53

27 6 28
                                    

《 kia hoa hai sab theek haina 》

Zainab ne poucha tha uski sath wali seat par baithte hoe..

Wo teeno usse dekh rahi thi usne apna hath mai apna sar pakra tha or phir lamba sans liya tha..

《 meri baat ab ap sare dehan se sone 》

Aliyan ne kampti awaz se kaha tha..

Un teeno ko apna dil dobta mehsos hoa tha..

《 bhai hoa kia hai ap kiyu suspense create kar rahe hai 》

Sara ne kaha tha tang a kar usse aliyan ka yun hona kharte gi ghnti de raha tha..

《 zoya hospital mai hai or adyan uske pas hai》

Aliyan ke ye kehne ki dair thi zainab ki ankho se ansu nikal ay the wo ro pari thi sara sadmai mai gai thi or anam ne apne dil pe hath rakha tha..

《 ki kia hoa hai kia hoa hai usse kiyu hai wo waha 》

Zainab ne darte dil ke sath kaha tha..

Aliyan ne sari situation batai thi..

Zainab or anam ro pare the or sara kuch bol nahi pai thi..

*********************

Do ghante ro guzar gay the zoya ki bleeding condition normal nahi ho rahi thi..

《 bleeding kafi ho gai hai sar pe chot kafi gehri hai ap bhi doctor apke samne unki condition hai 》

Doctor ne afyan ko kaha tha.. or waha se gaya tha..

《 ye kia matlab tha doctor ka adyan 》

Bilal ne poucha tha jab usse kuch samjh nahi ai thi uski..

《 mind kisi bhi news ke liye tiyaar rakho wo theek nahi hai 》

Adyan ne kampte awaz ke sath kaha tha room ke sath bench pe baith kar.. wo ab ro nahi raha tha shayad wo zoya ki condition janta tha janta tha wo abhi kitni pain mai hai.. wo bas dil hi dil mai zoya ki zindagi ki dua mang raha tha..

Kuch hi dair mai aliyan bhi wohi wapis agaya tha.. bilal ne usse situation ka bata dia tha..

Aliyan ne mr akhtar pr nimra ki tickets book kar ke unko call karke wapis ane ka bol fia tha magar reason nahi batai thi bas ye kaha tha.. mr akhtar ke punchne par bhi bas yehi kaha ke ay phir batata ho....

Subha fajar ke waqt pounche the wo dono wapis.. Bilal unhe sikandar house le kar gay the..

Andhar ja kar zainab unhe zainab ne Yun bolane ki waja batai thi.. un dono ko apne kaano pe yaqeen nahi ho raha tha..

******************

Adyan pora time zoya ke sath room mai tha uska hath pakre tha usse bas dekh raha tha lekin is baar pyaar se nahi magar bebasi se dekh raha tha..

Subha ke gayara baje tak wo sab hospital ai the gayara baje visiting hours start the..

Zoya ki halat dekh kar un sab ka dil doba tha..

《 Maine itne aj tak apni bachi ko ek kharach tak nahi ane di or aj meri bachi zindagi or mout ke bech mai hai 》

Mr akhtar ne bebasi ke sath kaha tha..

Saaro ne ek ek karke usse dekha tha or bahar gay the..

Visiting hours khatam ho gay the sab chale gay the wapis aliyan ke kafi kehne pe adyan ghar gaya tha.. thora rest karke shower le kar kuch kha kar wapis gaya tha magar rest kaise karta jab uski jaan zindagi or mout mai atki hoi thi..

24 hours khatam ho gay the zoya ki condition mai bilkul bhi koi change nahi aya tha doctors ka kehna tha wo coma mai chali gai hai..

Is khabar ne sab ko tura tha.. us khabar se  mr akhtar ko heart attack aya tha magar wo survive kar gay the..

Adyan ne zoya ko jis hospital mak kam karta tha udhar shift kar liya tha..

Police ka kehna tha wo mr humdani pe case file nahi kar sakte hai kiyu ke koi pakka saboot nahi hai unke khilaf..

Zoya ke accident ke bad nimra ki tabiyat kharab reh ne lag gai thi.. kaise sahi hoti jab uski beti ki kharab thi.. accident ko ek saal or kuch maheene ho gay the.. jab zoya ke hosh mai ane ki aas le kar un ho ne is dunia ko alvida kaha tha..

Saal hogaya tha accident zoya ki halat waisi hi thi or sath mai adyan bhi kehne ko adyan khata pita kam karta tha magar uska bhi waqt jaise zoya ke sath rok gaya ho..

Adyan subha jaldi utha hospital chala jata tha udhar kuch waqt zoya ke room mai uske sath baitha tha uske bad apne kam mai busy or raat ko wapis Jane se pehle uske pas Jana wapisi tak kafi late ho jata tha..  koi kismat se hi din hota tha jab adyan subha breakfast table pe mil Jay ya raat ko..

Nimra ki death ko aj 3 maheene pore ho gay the.. sab akhtar house ke lounge mai baithe the adyan ka intezar kar rahe the..

《 Asslamulaikum 》

Kuch deir tak adyan aya tha salam karke single sofe pe ja kar baitha tha.. jab mr akhtar ne baat shoro ki thi..

《 Dekho adyan zoya ko coma mai gay saal se uper hogaya hai or dor for tak koi umeed nahi hai uske uthna ki 》

AP kehna kia chate hai.. adyan ki awaz sakht hoi thi shayad janta tha age ane kia wala hai..

《 yehi ke life mai age baro.. janta koi bhi nahi hai wo kab uthe gi.. uthe gi bhi ya nahi kia sari zindagi Yun hi baitho ge 》

Mr akhtar ne apni baat pori ki thi.. or adyan ka ke chera gusse se laal hoa tha..

《 jii baitho ga uski uthna ki aas mai.. uska hath Maine is liye nahi thama tha ke mushkil waqt ane par chor ke kisi or ka pakar lo.. 》

Adyan ne sakht awaz se kaha tha...

《 adyan bhai ek baat thandy dimag se baat sone or souche phir apko baba ki baat bilkul sahi lage gi.. 》

Zainab ne kaha tha.. adyan ko samjhne ki Koshish ki thi jo ke nakam hoti nazar arahi thi.. aliyan or anam chup the jante the adyan ko wo kabhi unki baat nahi mane ga..

《 bhabhi apne hi yaad kare kaha tha jab zoya ka accident hoa tha " mayoosi kofur hai " mayoosi Allah ko nahi pasand or aj ap khud hi mayoos ho kar ye bol rahi hai.. jab baba ne ye kaha tu apko rokna chahiye tha nake mujhe Yun samjhane ki Koshish kare.. 》

Adyan ne apna gussa control karte hoe kaha tha..

《 adyan 》

Isse pehle aliyan apni baat complete parta adyan wapis bola tha..

《 mai rooz subha is umeed se utha ho ke pata nahi aj hoga wo din jab wo ankhe khole gi mujhe meri kitni baato ka jawab de gi is is umeed se sota ho ke jab utho ga tu kia pata ye sab ek Bora khaub ho or jab usse batao tu kahe tum pagal ho gay ho magroor insan mai tumhe itni jaldi jaan nahi chor ne wali keh kar mere is khawab ka mazak uray.. 》

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now