PART 25 ( Bondita confronts anirudh..)

1.2K 122 10
                                    

AUTHOR's NOTE :

I know many people are thinking that instead of reuniting these two, I again put a rift between them....
But these confrontation are necessary in between them as there are many questions swirling in Bondita's mind, and she won't be able to accept Anirudh and his feelings until she gets the royal answers.....

--------------------------------------------------------------

yani.... Wo... Haan... Main hi pagal thi jo sochne lagi thi ki barrister babu ne mere liye wo sab kiya tha..mujhe sahi raate me laane ke liye..lekin nhi ye toh manorma ji se pyaar karte the... Sabse inhone jhooth kaha tha ki ye sirf ek nakli shaadi hai lekin nhi inhone ye shaadi apni marzi se ki or naam mera lagaya ki mere bhalayi ke liyi ki.....sab jhooth tha jhooth....said bondita crying which was heard by anirudh who was standing at the study door and gets shocked.....

Bondita sees him and was going from there when anirudh stops her...

Anirudh - bondita tum jaisa samjh rahi ho waise kuchh nhi hai..

Bondita- mujhe kuchh nhi sunna hai...

Anirudh - nhi tumhe aaj sunna hoga..

Bondita - kyu sunu me...

Anirudh - kyuki jo tumne padhi wo aaadha sachh hai... Ye..

Bondita- agar ye adha sachh hai toh pura sachh kya hai... Haan kya hai sachh...

Anirudh told her that at that time he thought he loves manorma but he was wrong as it was not love but a mere attraction towards her bravery.... And he got to know this when bondita left him, that then he understood that love is that he do for her and bondita to him...

He said everything, everything about his feeling toward her and stops not getting response form her side...

Anirudh - ku.. Kuchh toh bol.. Bolo bondita..

Suddenly bondita laughs and said -achha yani ab aap ye kehna chahte hai ki mere jaate hi aapko mujhse pyaar ho gya... Waah kya bahana banate hai aap...

Anirudh - main bahana nhi bana raha hu... Bondita main sachhi main tumse...

Bondita - sachhi toh thik hai mere sawalo ka jawab denge...

Anirudh - ha.. Haan dunga tum jo puchogi uska jawab dunga main....

Bondita - achha toh aap bataiye ki aap toh buri didi se bhi pyaar karte the toh wo kya tha... Fir aapko manorma didi se bhi pyaar hua wo kya tha..

Anirudh - Maine kaha na bondita wo sab bas mera unlogo ke taraf akarson tha....haan sayad maine sauadmini ke saath bachpan guzara hai isliye uske prati apni bhavna ko pyaar samjh baitha tha...... Lekin Or kuchh nhi hai kyuki pyaar toh main tumse karta hu... Unlogo se toh maine kabhi pyaar kiya hi nhi tha....

Bondita - achha yani aap ye kehna chahte hai ki mere or aapke saadi se pehle tak.... Wo aapka aapke liye aapka pyaar thi lekin mere aane ke baad aakarson... Or manorma ji unse aapko pyaar nhi tha toh aapne shaadi kyu ki sirf aakarson hone ke karan aapne shaadi bhi kar li... Waah barrister babu waah kya baat hai... Or ab jisse aapne kabhi pyaar hi nhi kiya... Jisse aapne khud mana kiya tha ki wo aapko pati babu na bulaye... Ye pyaar ki baate na kare.....usse...usse aapko pyaar ho gya....

Anirudh - Yahi toh mujhe tumhare jaane ke baad samjh aaya...

Bondita shouted - oh yani aap ye kehna chahte hai ki.... Bachpan se aap jiske saath rahe, khela, padha or yaha tak zindagi bitane ka bhi socha tha.....or bitate bhi agar main aapki zindagi me nhi aati toh.... Usse aapko pyaar nhi hua ya tha...wo toh sirf aakarsan thi..hain na???....dusra jisse aapne dusri shaadi ki....or apne pyaar ka bhavnaao ko iss diary me bhi likha.....Uske saath bhi rahe or usse bhi pyaar nhi hua....wo bhi aakarsan nikli.....Or pyaar hua bhi toh kiske saath jisne aapko chodd diya.... Jise aapne itne saalo tak mile bhi nhi.. Jise aap kabhi apni patni nhi maante the, jiske dimaag se aapne ye parivarik jeevan ka bhoot nikalne ke liye dusri shaadi ki aisa aapka kehna hai.., jisse aap sirf ek zimmedari maante the, jisse kabhi aapne pati babu bulane se mana kiya tha... Usse.....( shouted in a high tone..) Usse aapko ek din......ek din achanak se uske jaane ke baad pyaar ho gya... Wo pyaar jo aap apni bachpan ki dost se nhi kar paaye bachpan se saath rehne par.. Wo pyaar jo aap apni manchahi patni se shaadi karna par nhi kar paaye.. Wo pyaar jise aap mere dimaag se nikalna chahte the... Wo pyaar .....wo pyaar....wo pyaar....aapko mujhse ho gya or hua bhi kab jab main aapke saath thi hi nhi.... Ye kaisa pyaar hai barrister babu...

Anirudh cries listening her and said - main jaanta hu bondita ki tumhe lagta hai ki main jhooth bol raha hu lekin sahi me maine tumhare alawa sachha pyaar kisi se nhi kiya...or jaha tak manorama or meri shaadi ki baat hai toh wo bas uski muhim or tumhe sahi raaste par laane ke liye kiya tha maine...kyuki tum galat raha par jaa rahi thi.. Or mujhe tumhari fikr thi....tum mujhse  wo maang rahi thi jo main tumhe nhi de sakta tha...tum mere saath ek kamre me rehna chahti thi lekin tumhe ye hi nhi pta tha ki dusro ke liye pati patni ka ek kamre rehna ka matlab kya hota hai.....ye sab cheeze tum mujhse maang rhi thi ...isiliye maine dusri shaadi kiya... Or kuchh nhi tha....

Bondita - wahi toh ....mujhe nhi pta tha kya hota hai pati patni ka asli rishta...abhi aapne hi kaha na ki mujhe nhi samjh thi....kbhi aapne mujhse puchha ki mere liye ek kamre me rehna ka kya mtlb tha..kbhi aapko laga ki main kyu aapke saath rehna chahti thi ek kamre me...kyuki maine socha tha ki agar hum ek kamre me rahenge toh mujhe aapke saath jyada se jyada samay bitane ko milega...fir hum padhai bhi jyada karenge or khlenege bhi ek saath, main toh bachhi thi jisse sirf ek kamre me rehna ka matlb khelna, pdhna, or baate karna tha naa ki jo aap sochte the...( anirudh gets really shocked hearing her real meaning of sharing a same room with him...) lekin nhi Aapne ek baar bhi mujhse nhi pucha or le liya faisla.....or achha thik hai agar aapko fir bhi itni hi fikr thi meri, toh aap koi or dusra raasta bhi toh chunn sakte the.....

Anirudh with a guilt - le...lekin..mujhe laga ki meri dusri shaadi se tum wapas sahi raaste par aa jaogi...or aise bhi wo shaadi nakli thi...

Bondita - achha nakli shaadi thi wo lekin sirf aapke liye...humari liye nhi..... Aapne kabhi ye socha.. Ki wo shaadi aapke liye nakli thi lekin dekhne waalo ke liye, waha upasthit sabhi logo ke liye, mere liye, sab ke liye wo shaadi asli thi...or asli hi thi...saare phere, saari rasme...sab kuchh asli tha...toh usme nakli tha kya???....jaante hai kya tha usme nakli....( asked to him to which he nodded in no while crying..) Main batati hu....sirf or sirf nakli sabd jise aapne lagaya....warna shaadi bhi asli thi or rasme bhi.....dekhne waale bhi asli the or shaadi karane waale pandit bhi asli the... Sab kuchh asli tha.....
Or waise aapne kbhi uske baad ka kya ye socha...... Ek taraf aap kehte hai ki aap mujhe samaaj ke galat baato, riti, riwaajo se bachane ke liye, sahi raah par laane ke liye ye shaadi ki thi lekin kabhi aapne ye socha ki dusri shaadi kar ke mujhe usi samaaj ke baato or taano ka hissa bana diya...( this is when anirudh gets reality check..).. Aap kehte hai ki main samaaj ki baato me aa kar parivarik jeevan suru karne ki apeksha karti thi aapse jiske karan aapne shaadi ki... Lekin aapne ye socha tha ki aapki dusri shaadi ne mujhe usi parivarik jeevan ke maamlo me dhakel diya tha or mujhe pehli patni ka darja de diya tha....jo ki apne pati ko khush nhi rakh paayi thi...mujhe ye sab taano me ghasit diya .....or dusro ko mere khilaaf bolne ke liye bhadhava de diya..... Boliye kabhi socha tha kya aapne ki aapka mujhe sahi raha par laane ka raasta mujhe samaaj ke usi galat raah par daalega.....kbhi socha tha???...nhi na... Or sochte bhi kaise kyuki aapko toh apne pyaar ke saath shaadi karni thi or naam mere ujjwall bhavishya ka laga diya...kyu hain na...????

Anirudh gets shocked and now he himself was thinking why he never thought this way that his decision can also leads to this way also and why he didn't tried to find another way rather than marrying manorma and said- aisa ....aisa...nhi tha...

Bondita- toh kaisa hai.. Jawaab dijiye kyu nhi dhundha koi or raasta..... Kyu kar liya dusri shaadi or bana diya mujhe pehli patni...batayi...

Anirudh - main... Mujhe.... Main...

Bondita- kyu nhi hai na jawab jaanti thi main... Or hoga bhi kaise kyuki aapne ye shaadi sirf or sirf apne pyaar ke liye kiya tha naa ki mere bhalai ke liye.... Warna aap koyi or raasta aapnate.... Or nhi uthate ye kadam...apne sirf apne fayde ke....
(But stops at middle when she heard a voice from behind)

Meri wajah se usne ye kadam uthaya tha... Said the person...

----------------------------

That's all for today....

How was the part....

Don't forget to comment, vote up the part and share it also...

And tell me who was the person.... ???

Till then byee...
And thanks for reading...

~ A.Saurav...

Bondita- Anirudh's Lost HeartbeatWhere stories live. Discover now