Abir's Dilemma.

279 17 16
                                    

Abir- kya hua doctor?? Aap pareshaan lag rahi hain. Kuch serious hai?? Mishti theek hai na?? Bachcha??

Dr. Malini- I'm sorry to say but....... nahi.

Abir was shocked.

Abir- matlab??

Dr. Malini- I mean bachcha theek hai lekin Mishti nahi. Aur ho sakta hai aage chal ke baat aur bigad jaaye.

Abir was still processing what doctor just said when she threw an another bomb.....

Dr. Malini- I know aap log iss news se bahut khush hain par mai facts chhupa nahi sakti and iss se pehle ke der ho jaaye, aapko decision lena hoga.

Abir- kaisa decision??

Dr. Malini (taking a deep breath)- ke aap risk lene ke liye taiyaar hain ya nahi. Aap yeh baby rakhna chahte hain ya....

Abir- ya??

Dr. Malini- ya.... or.... or you wanna abort.

Abir (stood up shocked and angry)- are you mad!!?? Yeh kya bol rahi hain aap!!??

Dr. Malini- listen Mr. Rajvansh, please relax. Aap baithiye please. Paani pijiye.

Abir sits down and drinks water.

Abir- chillane ke liye I'm sorry, par aapne baat hi aisi ki. Aur.... aur kya hua hai Mishti ko??

Dr. Malini- I understand your concern but..... but Mishti is weak. She's anaemic. Vitamins ki jitni amount ek insaan ki body mein hone chahiye, uss se kaafi kam hain Mishti ki body mein. Aur iss condition mein pregnancy continue karna, its a risk.

Abir- you mean ke malnutrition ki wajah se Mishti physically itni strong nahi hai ke ek baby carry kar sakey.

Dr. Malini- ji.

Abir- toh woh toh hum cure kar sakte hain na. Iss baat ke liye abortion?? Nahi. No never. Mai.... hum usski diet mein sudhaar kar sakte hain, mai personally usske khaane peene ka dhyaan rakhunga aur mai kya, poori family usska dhyaan rakhegi. Jo bhi nutrients usski body mein kam hain, we'll try to make them normal.

Dr. Malini- Mr. Rajvansh aapko agar 15 saal pehle bukhar hua, lekin tab usski dawaai nahi mili aur aaj mil gayi toh aap kha ke theek ho jaaoge??

Abir- what!!?? Mai yahaan serious baat kar raha hoon aur aap....

Dr. Malini- aap mere sawal ka jawaab dijiye pehle.

Abir- what rubbish. Dawaai lene ka ek time hota hai. 15 saal pehle ke bukhar ke liye aaj dawaai khaaunga toh kya asar karegi??

Dr. Malini- exactly. My point. Ek body ko specific type ke nutrients milne ke liye ek specific time hota hai, ek age hoti hai, jo Mishti ko uss age mein nahi miley.

Abir- mera mann nahi maan raha. Mai.... nahi. Mujhse nahi hoga. Aur Mishti. Mishti ke chehre pe khushi dekhi thi aapne?? Maine dekhi. Mai woh.... par....

Abir holds his head.

Abir (after calming himself)- kya abortion hi ek rasta hai??

Dr. Malini- dekhiye 70-30 ki ratio laga lijiye. Yeh pregnancy continue karna unke liye difficult hoga but impossible nahi, but kyunke negative results ke chances jyada hain, maine aapko yeh suggest kiya.

Abir- aap please thoda detail mein bataaiye. Kya cheez ka kya effect hoga.

Dr. Malini- problem dono taraf hai. Kyunke yeh first pregnancy hai toh agar him abort karte hain ya God forbid agar miscarriage hota hai toh unhe second time problem ho sakti hai aur aisa bhi ho sakta hai ke woh dobara maa na ban sakey.

Mere Humsafar...Where stories live. Discover now