Chapter no 29

212 16 79
                                    

*Asalam o Alaikum dear readers 😊

*How are you all? ☺️

*New chapter is here enjoy! 😃

* P.S: Apki Writer ne Laziness k sarey record torr diye hn is barr. Late update k liye Maafi🙏🏻😂

________________________________

Lake saif-ul-Malook,
Pakistan

Kiran POV.

"Ap kaha se ayein hn baba jee?" I asked.

"Yaha se kuch doori pe aik gao'n ha waha se ajata hun kabhi kabhi jab khalwat se yaha baithna ho, khud se Mulaqaat karni ho." He replied.

"Ap chal k atey hn yaha?" I asked with utter shock.

"Han beta chal k ata hun Paharon ka rehne wala hun mamooli si baat ha mere liye zang nahi lagne diya khud ko kabhi" He said and laughed. I too smiled. He was old but physically fit.

"Duniya mein har cheez har insan ko nahi milti. Wo Malik ha Badshahon ko bhi kisi na kisi cheez se tarsata zaroor ha" He said pointing his index finger towards the sky.

"Koi Muhabbat ko tarasta, koi rishto'n ko tarasta, koi Paise ko tarasta, koi acha khane ko tarasta, koi sehat ko tarasta, koi Waqt ko tarasta.... Sab kisi na kisi cheez ko taras rahe hn" He said.

"Har cheez to kisi ko nahi milti Baba jee jis cheez se sab se ziyada muhabbat ki jaye us se hi kiu tarsaya jata ha?" I asked him. My eyes filled with hot water. and a tear roll down my cheek. I instantly wipe that tear.

"Azmaish beta Azmaish. Allah Apne sab se piyare bando'n ko Azmaish mein dalta ha. Isliye khud ki jan pe zulm karne se behtar ha k Hansi khushi Us ki raza mein razi ho jayein. Sabar karne walon ko bohat inaam milta ha." He said and He was right.

"Sabar karne k sath sath Allah se mangte bhi rehna chahiye. Allah ko uske Bandon ka Us se mangna bohat pasand ha." He said.

"Sab duaein bhi to poori nahi hotin na baba jee!" I said and smile.

"Kiya pata us dua ki qubooliyat ka sahi waqt hi na aya ho? Kiya pata wo Dua humare haq mein behtar hi na ho? Kiya pata humara koi aisa gunah Ho jo humari Duaon mein ruqawat bana ho? hum Khud hi farz karlete hn k Allah hmari duaein nahi sunta. Allah sunta ha! Wohi to sunta ha magar Sahi waqt pe qubool karta ha. Allah wohi Dua poori karta ha jisme uske bande ki behtari ho. Dua karte rehna chahiye Har dua Apne waqt pe qubool hoti ha. Koi jaldi ho jati ha koi dair se. Or Jo dua is Duniya mein qubool nahi hoti Us ka Ajar Akhirat mein milta ha" He replied with a smile. I too smiled. I was feeling light.

"Mangna nahi chorna. Arziyan dalte rehna ha Wo Zaat faisla kare gi k Uske bande k liye kiya acha ha kiya bura, kab nawazna ha, kab cheen'na ha. Wo bohat Hiqmat Wala hai Apne Bando'n ka acha hi sochta hai." He said again pointing his Finger towards Sky.

"Beshak" I replied.

"Kiran! Tum yaha ho Mein kab se dhoondh rahi tumhe." Miss Saira was there.

"Han khatam hogayi Kahani?" I asked her.

"Han yar Gazab ki kahani thi tumhe bhi sun'ni chahiye thi or tum yaha baithi ho" She said excitingly.

"Nahi mein aise hi thik hn" I replied and smile.

Compromise Where stories live. Discover now