𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 17

18 6 12
                                    


Na chahte hoe bhi wo ro para tha..

Kuch dair wahi baitha raha tha.. ab bhi baitha rehta lekin aliyan humesha ki tarha kabab mai haddi bana tha adyan ke or zoya ke lamho mai.. aliyan ne usse ghar ane ka kaha tha or bina adyan ki baat sune phone kaat dia tha..

****************

Zainab ne sare ghar mai Saad ko dhond liya tha magar najane kaha chupa baitha hoa tha..

Achanak yaad ane par wo backyard ki taraf gai thi.. jaha usse Saad zameen par baitha nazar aya tha.. hath mai pakra bread ka slice khane ke sath sath niche bhi janbhoj kar gira raha tha..

《 mamma ki jan kiya kar raha hai 》

Zainab ne usse apni goud mai uthaye hoe poucha tha..

《 thana de laho 》

Saad ne apni hi zuban mai bola tha.. niche zameen ki taraf ishara karte hoe..

Jab usne jhok kar dekha tu wo waja chuntio ko bread dal kaha tha..

《 zoi ye kiya kar rahi 》

Zainab ne poucha tha zoya se joke zameen par baithi hath mai apki roki ke piece niche gira rahi thi..

《 inhe khana de rahi ho 》

Zoya ne zameen par ishara kiya tha..

《 chuntio ko》

Zainab ne poucha tha..

《 han ye pata nahi kab se khana dhond rahe ho ge tu Maine soucha thora sa inhe dedo 》

Zoya ki baate kabhi kabhi zainab ko la jawab kar deti thi wo itna bhi souchti hai..

Wo apne khayalo mai se Saad ke bolane par ai thi..

Saad ki adhe se zada harkate zoya jaisi thi..

**************

Do din baad aj adyan ne Mr humdani ke office Jana tha payment ke liye..

Black three piece suit pehne chery par had hi sangidgi liye Mr humdani ke cabin mai enter hoa tha hath pant ki pocket mai the..

《 please have a seat 》

Mr humdani ke kehne par wo aram se relax ho kar baitha tha..

Sarah ko bol kar unho ne payment ke peppers nikal kar adyan ke samne rakhe the..

《 constructors se deal wagira sign ho gai hai kam bhi jald shoro ho Jay ga payment karde kal tak.. 》

Mr humdani ne adyan ko pen dete hoe kaha tha..

《 agar na hoi tu 》

Adyan ne sardmahir kar bola tha joke Mr humdani ko ajeeb laga tha..

《 tu wo meri company ko seel kar de ge or mujh par legal action le ge.. 》

Mr humdani ne bola tha jis par adyan ne " o " kiya tha..

《 mai kiyu sign karo ye payment? 》

Andhaz wohi tha..

《 liya matlab meri company ke 75 percent shares tumhare naam hai tu tum hi payment karo ge  》

Mr humdani ne gusse se kaha tha..

《 or yeh apko kisne kaha 》

Chery kar ab muskurahat Phail gai thi..

《 us din peppers..》

Isse pehle wo apni baat khatam karte adyan ne kati thi..

《 acha wo.. wo tu 100rs mai kisi bhi photocopy shop se bhan jate hai..》

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now