𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 35

16 6 43
                                    


《 Bhana dena 》

Abhi kuch drs andhar ay the.. jab adyan ne kuch ishara kiya tha..

Nurse ne zoya ko theek karke bhitaya tha or uske hath band dia take ab wo ab adyan ko rok na pai or or ek ne usse kandho se pakra tha take wo hil na pay..

《 adyan ye galat hai plzz na karo apppiiiii 》

Zoya ne rote hoe kaha tha..

《 zoi mera bacha usse treatment tu karne do 》

《 stitches lage ge 》

Zainab ki baat abhi adhori thi jab adyan ne kaha tha or yaha zoya ki hil gai thi.. wo injection nahi laga chahti thi or yaha stitches ki baat ho rahi hai..

《 adyan mujhe apki baat manzoor hai magar plzz ye na kare mere sath 》

Zoya ki baat par adyan ke hath roka tha or usne usse jhatka se dekha tha wahi zainab bhi itni hi heran thi.. usse ye tu pata tha ke zoya hospital injections medicines se bachne ke liye kuch bhi kar sakti hai magar ye nahi pata tha or adyan ki baat man sakti hai..

Aliyan kuch hi dair pehle Sarah ke pas gaya tha..

《 very good 》

Adyan ke chery par fatihana muskurahat phail gai thi zoya ki ankho mai ek umeed thi ke ab wo shayad na kare magar wo is waqt dr tha nake adyan..

《 phook maro phook maro 》

Adyan ne uske pao se shisha nikalne ke liye hath hi lagaya tha jab zoya ne cheeka tha.. nurse ki hasi choti thi.. adyan bas sar hi hila paya tha..

Nurse me zoya ko behoshi ka injection lagaya tha jisse wo behosh hoi thi or adyan ne apna kam aram se kiya tha..

Jab zoya ko hosh aya tu wo hospital bad par thi pao par Patti lagi hoi thi pain killer ki waja se zada pain nahi ho rahi thi..

Sar apne left right hila kar dekha tu room mai Sarah zainab aliyan the..

Sarah ko discharge kar dia tha kiyu ke usse zada chot nahi ai thi..

《 tum theek hona 》

Sarah ne poucha tha..

《 han mai theek ho tum theek hona tumhe zada chot ai thi sar par ab kaisi hai dard tu nahi ho raha na 》

Zoya ne sawal ki barish ki thi uspar..

《 yaar mera choro kiya zaroort thi mujhe pakarne ki mujhe sambhalta hoe apne apko dekho kitni chot a gai hai 》

Sarah ne narzgi se kaha tha..

《 tu tumhe udhar hath pe hath rakhe dekhti rehti tum theek ho tu mai bhi theek ho or waise bhi itna nahi hai 》

Zoya ne kaha tha.. dard tu thi pao mai magar Sarah ke liye wo apni jaan bhi de sakti thi ye tu phir ek choti si kharash thi.. wahi dosri taraf baithe aliayn or zainab ke dil se dua nikli thi ke unki dosti aise hi salamat rahe.. aj kal kaha aisi dosti dekhne ko milti hai..

《 tumhara bhai bohot Bora hai kab se mera dil kar raha hai mai uska sar phar do.. 》

Zoya ne kaha tha.. ek dam se usse gussa aya tha adyan par..

《 Sharam karo zoi apne future husband ka sar Pharo gi 》

Zainab ne apni hasi da bate hoe kaha tha.. zoya ko had ka gussa aya tha us par aliyan halka sa muskura para tha or Sarah heran pareshan ye baat ho kiya rahi hai..

《 jii nahi aisa kuch nahi hone wala 》

Zoya ne saaf inkar kiya tha..

《 aise kaise tumne hi tu kaha tha stitches na lagay mai apki baat mano gi tu ab mukar kiyu rahi ho 》

Andhar ate hoe adyan dil fareb andaz mai kaha tha.. uske chery par dil jala dene wali muskurahat thi jisse dekh kar zoya ka dil jala tha..

《 Maine kaha tha agar ap mere stitches nahi lagay ge tu or apne lagay 》

Zoya ne gusse se kaha tha..

《 kisi se bhi pouch lo Maine nahi lady dr ne lagay hai 》

Ussi andaz mai dil par hath rakhte hoe kaha tha..

《 excuse me ap sab mujhe kuch batana pasand kare ge 》

Sara ne apni poucha tha..

Zainab ne usse sab bataya tha aj hone wali baat ka..

《 matlab mujhe meri dosri bhabhi bhi mil gai are wah ye pehle hi ho jata 》

Sara ne apni khushi se kaha tha jis par zoya ne usse jaan lene wali nazro se dekha tha..

《 mujhe ghar Jana hai or mamma baba kaha hai 》

Zoya ne tang a kar kaha tha..

《 wo dono ai the magar tab tum so rahi thi or hum sab yaha the tu unhe yaha se ghar bhej dia 》

Zainab ne bataya tha usse..

《 kal subha tak discharge ho jao gi 》

Adyan ne bola tha.. hath mai hospital coat ki pockets mai dale hoe the..

《 appi 》

Zoya ne dar kar kaha tha..

《 Ohho kuch nahi hoga mai yaha ho na tumhare sath 》

Zainab ne uska hath pakarte hoe kaha tha..

**************

Raat ho chuki thi aliyan or zainab dono roke the hospital.. aliyan ne kaha tha agar kisi cheez ki zaroort pari tu tum kaha jao gi lene mai rok jata ho sath..

Zainab zoya ke bed me sath pare sofe par leti hoi thi..

Zoya kab se sone ki Koshish kar rahi thi magar so nahi pa rahi thi.. reh reh kar uske dimag mai adyan ka hasta hoa chera a raha tha kabhi bolta hoa or kabhi kuch.. raat se subha ho gai thi zoya ke dimag se adyan ek pal ke liye bhi nahi gaya tha..

Nurse ne zoya ko dressing change kar di thi.. adyan ne usse pain killer di thi ke jab jab pain ho ye khani hai..

Ghar Jane ke bad wo apne mamma baba ke sath baithi hoi thi..

Zainab apna sar pakar ke baithi or nimra or mr akhtar usse hosla de rahe the.. hospital se ate hi uska rona shoro hogaya hoa tha.. jab se ai thi tab se le kar ab tak wo un dono ko koi 8 bar hospital mai hone wali baat ka bata chuki thi.. adyan par had ka gussa aya hoa tha usse..

《 mai khana yahi lagwati ho bar bar aise uthna theek nahi 》

Nimra ne kaha tha..

《 mai khud nahi kha sakti mere chot lagi hoi hai 》

Khana lag chuka tha jab zoya ne kaha tha..

Nimra sar hilaya reh gai thi.. yani pao par lagi hai hath par tu nahi.. nimra ko mr akhtar pe issi baat par gussa ata tha ke unho ne kitna bigara hoa hai zoya ko.. jitni sadha zainab thi itni hi shararati zoya thi..

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now