52

37 6 61
                                    

《 zoya car ki breaks chal rahi hai? 》

Aliyan ne zoya ko call ki thi awaz se saf pata chal raha tha wo kitna ghabraya hoa hai..car ki breaks ka usse CCTV footage se pata chala tha or bad mai mr humdani ki call se.. pata chalte hi usne zoya ko call ki thi

《 na nahi nahi bhai nnahi la lag rahi.. 》

Aliyan ke break ka pouch ne par zoya ne lagane ki Koshish ki thi magar lagi nahi thi or wo dari thi.. aliyan ko samjh agaya tha ye kiska kia hai..

《 acha meri baat dehan se sono kisi aisi jaga jao jaha zada traffic na ho mai kuch karta ho.. or koi baat nahi petrol khatam hoga tu khud hi rok Jay ji theek haina..》

Aliyan ne keh kar phone band kia tha or zoya ne uski baat mani thi pora time ko kalma par rahi thi..

Aliyan ne phone band karke adyan ko call ki thi or usse situation ka bataya tha or sath hi police ko bhi call ki thi.. un dono ke bad ys ne humdani ko call ki thi..

《 agar uses kuch hoa tu mai apko choro kuga nahi mai apki Umar ka bhi lehaz nahi karo ga.. 》

Aliyan ne chillaya tha gusse jab phone attend hoa tha..

《 agar jan uski itni hi pyaari hai tu chor do us deal ko 》

Jab us ne deal ka kaha aliyan kafi heran hoa tha koi itna kaise gir sakta hai ek deal ke liye wo kisi ki jan khatre mai dal di hai..

《 theek hai mai chor do ga magar us mai time lage ga plz 》

Aliayn ki baat abhi pori nahi hoi thi jab dosri taraf se phone cut ho gaya tha..

***************
《 yaa Allah ab kia karo gari tu heat up hone lag gai hai 》

Zoya ne khud ko kaha tha..

《 zoya 》

Adyan ne zoya ko call ki thi dimag mai aj ane wala khuab ghoom raha tha.. Allah se uski hifazat ki dua mang raha tha.. usse uska dil dobta mehsos ho raha tha..

《 adyan 》

Adyan ka dil dara tha zoya ki roti awaz sun kar..

《 zoi kia hoa tum roo kiyu rahi ho sab theek haina 》

Pareshan hota usne zoya se poucha tha zoya ko is waqt apne gale mai blackish mehsos ho rahi thi bolna cha rahi thi magar awaz ne nikal ne se inkar kar dia ho jaise..

《 adyan wo 》

Siskiya leti wo ro pari thi mushkil se khud ko sambhalti usne adyan ko sab bataya tha jis pe usse jhatka laga tha phone ko hold karta usne aliyan ko call ki thi..

《 bhai yeh sab kia hai zoya 》

Pareshani mai usne aliyan se poucha tha apna free hath apne baalo mai phera tha..

" adyan baat sono meri police se baat hoi hai meri wo zoya ko locat kar rahe hai us admi ko parkarne ki Koshish kar rahe hai wo bacha le ge usse 》

Aliyan ne usse bataya tha kuch dair unho wo usse samjhte tha raha tha akhir mai phone band karke wapis zoya ki call wapis li thi..

《 fikar na karo kuch nahi ho ga tumhe han mai ho na aliyan bhai haina police hai hum sab try kar rahe hai is waqt kaha ho mai ata ho.. 》

Wapis phone zoya ki call pe akar usne usse tasali di thi lekin shady wo is waqt yeh keh kar khud ko hi tali de raha tha.. zoya ne doo minute ke liye apni ankhe band ki thi or Taza ansuo ko behne ki ijazat di thi apni ankho se janti jo thi adyan yeh tasali usse zada khud ko dene ki Koshishkar raja hai apne dil ko tasalide raha hai. uski nazar patrol pe gai thi jo ke thora sa hi reh gaya tha magar gari heat up hoti lag rahi thi..

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now