𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 37

11 6 20
                                    

《 such bolo waise mujhe bhi nahi pata tha aj ye hone wala hai kasam se 》

Adyan pata raha tha jab zoya ne usse ghoora tab adyan ne kasam khai thi.. pata nahi kiyu zoya ko uski dil ki dharkane be kabo hoti mehsos ho rahi thi..

《 ok let's be serious.. last decision tumhara hi hoga.. agar tum kisi ko pasand karti ho tu tum mujhe bata sakti ho mai uncle aunty se baat karo ga 》

Adyan ab kuch serious sa bola tha..

《 tauba Astagfaar.. Allah maaf kare kaisi baat kar rahe ho mai university parne jati ho larko ko dekhne ya unse dosti karne nahi 》

Zoya ne uski baat khatam hone se pehle hi jaldi se bol dia tha.. adyan ab kuch sakoon mai aya tha..

《 phir na ki waja? 》

Adyan ne aram se poucha tha..

《 kabhi soucha nahi mamma baba ko chor ke Jane ka plus zeher bhi lagte hai 》

Zoya ne kaha tha..

《 well ab itna bhi nahi ho.. jo mujhse pouchna hai pouch lo sab bata do ga or agar reason sahi lagi tu shadi se mana bhi kar doga.. 》

Adyan ne pas para juice ka glass utha te hoe kaha tha.. ab ye wohi janta tha shadi se mana ki baat usne kaise ki hai..

《 ab maine mana bhi tu nahi kia 》

Zoya ne apne hath ko dekhte hoe kaha tha adyan ka juice pite pite hath roka tha or herani se usse dekha tha..

《 ek min kia kaha 》

Usse apne sone pe yaqeen nahi ho raha tha ke wo man gai zoya ne han kar di matlab ab zoya se wo uski zoya ho Jay gi..

《 Maine kabhi kisi ka nahi soucha na hi ye shadi ke bad life kaisi hogi life partner kaisa hoga humesha yehi soucha tha baba mamma ke sath raho gi.. baba ko ap bohot pasand hai unhe koi problem nahi hai matlab ap ache hai or mujhe pata hai baba ka faisla kabhi galat nahi hoga tu mai unke faisle ke sath Jana pasand karo gi.. 》

Adyan ne uski baat aram se soni thi chere pe halki si muskurahat thi usse acha laga tha zoya ka Yun apna batana..

《 mai apni pori Koshish karo ga ke tum kabhi ye faisla se pachtao.. 》

《 tu ab inki engagement hum aliyan or zainab ki walime wale din ki rakh lete hai 》

Wo dono andhar a chuke the apna faisla pata dia tha.. lunch ho chuka tha.. or ab sab lounge mai baithe the jab nimra ne kaha tha or uski han mai han anam ne milai thi..

Engagement ki baat se zoya thori uncomfortable hoi thi jo adyan aliyan zainab or Sarah ne note kia tha..

《 Kia hoa tum kuch kehna chahti ho? 》

Mr akhtar ne poucha tha.. ab sab ko nazre us par gai thi..

《 ji ji wo  mai wo》

Wo jhjhak rahi thi...

《 kahi bhabhi ne apna faisla tu nahi badal liya?》

Bilal ne adyan ke kan mai halki awaz mai kaha tha jispar usne usse ghoora tha..

Bilal kuch hi dair pehle aya tha office se sidha yaha..

《 kia hoa bina kisi jhjhak ke batao 》

Anam ne bohot hi pyaar se poucha tha

《 mai engagement nahi chahti.. 》

Zoya ne kaha tha.. ab sab ne thora heran ho kar usse dekha tha..

《 phir 》

Nimra ne poucha tha..

《 kia aisa nahi ho sakta ke nikha or sath hi ruksati jo Islam mai bhi hai.. or jo paise functions pe use karne hai usse kisi needed person ki madat kar de jaise kisi ki shadi larwa de ya kisi ki education pe use ho Jay.. 》

Zoya shoro mai thora jhijhki thi magar hosla kar ke bol dia tha.. uski baat pe sab muskura pare the.. nimra or mr akhtar ko apni beti ki souch par fakhar hoa tha..

Sab ne uski baat khush ho kar mani thi..

Aliyan or zainab ki nikha ka date teen maheene baad ka aya tha.. tab tak zoya or sara bhi recover ho Jay ge or unka 2nd last semester ki bhi vocations hogi tu koi masala nahi hoga..

Aj sara yahi rok gai thi zainab ke kehne par.. or zoya ko ye baat bilkul bhi pasand nahi ai thi usse pata tha age unhe kia wala hai..

Raat ka waqt tha zoya niche guest room mai thi uper ja jo nahi sakti thi pao ki waja se.. window seat par baithi apna koi novel par rahi thi..
Jab Sara or zainab coffee liye udhar ai the sath..

Jaha sara uske pas baithi thi wohi zainab bed pe baithi thi or dono usse shararati si smile pas kar rahe the

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jaha sara uske pas baithi thi wohi zainab bed pe baithi thi or dono usse shararati si smile pas kar rahe the..

《 waise adyan bhai ke sath aisi konsi baat ho gai jis ne tumhe han karne pe majboor kar dia 》

Pouch ne wali zainab thi.. sharart se poucha tha or apni smile chupane ke liye apna coffee mug muh se laga liya tha..

Zoya jawab mai bas usse halka sa dekha tha..

《 nahi appi pouchna ye chahiye ke meri bhai par fida kaise hoi 》

Sarah ne kaha tha.. or zoya apni ankho ghomaya tha..

《 maine han is liye ki ye baba ne bol dia tha unhe koi problem nahi hai or mujhe pata hai wo  jo bhi mere liye faisla ke ge wo theek hi hoga 》

Zoya ne bol kar phir se apni book ko parne lagi thi jab usse Sarah ne pakra tha or band kia tha

《 ek min kia matlab tumhe mera bhai pasand nahi?》

Sarah ne poucha tha..

《 yaar kabhi Maine soucha nahi 》

Zoya ne be fikri se kaha tha..

《 acha tu tum dono ne waise baat kia hoi》

Zainab ne dilchaspi se poucha tha.. zoya ne lamba sans le kar un dono ko dekha tha jo pore dehan se usse dekh rahe thi..

《 ap dono ko jab sab pata hai tu pouch kiyu rahe hai? 》

Zoya ki jawab par un dono ne ek dosre ko dekha tha..

《 matlab? 》

《 matlab ye ke window se ap dono ne jab sab dekh or son lia tha tu kiyu pouch rahi hai.. 》

Zoya ke patane par un dono ne ankhe zoor se band ki thi jaise unki chori sakti goi thi..














ASSLAMULAIKUM...
How are you all?
Hope you all are doing well..
Eid Al Adha Mubarak...
Xoxoxo

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now