Chapter no 45

363 10 66
                                    

*Asalam o Alaikum dear readers 😊

*How are you all? ☺️

*New chapter is here enjoy! 😃

_________________________________

Lahore,
Pakistan.

Kiran POV.

I was boiling with anger. After closing my room door with a thud. I threw myself on the bed.

Yar ye sab ulta kiu ho raha ha? Kiu koi samajh nahi raha k mujhe shadi nahi karni abhi. Sab ko bohat jaldi pari hui ha k Kiran ki shadi karo or use is Ghar se chalta karo. Urghhhh

Lekin ye waqei bohat bura hua ha Mama Papa bohat ziyada upset hn. Mere dil pe aise zakham hn jo kabhi nahi bhar sakte balke waqt k sath sath or gehre ho rahe hn... Nasoor ban rahe hn, takleef de rahe hn. Kiya karu kis se kahu. Allah please koi darmiyan ka rasta mil jaye, Please meri madad kar mein bohat pareshan hn. Teri bandi bohat preshan ha, bohat takleef mein ha mera dukh kam karde.

Mene Sirf Aik insan ki khatir khud ko barbaad kar rahi hn or Sari barbadi ka tamasha mere ghar wale daikh rahe hn jo k unse daikha nahi ja raha, hala k abhi to shuru'aat ha agge kiya hoga?

Mama Papa bhi to apni jaga thik hn na kab tak chale ga ye sab? Kab tak mein apne sath sath sab ko takleef deti rahu gi? Aik na aik din to.... Mujhe bas isi baat pe pakka rehna ha k mujhe shadi nahi karni ha abhi bas. Mama Papa ko kisi na kisi tarha aik do saal'on k liye convince kar leti hn badd ka badd mein daikh ln gi.

"Waisey Kiran Shadi abhi nahi karni ya kabhi nahi karni?" It was my conscience. I was completely restless.

"Shayad kabhi bhi nahi". I whispered. Yes I was helpless, loving him makes me do so.

"Kab tak karo gi Kiran Aik din tumhari bilkul bhi nahi chale gi Zaroori nahi k insan jo soche wohi ho, zaroori nahi ha k insan k banaye hue plans hamesha kamiyab hn" I woke up and sat on the bed. I was feeling suffocated. I poured water into the glass and gulped it within few seconds.

"Nahi kabhi bhi nahi!!!! Na abhi na kabhi. Mein kisi or se Shadi nahi karu gi. Wo nahi mila na mujhe to....to mein bhi kisi ki nahi hn gi Asad nahi to koi bhi nahi" I said a bit loud.

I rested my head on the crown of the bed and closed my eyes and tried to calm down myself.

"Relax Kiran relax" I mumbled. Suddenly I heard a loud thunderclap. The thunder of the clouds was so loud that my heart leaped in fear. The thundering of clouds were never this loud. These noises of thundering clouds were frightening. Soon the rain started and the Rain pitter-pattered on my room windows.

I always loved the rhythm of the rain but this time I was afraid of this. The tears welled out of my eyes. I could feel as if clouds were also crying with me. As the rain keeps falling from my eyes and the rain also keep falling from clouds.

Bohat bura ho raha ha mere sath. Asad bohat buzdil, sariyal ho tum. Pata nahi kis cheez ka garoor ha tum mein. Aik baar mere samne ao tumhare sarey garoor torr du gi mein. Ye tum hi thay na jo mere andar ye agg laga k gaye ho? Hena?? acha nahi kiya tumne. Us din se daro jab ye Muhabbat nafrat ki jaga lele li..... Lekin tumhe kiya fark pare ga? Jaise meri Muhabbat se tum Be-khabar ho waise hi meri nafrat se bhi be-khabar ho ge. Aik Eham sawal to abhi bhi ha Kiya Kiran tumse nafrat kar payegi???

Compromise Where stories live. Discover now