CHAPTER-XII

1.5K 83 13
                                    

                     NOT PROOF READ
___________________________________________

One early morning,
Arshi's bedroom
9:30 a.m.

Both Arnav and Khushi are sleeping on the bed hugging each other tightly. Arnav's head is in the crook of Khushi neck. Soft fanning of his breath on her neck. There's no disturbance today as it's Saturday. Its the weekend. Arnav and Khushi both have made a rule that no work on weekends. They either go exploring new places or movie manias at home or they go out for dates. They never talk about work on weekends. This is how they celebrate their days. Khushi is awake. She slowly opens her eyes to marvel upon the cute sight in front of her.
-------------------------------------------------------------

On the other side of the globe,
Manchester, London,
4:00 a.m.

A lady and a man are sitting in their living room. Both with a solemn face. Another lady who is quite old like in her early 60s comes there and takes her place on the sofa.
She is Subhadra Malik and the couple sitting together are Arvind Malik and Ratna Raizada Malik.

Ratna- Maa kya kare? Kya hume jaana chahiye? Kab tak aise chhup ke rahenge aap hii bataiye. Uss insaan ke na hone ke bawajood bhi usne kitni zindagiyan barabaad ki sirf apne paison ke laalach mei. Mai apne Chhote ka bachpan nahi dekh paayi sab log Arvindji ko galat samajh rahe hai jabki baat kuch aur hai.
Arvind- Ratna, jisko galat samajhna hai woh samjhe mujhe pata hai maine kya shi aur kya galat kiya hai. Mai bass isliye khush hoon ki mujhe Khushi bitiya jaisi bahu mili jo humare Arnav ko samhal sake woh itni hoshiyaar hai ki usne iss saalon purani saazish mei loopholes nikal liye abb tak toh usne Chhote ko sab sach bata bhii diya hoga.
Subhadra- Ratna tum toh jaanti ho ki tumhe beti se kam kabhii nahi maana humne. Hume humesha ek beti chahiye thi par kabhi naseeb nahi huyi fir tum hamari zindagi mei aayi aur usse khushiyon se bhar diya. Kaash uss din humne Avinash ko god na liya hota. Par theek hai abb hume lagta hai ki hume Chhote se milna hii hoga pata chale kon hai humari bahuriya.
Ratna- Maa aapki poti bahu aur koi nahi Naitik bhaisahab aur Akshara bhabhii ki beti hii hai.
Subhadra- Kya! Yeh toh bohot hii accha hua dekho kismat bhi kaisa khel khel gayi. Jo bachpan mei tay hua tha woh aaj khud sach ho gaya. Kanhaji aapki leela aprampaar🙏🙏
Abb hume humari gudiya ko milna hii hoga aur abb bohot dur reh liya Naksh bitwa se baat kariye unhe bhii toh apne maa baba se milne ki iccha hogi. Bechari ko itne saal dur rakha hai unse.

-------------------------------------------------------------

Ottawa, Canada,
11:00 PM,

Un1; Hello
C; ...........(mute)
Un2; Itni raat ko kisse baat kar rahe hai kon hai?
Un1; Wakt aa gaya hai Gayatri sab ke saamne jaane ka abb hum itne saalon baad apni gudiya se mil sakte hai. Hum tumhe bata bhii nahi sakte ki hum kitne khush hai.
Un2; Hum gudiya ke baare mei toh bohot acche se jaante hai par aapne kabhii bataya nahi ki aap gudiya se pehli baar mile kaise?
Un1; 20 saal pehle mile they hum unse. Mehez 5 saal ki thii woh bohot cute thii uske chubby chubby cheeks aur chhote chhote haath pair aur woh hasi toh itni acchi aur khubsoorat ki kisi andher nagri ko tak roshan karde. Hum 8 saal ke they jab humare maa papa guzar gaye unka accident hua tha. Woh Naksh chachu ke bohot acche dost they aur Akshara chachi papa ko bhaii maanti thii. Jab woh dono chale gaye toh chacha chachi ne hume apne bete ki tarah pyaar kiya haalaki humne kabhii apna naam nahi badla. Tumhe pata hai jab hum udaas baithe they apne room mei toh Gudiya aayi thii humare paas uske chhote chhote pairon mei payal thii jiski awaaz itni surili ki maano tumhara man paawan ho jaaye. Woh mere pass aayi aur usne mujhe apna chocolate diya aur kaha ki; "Bhaiya ro mat mujhe pata hai ki mama mami jaha kahi bhii honge woh yeh nahi chahenge ki aap roye ya udaas ho. Jab bhii aapko unki yaad aaye aap taaron ko dekhna. Aapko pata hai maine ek kahaani suni thii jisme kaha tha ki jo log humare pass nahi rehte aur jinae hum bohot pyaar karte hai woh taare bann jaate hai aur aasman se hume dekhte hai aur humari raksha karte hai.". Yeh kehkar woh waha se chali gayi. Aur fir uske sath bitaaye woh sunehere pal...... Par fir hume unse dur jaana pada yaha tak kii chacha chachi ne bhii unse kabhii baat nahi ki ya yoon keh sakte hai baat nahi karpayi. Par hum sab fir se saath honge.

-------------------------------------------------------------

Sorry no arshi scenes here but this part was important to understand the further plot.Sorry for being so absent. I guess aaplog abb tak bhul bhii gaye honge humari story ko. A big thanks to all my loyal readers my supporters for being with me throughout this journey. Yeh chapter thoda chhota hai but I promise ki aage ke plot bohot interesting hoga and mai aur lambe chapters banane ka try karungi aur ho sake toh chapter 13 bhii issi week post karungi. Thank you everyone for your patience please keep patience interesting plot ahead. 

Love,
Author💕

Arnav's Shona Where stories live. Discover now