Danger Lurks.

214 18 7
                                    

Two tall bodybuilder type men in black shirt and pant, wearing black goggles and a Bluetooth earphone in their right ear were standing crossing their arms to their chests.

Nisha looks towards them and then towards raghav, who was standing with a proud smile.

Nisha- husband ji, aap bataaeinge yeh kya hai??

Rv- correction. Kya hai nahi, kaun hain. Yeh tumhare bodyguards hain. Shankar aur Jai.

Bhanwari- arrey beta par bodyguard kyun le ke aaya hai tu??

Rv- maa, mai koi risk nahi lena chahta. Yeh dono college mein isski har zarurat ka khayal rakheinge. Garmi ki chhuttiyan khatam ho rahi hain. Mai issey college jaane se manah toh kar nahi sakta toh maine yeh alternative dhoondha.

Nisha- matlab ab yeh dono Khali (Not khaali, but Khali. Wrestler Khali) mere saath jaaeinge, jahaan bhi mai jaaun.

Rv (proudly)- haan.

Nisha- mai college mein na professor hoon. Koi college ki president nahi hoon jo inhe le ke jaaun.

Rv- tum koi normal professor nahi ho. Tum Inspector Raghav Rajvansh ki biwi ho. Tumhare principal se baat ho chuki hai meri.

Nisha- tumne principal sir ko mana liya!!??

Raghav nods proudly and Nisha, making a crying face looks towards the bodyguards. Abir noticed 'something' with Shankar but ignored thinking it was normal.
_______________________________

Abir- bye maa. Bye maasi.

Ishwari- bye beta.

Bhanwari- jaldi aa jana. Aaj shaam ko humein jana hai.

Abir- ok.

Abir and Raghav leave.

Ketki- kya maa. Aap bhabhiyo ko saath le ke ja rahe ho. Hum dono toh bore ho jaaeinge.

Ishwari- haan toh tum dono bhi saath chalo na.

Kuhu- #not_at_all wahaan ja ke raat bhar bore kaun hoga.

Bhanwari- tum dono ka kuch nahi ho sakta. Bhagwaan ka naam bhi le liya karo. Jab dekho phone mein hi ghusi rehti ho.

Mishti (comes)- maa, maine Internet se dekh ke ice cream banaani seekhi hai. Mai banaaun?? Aap khaeingi??

Ishwari- haan bhai. Meri pyari bahu kuch banaaye aur hum na khaaein, aisa kabhi ho sakta hai. Zaroor khaaeinge. Par haan, apne aap ko thakaana matt. Jugnu aur mai tumhare paas hi raheinge. Kuch bhi zarurat ho toh batana.

Mishti- ji maa.
.
.
.
Mishti was making ice cream in kitchen when her phone rang.

Mishti (picking up the call, playfully)- Ji Inspector sahab. Kahiye, kaise yaad kiya.

Abir- yaad ussey kiya jata hai jaan-e-mann jo bhoola ho. Tum toh 24/7 mere dil-o-dimaag mein rehti ho.

Mishti- jyada makhhan sehat ke liye haanikarak hota hai.

Abir- haan par pati itne pyar se khilaaye toh faydemand hota hai.

Mishti- umm hmm??

Abir- hmm. BTW, kya kar rahi thi??

Mishti- mai woh.... (in mind) nahi. Ghar aaeinge toh surprise doongi. Phir reaction dekhungi.

Abir- hello?? Mishti??

Mishti- ji?? Ji. Woh... kuch nahi bas kitchen ke normal chhote mote kaam.

Abir- hmm. Kaam hi matt karti rehna, araam bhi kar lena.

Mere Humsafar...Where stories live. Discover now