛᴀʙ ᴀᴛᴇ ʜᴀɪ ᴊᴀʙ ᴀᴘᴋᴏ ᴘᴀᴛᴀ
ʜᴏᴛᴀ ᴀʙ ᴀᴘ ᴜɴ ʟᴀᴍʜᴏ ᴡᴀᴘɪs
ᴊᴇᴇ ɴᴀʜɪ ᴘᴀɪ ɢᴇ ♡︎

****************

Aslamoalaikum...
How are you all? Hope you all are fine..
Vote and comment plz..
Allah hafiz
****************


Ankyxbtsarmy
asoma_soma
avneil_adiza_fanclub
bluexmoon_105
crazywriter2317
itsdevika_sharma
Kashaf_tales
p140885
magical_AditiRathore
Sana__tales
soraen
ritul_d
tanzila_tuly03

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now