𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 42

15 6 27
                                    

Zoya ko apni feelings samjh nahi arahi thi.. usse ho kia gaya hai.. wo adyan ke baare mai souch ne lag gai thi.. jaise.. agar tv mai kisi couple ko hath mai hath pakre chalta dekhe tu wo ye souchti thi ke ek din wo bhi Yun chale ge.. jab koi kisi ko flowers de tu ye khayal ata tha ke ek din wo dono bhi Yun kare ge.. jab kisi ko dinner date pe jata dekhti thi tu uska bhi adyan ke sath Jane ka dil kar ta tha magar halal tarike se..

《 namak 》

Nimra me thore gusse se kaha tha.. zoya ki practice start thi.. zoya jitna udhar se bhag ne ki Koshish karti thi nimra usse itna hi pakarti thi ke kare..

《 mammaaa bas na aj ke liye》

Zoya ne tang a kar kaha tha..

《 koi bas was nahi hai theek se karo pata nahi shadi ke bad kia kare gi ye larki 》

Nimra ne table se box rakhte hoe kaha tha..

《 mamma unhe pata hai itna tu ke cooking is not my cup of tea.. agar unhe unki jan pyaari hogi tu khud hi nahi kahe ge.. 》

Zoya ne namak pakarte hoe kaha tha..

《 zoya sahi se kam sekh lo mai bohot bori nand banne wali ho.. 》

Sara ne kitchen mai ate hoe kaha tha or nimra ko gale lagaya tha..

《 hone do zara meri shadi agle din hi tumhe ruksat karo gi.. 》

Zoya ne kaha tha.. jispe sara ne usse ghoora tha..

《 oyeee sahi se karo mere bhai ko khana perfect chahiye hota hai.. 》

Sarah ne nimra ke pas baithte hoe kaha tha..

《 jao phir mujhe koi shadi wadi nahi karni 》

Hath mai pakra chamuh rakh te hoe kaha tha..

《 maar par jay gi zoya chalo.. 》

Nimra ne kaha tha.. jispe sara hasi thi wohi zoya ne muh banaya tha..

《 bhai next 14th ko wapis a rahe hai.. 》

Kafi dair baate karte rahe the jab sara ne jate hoe zoya ke gale lag kar sharart se kaha tha, or ankh mari thi..

Doo minute ke liye uski sans roki thi..

《 zoiiii relax ek din wapis tu ana hi tha na not a big deal... 》

Khud ko delasa deti wo andhar gai thi..

Subha ke char baj rahe the.. magar zoya ki neend dor dor nahi a rahi thi..

《 yaaaarrr zoya tumhe pyaar kaise ho gayaaaa 》

Khud ko bar bar Kos rahi thi adyan ko pasand karne pe.. yaad jo bar bar araha tha adyan ko kabhi usne kaha tha usse or wo bhi pyaar kabhi nahi or usse pyaar hi ho gaya tha..

《 pyaar or wo bhi tumse never tum jaise sarial insan se pyaar karne se acha mai single hi mar jao 》

Apni kahe alfad yaad ay the..

《 jis din mai is bimari mai par gai na us din aise hi tumhari ankho mai ankhe dal kar itne hi confidence se bolo gi... khair aisa kuch hone nahi wala 》

Ye yaad ane pe pas para pillow utha kar apne muh pe rakha tha or halka sa chiki thi..

《 nahi nahi tab tu bara tha na ke nabi hoga wagera wagera ab kaha se himmat lao gi bol ne ki ankho mai ankhe dalke to phir door ki baat hai.. 》

Khud ko usne kaha tha..

《 khair ye tu waqt hi batay ga 》

Adyan ki alfad yaad ay the..

《 han han bata dia waqt ne bata dia 》

*********************

《 ilaçlarını zamanında al 》

ap apni medicines time le》

Adyan ne apne Patient ko kaha tha

《 evet alıyorum 》

Ji wo mai le raha ho》

Uska jawab tha..

《 Raporlarınızı aldıktan sonra sizi ameliyat hakkında bilgilendireceğim 》

Ek baar mujhe apni reports mil Jay phir mai apko apki surgery ke bare mai inform karta ho 》

Ye kehta wo apni surgery ke liye chala gaya tha..

Raat ke ek baje tak free hoa tha apni back to back doo surgery se thak har ke wo apne apartment mai aya tha or bas Let gaya tha..

Uski ankh uska phone bajne pe kholi thi.. bina number check kie usne attend kia tha..

Or us awaz ne uski sari need ek dam se urai thi..

《 Asslamulaikum 》

Salam kia tha usne awaz mai wo jhjhak mehsos kar sakta tha..

《 waalaikum a salam 》

Apni need wali awaz mai hi jawab dia tha..

《 aaa ap so rahe the.. sorry maine time nahi dekha ap so Jay koi itni important baat nahi thi Allah hafiz 》

Sharmindagi se keh thi phone band karne hi lagi thi jab usne usse roka tha...

《 nahi apni baat khatam karo.. and it's ok waise bhi jangli billiya raat ko hi zada tar jagti hai.. 》

Adyan ne haste hoe kaha tha.. take uski sharmindagi kam ho..

《 magroor insan 》

Zoya ne halki awaz mai kaha tha magar usne sun liya..

《 acha ab batao sab theek 》

Adyan ne kaha tha..

《 Dekho mujhe cooking bilkul nahi ati bilkul bhi pasand nahi hai bohot kam cheeze banani ati hai mujhe jaise aaammm jaise sorry koi yaad nahi.. subha uth kar bed room sahi karna sab se mushkil lagta hai dosra breakfast karna bhi or banana bhi or or or... 》

Wo apni hi teezi mai bool rahi thi nervous thi usse samjh a gaya tha magar kiyu ye nahi or na hi ye ke wo usse itni subha ye batane ke liye call ki hai..

《 zooyyaaa is sab ka matlb kia hai¿》

Adyan ne uski baat kati thi.. zoya lamba kia tha lekin unchi awaz mai nahi balke pyaar se..

《 is sab ka ye matlab hai ke kia tum mujhse shadi karo ge magroor insan 》

Apne sawal pe wo khud hi sharminda hoi thi.. or uske is sawal pe wo ek dam se uth kar baitha tha.. yaqeen dono ko nahi tha ke usne ye poucha kia hai... adyan ko khushi ke mare or zoya ko sharmindagi ke mare..

Yani shadi tu pehle bhi honi hi thi phir ye sawal ka kia matlab bana..

《 ek min kia kaha 》

Apne Kano pe yaqeen nahi ho raha tha..

《 kuch nahi 》

Keh ke phone band kia tha..

Adyan ne apne phone apne phone apne dil se laga kar bed ne gira tha..

《 haayy akhir pyaar ho hi gaya is jangli billi ko mujhse 》

Khud ko kaha tha usne ..

*****************

Phone band karke khud ko uske kosa tha usse call karne pe...

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now