MEMORY LOSS AND REAL HASEENA

2.7K 110 18
                                    

The story starts from the time when the captain(fake anubhav) was encountered by karishma singh.And as the fake anuhbav had shot haseena,and she is suffering from memory loss.She was taken to the hospital,and the doctor checked her,she gained her conciousness,and she didn't remember a single thing ammi till now was sitting outside,she entered the room, and as soon as she saw her she spoke:

hm-ammi,yeh sab log kaun hain

am-(her eyes teared up,cause she had heard outside that her child haseena had lost all her memory,so she felt,she might have forgotten even her own ammi,but she smiled with tears on listening ammi from her beloved child)kaise hain tu mera baccha

hm-hume kya hoga,hum toh bilkul fit and fine hain(she said with a sparkling smile,ammi caressed her cheeks with her hands and smiled)

am-dikh raha hain kitni fit and fine hain,tujhe maza aata hain kya apni ammi ko yu pareshan karke,bachpan main bhi aise hi behosh hone ka natak karke darati thi,shaitan ladki,humari jaan halak main atak gayi thi,dekh kya patii watii lagi huwi hain sir main sab,aur keh rahi hain theek hain

hm-aapne hi itna suna diya,ab abbu kya kya sunayenge pata nahi

am-sahil ji(abbu's name)

hm-haan haan,apke sahil ji(she said teasing)

am-lekin beta woh toh(doctor stopped ammi from saying further)

hm-kya woh toh ammi

am-kuch nahi

hm-acha woh sab chodiye,lekin ammi hume yaad nahi aa raha ki humara accident kaise huwa,jaha tak hume yaad hain hum toh hospital se nikal rahe the,uske baad hume kuch yaad nahi

am-yeh tu kya bol rahi hain hasi

hm-kya bol rahe hain matlab

doctor-baatein sab baad main,abhi filhal patient ko rest ki zaroorat hain,inhe aaram karne dijiye,aur aap sab mere saath chaliye(The doctor called them and they all reached his cabin)

do-dekhiye mrs.mallik,apke husband

am-unki death ho chuki hain

do-aur kab huwi thi

am-char saal pehle,ek mission ke dohran

do-toh phir yeh saaf ho gaya ki aapki beti ki yadasht pichli char saal ki ja chuki hain,aap sabke thane main yeh kab join huwi thi

pj-do saal pehle,inki posting yaha huwi thi

ks-lekin hume kuch batana hain(she narrated he entire accident of maddam sir,how mira was hacked,then she shot haseena,then karishma from mumbai brought a look alike of haseena,and the all happenings before she was shot)hum kaise bharosa karle ki yeh haseena mallik hi hain,yeh humari maddam sir hi hain,kahi yeh phir koi natak watak kar rahi hain toh

pj-wahi,urmila bohot nataki hain,bohot ulti khopdi hain,kya pata phir koi naya prapanch rach rahi ho,hume beakoof banane

am-yeh aap jo urmila ki baat kar rahe hain,hume nahi pata,lekin hum itna yakeen se keh sakte hain ki yeh humari bachi haseena hi hain,aur koi nahi

ks-ammi,aap samaj nahi rahi,yeh pichle do mahine se,sabko,pure vibhaag ko haseena mallik banke humare kehne pe dhong rach rahi hain,toh yeh aapko bhi chal sakti hain

am-karishma beta,ek ma aapne bache ko sirf apne sparsh se pehechan sakti hain,meri aulad hain woh,main agar apni bachi ko nahi pehechan paungi toh phir lanat hain mujh par ki hum uski ammi hain

ks-nahi aami,aap

am-thik hain,doctor sahab aap humara aur haseena ka dna test karwa sakte hain,usse toh inn police walon ko yakeen ho jayega na

When love lasts💞✅Where stories live. Discover now