𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 14

15 6 4
                                    

《 sab theek hai ? Or yeh sab kiya tha 》

Pouchne wala Bilal tha..

Pehle tu Mr humdani usse dekhte rahe phir kaise na kaise himmmat jama kar ke bol pare the..

《 in dono ne mere sath partnership khatam kar di hai.. jisse meri company ko bohot noksan hoga 》

《 yeh sab apko humare sath deal karne se pehle dekhna chahiye tha ke apke khud ke partners apke sath rehna chahaty hai ya nahi.. 》

Bilal ne gusse se bole tha jis par Mr humdani ghabray the ke agar inho ne bhi deal khatam kar li tu wo tu doob Jay ke loans ke niche.. or adyan ko Mr humdani ko aisi halat dekh kar ajeeb sa sakoon laga tha..

《 Mr humdani ab Hume is deal ke liye souch na pare ga hum apko bata de gay Hume yeh deal rakhna hai ya khatam karni hai 》

Apni jaga se khare hota adyan ne bola tha uske sath Bilal humdani or Sarah bhi khare ho gay the..

《 sir please ye deal mat cancel karna mai tu road par ajao ga please sir 》

Humdani ne unhe samjhane ki Koshish ki thi..

Wo dono excuse karke waja se chale jate hai..

《 aliyah bhai ke office chalo unka msg aya tha jab idhar se free ho tu unke pas ana kuch important hai 》

Adyan ne gari ko start karte hoe bola tha.. jab ke Bilal ne han mai sar hila ya tha..

Wo dono aliyan ke office ek andhar ai the salam kar ke ab wo dono aliyan ke samne wale chair par baith gay the..

《 han tu kaisa raha 》

Aliyan ne poucha tha excitement mai apna hath malsa tha.. adyan ke chery ki chamak sakoon dekh kar itna tu pata chal gaya tha ke waisa hi hoa jaisa plan kiya tha..

Flashback...

《 voice recording undone ko send kardi kiya ? 》

Bilal ne poucha tha study room mai enter hote hi.. jis par aliyan ne khandhe uchkay the " mujhe kiya pata " mai kiya tha..

《 nahi wo abhi mai tumhe send karta ho pehle check kar walo ke wo kahi pata tu nahi chal raha ke awaz edit ki hoi hai 》

Adyan unke pas a kar baitha tha..

《 okayyy 》

Flashback end...

Bilal ne sara waqia pattaya tha aliyan ko..

《 wo dono Haya par bhi ay the.. 》

Aliyan ne kaha tha.. p.a coffee ke teen cup de gaya tha..

《 acha kiya kaha un chamcho ne 》

《 Do saal pehle hone wale waqie ke kuch saboot de kar gaya tha joke saaf saaf pata chal raha hai jo hoa wo usne intensely kiya tha.. 》

Adyan ke pouchne par aliyan ne pataya tha..

《 ye tu acha hogaya na ab yeh sab karne ki zaroort hi khatam ho gai saboot khud chal kar aya hai.. ab usse police ko de dete hai.. 》

Bilal ne khushi se kaha tha..

《 nahi itni jaldi nahi abhi tu uska zawal shoro hoa hai.. waisa bhi arrest ho gaya tu kuch na kuch kar ke wo bahar nikal ay ga or yeh mai nahi chahata.. 》

Adyan ki awaz ek dam se sakht hoi thi... chery ki muskurahat gusse mai baldi thi chamak agg mai..

Najane do saal pehle kiya hoa tha...

Kiyu thi adyan mai itni badle ki agg?..

Kiyu kar raha tha wo yeh sab?..

Humdani kon tha?..

Kia badle ki agg mai sab JAL kar rakh na ho Jay?..

Zainab ka dar kahi such mai na badal jay?..

《 hmm 》

Isse zada wo dono kuch keh nahi pay the wo uska dard samjh nahi sakte the shayad koi bhi nahi samjh sakta tha magar madad tu kar sakte the or wo.. wo dono kar rahe the..

Allah aisa bhai or dost sab ko de jo khushi main sath ho na ho magar game mai sath Lazim ho..

《 ap ap kab ay.. 》

Sham ka waqt tha jab wo dono ghar ay the lounge mai baithe Mr akhtar ko dekh kar khushi or herani dono sath hoi thi..

《 waalaikum a salam 》

Mr akhtar ne undone ko thora sharminda karna chaha tha jo wo dono ho gay the.. Mr akhtar ne apne goud mai baithe Saad ko zainab ko pakraya tha..

《 Asslamulaikum 》

Dono ne sharminda ho kar bola tha.. Mr akhtar ko dekh kar wo Salam karna hi bhool gay the..

《 ap kab ay or apne bataya bhi nahi ap araha hai mai lene ajaya apko 》

Aliyan ne unke pas wale sote par baithte hoe bola tha or adyan ne Saad ko zainab ke le kar ab wo bhi sofe par ja baitha..

《 mai abhi kuch time pehle hi aya ho.. Maine tang karna monasib nahi samjha ghar ka address tha tu khud hi agaya.. 》

Mr akhtar ne bohot hi pyaar se jawab diya tha..

Sare bhare apni baato mai busy the jab Saad ne khushi se Chikha tha..

Adyan ki goud mai baitha Saad kab se adyan ke Kan Khinch raha tha.. ye Saad ka sab se pasandida Kamo mai se ek kam tha.. pata nahi kiyu magar usse adyan ke kan Khinchna bohot pasand the usse ek ajeeb si khushi multi thi..

Shayad is liye pasand tha ke koi bhara Hinch nahi sakta or usse koi kuch kahe ga nahi..

《 chachu ke sath ice cream khane Jana? 》

Adyan uska chera chomte hoe poucha tha or wo khushi se uchla tha..

《 nahi adyan bhai aj usne waisa hi kheer khai hai agar ab ice cream khay ga tu gala kharab ho Jay ga lay mai isse sola deti ho waisa bhi uska stone ka time hogaya hai.. 》

Zainab ne Saad ko adyan ki goud se lene chaha tha lekin Saad ne adyan ko uski shirt se zoor se pakra hoa tha..

《 rene de bhabhi mai isse apne sath sola lo ga.. 》

Adyan ke kehne par wo man gai thi kiyu ke adyan Saad ke sath or Saad adyan ke sath bohot khush rehte the..

Anam or zainab ne adyan aliyan or Mr akhtar ko chora tha..

《 tu kiya bana 》

Mr akhtar ne poucha tha.. aliyan ne Sara plan bataya tha or wo bhi jo ab tak ho chuke hai..

***************

any question?

****************

Aslamoalaikum...
How are you all?..
How was the chapter?..

****************

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now