HASEENA REALIZES HER LOVE FOR ANUBHAV

706 79 15
                                    

By now meera was 100% clear that her beloved friend is falling head over heels in love with anubhav.She was sure about this,but wanted her to realize it as well,and she decided that she'll help her do so.

me-haseena aaj toh tu khudse ya mujhse kuch mat chipa,bata uss din tera dil kya keh raha tha,kya tujhe unke saath wakt guzarna pasand hain

hm-hum..

me-haseena aaj nahi,tu kuch jhoot nahi bolegi,jo hain dil main saaf kahegi humse,arey teri dost hain yaar hum,mujhse nahi kahegi toh kisse kahegi,aur sawalon ke jawab yunhi baithe baithe nahi milte,unhe khojna hota hain,bata tere dil main jo aaye woh bol

hm-sach main hum nahi jante meera

me-acha theek hain,baith(meera too sat on the chair that was just ahead her)ab main jo bhi puchu uska jo jawab tere dil main pehle aaye,woh tu mujhse kahegi woh bhi sachi sachi,promise kar

hm-promise

me-kya tujhe unke saath wakt bitana pasand hain

hm-haan,kyu hum nahi jante,lekin unke saath ek alag sa apnapan lagta hain

me-okay,uss din raat ko jab yeh photo li gayi thi,humne dekha tum dono kaise ek dusre ke ankhon main khoye the,aise kyu huwa

hm-iska sahi jawab shayad humare paas bhi na ho,lekin jab woh humari help kar rahe the,jane anjane main humari nazrein unse mili,unhone dust ankh se nikal diya,lekin hum apni nazrein unse nahi hata paye.For the first time I felt lost,lost in those hazel eyes of his.Aise pehle kabhi nahi huwa humare saath,hum kabhi kisi ke ankhon main yu nahi khoye hain,unke ankhon main hume hum nazar aaye,ek dard nazar aaya,kahi na kahi pyar bhi chipa huwa tha,uss din pehli baar aise laga ki jaise hume unke saath wakt guzarna pasand hain,waise hi unhe bhi pasand hain,unke shabdon ne yeh bayan kiya.I truly understood the meaning of being lost in someone's eyes.Woh feeling hoti hain na ki sometimes you just look into someones eyes and know those are the eyes you want to get lost in for the rest of your life.It felt as if the whole world just disappeared around me,I felt like I know everything about him and what he is all about,their flaws,weakness and what they had been through.I found him not to be a stranger but to be someone who is very close to me.

me-kya tumne kabhi pehle pyar kiya hain

hm-ji nahi

me-toh isliye isse pehle kabhi tumne yeh ehsas nahi kiya,lekin ab tumhe yeh ehsas ho raha hain.Maine bhi ayush se pyar kiya hain,lekin haan,tumhari mohabbat shayad humse thoda zyada gehra hain,tumhe anubhavji se pyar ho gaya hain,jante hian tum nahi manogi,ya mana nahi chahti,lekin yahi sach hain,bhale hi tu tajurba tajurba keti rehti hain,lekin iss mamle main mujhe tujhse zyada tajurba hain,pagli tu shayad kabhi samaj bhi nahi payegi ki tu kitna chahti hian anubhavji ko.Tune apne aap ko nahi dekha jab tu apne feelings ko bayan kar rahi thi lekin maine dekhi,teri ankhon woh chamak,tere hothon ki halki si woh muskurahat,tere chehre ka yeh laali,sab bata rahi hain ki tu kitne shiddat se chahti hian unhe,haseena unhe keh de jaake

hm-hum nahi jante ki woh humare liye kya feel karte hian,aise kaise keh de

me-abhi tune kaha ki tujhe bhi laga ki woh tere saath time spend karna pasand karte hain,tera samjhta hain ki tu unke ankhon main kyu kho gayi,lekin unka,woh kyu tere ankhon main kho gaye,kyu joh insan balcony se ek min ke liye bahar aaya tha,woh tujhe dekhte tere saath wakt bitane neeche aa gaya,kyu unhone tujhse maafi tak mangi apne bure vyavhar ke liye,aur yeh tak wada kiya ki tujhse kabhi bure tareeke se baat nahi karenge,kyu tujhe unke saath comfortable feel hota hain,kyunki woh kuch aisa karte hi nahi jisse tujhe awkward lage,karna toh door ki baat woh aisa soch bhi nahi sakte,baby keh rahi hoon main,jo aag yaha lagi hain wahi udhar bhi lagi hain.Woh bhi tujhse pyar kate hain haseena,lekin iss pyar ki yahi khasiyat hoti hain,chipaye nahi chipti,shayad jisse hum pyar kare,usse na dikhe,lekin aas paas walon ko dikh jata hain,dekha hain kaise aaj kal humare saath night walks ke liye woh bhi humesha taiyar milte hain.Haseena it's now or never,jaake keh de.

hm-aise kaise keh de

me-theek hain,kuch date jaisa plan karle,unhe kisi ache se jagah le ja aur bata de apne dil ki baat

hm-lekin achi jagah

me-offo baby tujhe sab main hi bataungi toh phir main hi jake unhe I love you bhi bol du teri jagah

hm-haan yeh theek rahega,waise hi mujhe unke paas jane se hi bolti band ho jati hain

me-kuch bhi,acha theek hain tu kisi

hm-ek jagah hain,woh lakeside cafe,wahi bulati hoon,lekin reason kya dungi

me-kuch bhi de dede bahana

hm-acha theek hain(by this time a nurse came to call them both for their rounds and they got busy in their rounds.)

It was night and she was sitting on the bean bag in her balcony,looking at her abbu's photo

hm-aapko pata hain,hume aaj yeh ehsas huwa ki pyar,mohabbat yeh sab kya hota hian,all thanks to meera,usne nahi batay hota toh shayad hum kabhi realize hi na karte,par usne hume samjhaya,aur hum deewanon jaisa pyar karne lage hain anubhav se,hum jald hi unse keh denge,aisa na ho ki hum unhe kho de,agar aaj aap yaha hote toh hum aapko kaske gale lagate aur yeh khabar sunate,aur hume yakeen hain aap woh possessive abbu jaise unki puri janam kundli nikalwate,hume bhi zyada kuch nahi pata,bas itna pata hain ki woh kisi mission ke tehet yaha ruke hain aur unki ma aur ek behen hain jo yahi lucknow main rehete hain,unka naam Anubhav singh hain,aur woh bhi aapke tarah hi deshbhakt hain,ib agent,pata hain unke saath rehne se bilkul aapke saath rehne jaisa lagta hain,wahi pyar,apnapan.Aaj sach main hume bohot acha lag raha hain yeh jankar ki aapki hasi ko,pyar ho gaya,woh bhi shiddat wala pyar,bilkul filmon jaise.Pata nahi yeh shiddat wala pyar sirf humare taraf se hain ki dono taraf se,lekin hum jald hi unse apne dil ki baat keh denge,chahe unka jo bhi jawab ho,lekin humara dil keh raha hain ki woh bhi humse kahi na kahi pyar karte hain,shayad(she chuckled)pata nahi kab aap apni mission se lautoge,kab hum aapko yeh batayenge,aapko pata hian itne din se aapse baat nahi ki na toh humari baaton ki stock bad gayi hain aap jab aayenge na,toh ek do hafte toh humare baat sunne main hi nikal jayenge,waise aap apna ache se khayal rakhna aur haan jaldi wapas aa jao abbu,hum aapko miss karte hain.Bye love you.(a year rolled down her eyes but she wiped it and smiled)

CONTINUES.....

PLEASE VOTE,COMMENT AND FOLLOW IF YOU FIND IT WORTHY.KEEP WATCHING Madam SIR FROM MON-SAT AT 10 PM.

THANKYOU!!!

PRECAP-HASEENA'S FLIRTY SIDE

Target-50🌟please complete the target,a humble request.As it gives me the courage to go ahead with my story😊

When love lasts💞✅Where stories live. Discover now