𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 38

14 6 12
                                    

《 or kia souch rahe ho 》

Aliyan adyan ke room mai aya tha jab usse kahi khoya dekh kar usse poucha tha.. adyan aliyan  ke bolane par apni soucho se bahar akar usse apni pori smile de kar dekha tha..

《 kuch nahi bas aise hi.. 》

Adyan ne kaha tha..

《 khush ho?》

Aliyan ne poucha tha.. jis par adyan ne sar han mai hilaya tha..

《 bohot khush mujhe tu samjh nahi araha ye ho kaise gaya ab bhi yaqeen nahi ho raha.. 》

Adyan ne apni khushi se bataya tha.. adyan ki baat par aliyan ki halki si sahi choti thi..

《 ooho tu yaha baate kar raha hai mujhe laga tha wadu karke shukrane ke nafl par raha ho ga 》

Bilal ne room mai ate hoe kaha tha or un  dono ke samne coffee ke mug rakhe the..

《 ate hi ada kar die the 》

Adyan ne coffee pite hoa tha tha.. jis pe wo dono halka sa has die the..

Beshak zoya ne adyan ko change kar dia tha..

《 ab meri baat sono jo mai kehne aya tha.. mai yaha zoya ke bhai ban ke aya ho abhi.. zoya mere liye Sarah ki tarha hai tu mai umeed karta tum meri bahan  ho tum meri bahan ko humesha khush rakho ge uski ankho mai anso nahi ane do ge.. 》

Aliyan ne kaha tha jis par adyan ne khushi ke sar hilaya tha..

3no kafi dair yun hi baate karte rahe the or bhi apne kamro mai chale gay the aj Bilal yahi rok raha tha..

***************

Life pehle jaisi ho gai thi dono ki wo hospital mai Busy ho gaya tha or wo university assignments mai or sath ho aj kal unki bhi training start ki hoi thi nimra ne ghar ke kamo ki ..

Nimra ka kehna tha ke ghar mai beshak das hi nokar kiyu na ho agar ghar ke Malik ko sahi se kam na ata ho tu nokar bhi kisi kam ke nahi..

Zainab jab free hoti mr akhtar ke sath office chali jati thi..

Or aliyan bhi apne business or deals mai busy ho gaya tha..

Waqt guzar raha tha apni speed se magar sab itna busy the ke waqt ka pata nahi chal raha tha ke wo ja kaha raha hai..

Shadi ki date ek maheena pehle ki ho gai thi waja adyan tha.. uska transfer Turkey ho gaya tha joke kuch hi waqt mai usse waha joining deni thi usne soucha hoa tha ke udhar se wo apna wapis yahi par transfer kar wa le ga magar us ke liye usse pehle Turkey mai apni joining deni thi.. uska karke date pehle ki ho gai thi jis ki waja se kam ka burden kafi ho gaya tha..

Doo hafte se bhi kam time reh gaya tha zainab or aliyan ki nikah mai time kam tha magar kam kafi thi.. uper se mr akhtar or aliyan business mai Busy ho gay the bad mai leave pe jo Jana tha wohi Sarah or zoya ke assignments chal rahe the.. unke exam mai unka nikah tha ab jisse wo dono kafi tang a gai hoi thi.. wohi anam or nimra ko jab bhi time mil raha tha wo shadi ki tiyaariya kar rahe the..

****************

《  kal thora jaldi ana shopping karne Jana hai 》

Dinner ke bad ab sab lounge mai baithe hoi the jab anam ne aliyan ko kaha tha..

《 jii Koshish karo ga 》

《 or tum bhi 》

Anam ne adyan ko ab kaha tha jo ke uljha tha thora..

《 mai kiyu mamma meri shadi thori na hai》

Usne has kar kaha tha..

《 tumhari shadi nahi hai magar kam hai tumhare liye karne ke liye》

Anam ne kaha tha tu usne halka sa sar hilaya tha..

《 aliyan mere sath busy ho Jay ga tu tum aliyan ke room ka paint change kar wao ge 》

《 ji mamma 》

Adyan ne nimra ke kehne pe kaha tha.. beshak wo aliyan se bhi zada excited tha is shadi ko le kar..

****************

Agla din tha wo anam or aliyan zainab ko le kar nikah li shopping pe gay the..

Subha ke 11 AM se gay the or ab 3 PM ho gay the magar abhi tak unka bas nikah ka dress hi hoa tha or ab jewellery or shoes rehte the or sath hi anam ko or bhi kafi cheeze leni thi uske liye jaise makeup or dresses..

Aliyan or zainab ki bas ho chuki thi chal chal kar magar shopping khatam nahi ho rahi thi..

Finally or adhe ghante bad wonki shopping khatam hoi thi or un dono ne sukh ka sans liya tha.. ab wo kuch khane ke liye gay the..

******************

《 tumne apni shopping kab karni Jana hai? 》

Nimra ne poucha tha.. zoya se joke seating room mai se kuch cheeze utha rahi thi... jab nimra ne ate hoe poucha tha..

《 mama abhi tu mere pas bilkul time nahi hai appi ki shadi ki itni tiyaari karni hai uper se assignments or exams bhi hai time nahi hai.. 》

Zoya ne cheeze uthate hoe jawab dia tha.. zoya har cheez ke liye time nikal sakti thi magar shopping kabhi nahi..

《 kal ja rahi ho or apna le kar a rahi ho 》

Nimra ne usse poucha nahi balke bataya tha...

Zoya bas han mai sar hi hila pai thi.. or sath hi sara ko bhi call kar ke kal ke liye bol dia tha..

*******************

Finally aj wo din tha jab zainab or aliyan ne ek nay rishte mai ana tha..

Hall mai adyan Bilal sari arrangement dekh rahe the kuch hi time reh gaya tha mehmano ke ane mai or nikah hone mai.. aliyan ko aj ka rest de kar aram se bhitaya hoa tha..

Adyan ne mat blue three piece suit pehne hoa tha baalo ko gel se set kiye hoa tha.. wohi Bilal ne gray three piece suit pehne baalo ko gel se set kia hoa tha..

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now