𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 32

12 6 35
                                    


《 ap dono na bas ughh 》

Zoya ne chir kar kaha tha or pair patakti room se bahar gai thi.. zoya ko unki kehka ne door tak picha kiya tha..

*************

Agla din tha aj Sarah ne wapis Jana tha jab usse nimra ne roka tha yeh keh kar ke aj aliyan 𝑜𝑟 Bilal ne ana hai tu unke sath hi wapis chali jay..

Dupahar bara baje wo dono ay the.. mr akhtar ke sath wo dono study room mai chale gay the..

Aliyan ko jis company se deal offer hoi thi us company ke sath mr akhtar pehle kam kar chuke hai or uski company se Bilal ke sath bhi meeting karna chahte hai.. isliye aj ye dono mr akhtar ke pas ay the ye janne ke kaisi hai wo company.. kiyu ke market mai tu unka acha naam hai magar andhar ki baat ka tu koi wohi sahi se bata sakta haina jisne unke sath kam kiya ho ya wo khud..

Kafi dair decision karne ke bad aliyan ne poucha tha..

《 uncle kal kaisa raha phir apne kiya soucha 》

Na chahte hoe bhi usne poucha tha.. aliyan ke sawal par mr akhtar or Bilal uski taraf mutawajo hoe the..

《 hmm larka tu baat karne mai acha tha 》

Mr akhtar ke aise bolne par un dono ko laga tha jaise wo mutmain nahi hai..

《 agar larka acha hai tu apne kiya soucha han kar deni hai..》

Pouchne wala Bilal tha.. Bilal ke sawal par wo halka sa muskura die the kiyu ke wo jante the ke wo aise kiyu pouch raha hai..

《 nahi maine soucha hai na kar dene ka 》

Mr akhtar ne sofe ke sath taik laga kar bola tha.. or wo dono uljhe the agar larka acha hai tu na ki kiya waja..

《 kahi adyan ko waja se tu nahi 》

Pouchne wala aliyan tha..

《 nahi 》

Jawab mukhtasir tha..

《 phir 》

《 phir yehi ke rishta karne ki niyat theek nahi thi.. meri new deal ki waja se usne ye rishta karna tha.. ke agar hum dono ek sath ho Jay tu humme business mai kafi munafa hoga in short wo rishta nahi deal laya tha jisse usse paise mile ge 》

Mr akhtar ke batane par wo dono heran hoe the.. aliyan ko khasa gussa chara tha ye jankar jo bhi ho uske liye sarah or zoya mai koi fark nahi tha agar wo Sarah ke liye best chahata tha tu wo zoya ke liye bhi best hi chahata tha..

《 sahi soucha apne inkar hi sahi faisla hai 》

Aliyan ne bola tha mulazima a kar lunch ka keh gai thi ab wo sab dining table par baithe hoe the..

Zoya or Sarah baato mai magan thi khane ki bajay..

《 aisi konsi baate hai jo tum dono kab se khatam nahi hoti pori pori raat jag kar baate karte ho uni mai sath hote ho phir bhi chain nahi hai at least khana tu aram se kha lo.. 》

Dono ne apni itni izzat karwane ke baad sakoon se khana shoro kar dia tha.. waha baithi aliyan bilal or zainab ki hasi rokna mushkil ho raha tha..

Sarah ne apni plate mai thore se Fried rice dale the..

《 dhan se khana zoi ne banaya hai 》

Zainab ne kaha tha Sarah ka wohi hath roka tha.. jaha zoya ne muh bigara tha wahi udhar baithi un teen ke iwala kisi ko samjh nahi aya tha ke ye bolne ka matlab kiya hai..

《 zoi is mai namak hai 》

Sara ne pore sangeeta lehje mai poucha tha jaise world war 3 ke bare mai pouch rahi ho..

《 han hai sab hai kuch bhi aisa nahi hai jisse koi kha na sake.. 》

Zoya ne kaha tha..

《 koi baat hoi hai 》

Mr akhtar ne poucha tha.. phir zainab ne sab ko paste wali baat batao thi.. jaha nimra apna sar pakar ke baithi thi ke uski bachi mai itni aqal kiyu hai wahi un teeno ki hasi choti thi.. or zoya ko samjh nahi ai thi ismai hasna wali jonsi baat hai..

Lunch ke bad wo teeno ja chuke the..

《 baba mai library jao》

Zainab ne poucha tha.. mr akhtar se jo ke news dekhne mai busy the or nimra jo unko kab se change karne ka bol rahi thi or zoya kuch paint kar rahi thi apni painting book mai..

《 han jao magar dehan se bahar barish kafi taiz hai driver ko sath le jao 》

Mr akhtar ne kaha tha jiske jawab mai zainab ne muskura kar han mai sar hilaya tha..

《 sono 》

Zainab Jane lagi thi jab usse zoya ne piche se awaz de kar roka tha..

《 han 》

Zainab ne piche mur kar bola tha..

《 aisa karo apne uper tail ki bolte dal lo achi tarha sar se pao tak.. 》

Zoya ne kaha tha.. zoya ki baat sun kar sab uljhe the..

《 kiyu 》

Pouchne wali nimra thi..

《 mamma wo maine science mai para tha pani or oli kabhi mix nahi hote tu bahar barish ho rahi hai agar appi par oli laga hoa tu barish ka pani nahi lage ga or gili nahi ho gi 》

Zoya ka logic son kar nimra apna sar pakar kar baith gai thi.. zainab ko samjh nahi araha tha ke uske dimag mai itna ata kaise hai.. or mr akhtar apni samjhdar beti ki ssamjhdari par has hi pay the..

《 zainab beta tum jao agar idhar rahi tu ye tumhe apne logics se kabhi Jane nahi degi.. jao tum dehan se jana or driver ko bolna 50 se zada speed nahi karni gari ki.. 》

Nimra ne zainab ko Jane ka kaha tha.. or ab zoya ki taraf mutawajo hoi thi.. jo pori masomiyat se unko dekh rahi thi jaise usne kuch kaha hi na ho..

《 beta thori aqal use karlo such mai uspar Texas nahi hai agar hai tu mai pay kardo gi bas use karlo usse thora sa 》

Nimra ne pori preshani se bola tha.. isse pehle or kuch bolti anam ki call ane par wo waha se gai thi.. or ab zoya mr akhtar ko taraf mutawajo hoi thi..

《 Maine kiya kiya Maine tu bas idea dia tha dekhna tha work karta hai ya nahi.. 》

Masoomiyat li inteha thi..

《 tumne kuch nahi kiya apni drowning karo bas 》

Mr akhtar ne has kar kaha tha.. jaha zainab ek samjhdari se kam karti thi wahi zoya se samjhdari ki umeed karna bhi bewakoofi se kam nahi thi..

《 mai ata ho change na karna 》

Mr akhtar ne kaha tha uthe hoe jab zoya ko news channel change karta dekh kar unho ne usse warn kiya tha.. or zoya ne unko apni pori batteesi wali smile di thi..

*************

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now