I Love Abir!!!

314 15 11
                                    

Abir- chacha ji, har insaan alag hota hai. Thoda adjust toh karna padta hai.

Mukesh- par kitna?? Tu yahaan aata hi kitna hai jo tujhe yahaan ke haalat pata honge??

Dharmesh- dekha. Yahi. Yahi dikkat hai. Kissi ki baat sun-ne ko razi hi nahi hai yeh aadmi.

Abir (to Dharmesh)- Chacha ji please. Ek minute shant ho jaaiye. (To Mukesh) chacha ji, mai yahaan kam aata hoon, par jab bhi aata hoon, sab kuch notice karta hoon. Aur maine aap dono bhaiyon ka pyar dekha hai. Dharmesh Chacha ji ne aapko apne bachche ki tarah samjha hai toh unhone kuch keh diya toh kya ho gaya.

Abir was trying to solve the argument between Dharmesh and Mukesh but Mukesh was not ready to patch up. DM was sitting holding her head since both her sons were not listening to her. The ladies were standing at a side, hearing everything. Just hearing, since they didn't have any right to speak.

Mukesh- dikkat bhai ke bolne se nahi hai. Dikkat inki har baat pe bolne se hai. Meri apni bhi zindagi hai. Yeh kaun hote hain meri zindagi ke fainsle lene wale. Yeh mujhe salah de sakte hain, apni marzi thop thodi sakte hain.

Dharmesh- tu ab ka soch raha hai. Mai aage ka soch raha hoon. Maana woh zameen tere naam pe hai par aise paison ke lalach mein bechne laga toh chal gaya ghar. Abir yaar samjha na issey.

Abir (to Mukesh)- chacha ji, mai Dharmesh Chacha ji se sehmat hoon.

Mukesh- Abir tu---

Abir- chacha ji chacha ji. Ek minute please. Aap khud hi socho na. Aapki uss zameen ke 25 lakh mil rahe hain. Kab tak chaleinge yeh paise?? 5 saal?? 10 saal?? 12 saal?? Usske baad?? Kabhi na kabhi toh khatam honge hi na. Aur jab itne paise ek saath aate hain toh kharche kahin na kahin se nikal hi aate hain.

Mukesh- toh tu bata kya karoon mai?? Khana chhod dein?? Ya bachchon ko padhana chhod dein. Jitni fasal iss saal kharaab huyi hai na uss se paise ki kitni tangi hai tu nahi samjhega. Teri toh sarkari naukri hai. Har mahine khaate mein paise aa jaate hain, par hum toh kisan hain na. Humara ghar toh fasal bech ke hi chalta hai.

Abir- exactly. Sahi kaha. Aapka ghar fasal bech ke chalta hai. Aaj aap zameen bech doge toh fasal kahaan lagaaoge?? Mujhe pata hai tangi aati hai par..... agar kidney theek se kaam nahi kar rahi toh aap woh nikalwa ke bech thodi doge. Usska ilaaj karoge, ussey theek karoge.

A long discussion took place to make Mukesh understand.

Dharmesh- bas kar Abir. Yeh jo bolta hai bolne de. Mai isski nahi sununga.

Saying this, Dharmesh got up and went inside. Mukesh also felt bad and hence he also left.

Everyone was confused. After about half minute, both came out with legal paper in their hands. The stood in front of each other, tore the papers and threw it on the ground.

Dharmesh (throwing papers down)- yeh lo maa. Baat khatam.

Mukesh (throwing papers)- yeh lo maa. (Confused, to Dharmesh) tuney kya faada??

Dharmesh- maine zameen ke kagaz faade hain, aur kya.

Mukesh (confused)- fir maine kya faad diya??

Just then Hero's voice came from inside.

Hero- mummy!!!! Mera 10th ka certificate nahi mil raha!!!! Abhi toh yahaan fridge pe rakha tha.

Everyone looks towards the direction of voice, then towards each other. Registering what happened everyone's eyes widened and burst out laughing.
_____________________________

By 11 o'clock, Rajvanshs reached there and Mishti was the happiest. She immediately hugged Ishwari and Bhanwari. Abir introduces Kuhu, ketki and Nisha to the family since Kuhu and ketki came there after ten years and their looks had changed and Nisha came there for the first time. The ladies hug them happily.

Mere Humsafar...Where stories live. Discover now