~ a dreamy proposal ~

3.8K 101 91
                                    

Life works in mysterious ways. We can plan and plan, but it always finds its ways to sweep us off of our feet. Guess that's why one should never close themselves off to the idea of being surprised and taken off-guard. As he leaned against his terrace window frame, taking a sip out of his mug, Farjaad couldn't help but think about all that had happened in the last two months. 

Two months, more eventful than the last six years combined. Making him feel more emotions than he had ever felt before. Such was life. You'd think that you were able to kill the living, breathing person inside of you, but it subtly reminds you that you can never take it out. Till the last breath.

Breath. That's how he would describe his toofan-e-badtameezi. A first breath you take on a beautful spring morning. The one that makes you forget about the melancholy that was winter. 

"Taubah Farjaad Khan, tum to shayir hi ban gaye ho." 

He let our a chuckle and shook his head, when his eyes landed on the backyard pool. Brain flashing the picture of him in it, on a chilly winter evening and Umeed poking him with a stick. The first time she came over to his home. Unconsciously, his hand reached out for his phone from his pocket, and dialled the number that was right on top in his frequent contacts. 

"Muazaz saarif, aap se arz hai ke ye koi shareefon wala time nahi hai kisi khoobsurat larki ko call kar ke tang karnay ka. Baraye meharbani kisi munasib waqt pe call kijiye ga."

The smile on his face grew wider. 

"Wo koobsurat larki agar mausoof ki honay wali biwi ho, tab bhi nahi?"

The line went silent. He knew Umeed was blushing and biting her lip. So he continued.

"Wese aap ki itlaa ke liye arz hai, ke ye shareef aadmi ke sonay ka waqt hua karta tha, magar kuch aisa hai ke aik toofaan ne aa ke saari routine kharaab kar di hai, to ab waqt ki orientation kuch mushkil se hi hoti hai."

"Ye aap har cheez ka ilzaam mujh pe kyun daaltay hein? Ab keh dein ke ye jo mehngayi ho rahi hai, ye bhi mera hi qasoor hai. Khair, kyun call ki hai aap ne? Jaldi batayein, faarigh nahi hoon mein."

"Mujh se baat karnay se zyada eham kaam bhi hai koi aap ke paas?"

Umeed huffed in response. 

"Buhat khushfehmiyan hein aap ko apnay baaray mein? Jee, abhi meri break chal rahi hai, phir mujhe parhna hai. Exams honay walay hein na, is baar achay grades lenay hein mujhe."

Farjaad couldn't help but smile at her words. He was really proud of the effort Umeed was putting into her studies. She really wanted to prove to him and Pasha sahab that she was starting to take life seriously. 

"To aap apni break kesay kaat rahi hein?"

"Itni achi hawaa chal rahi thi to mein coffee le ke lawn mein aa gayi - "

"Coffee?"

Umeed bit her tongue. She had let out too much. He was going to get even more boastful now. 

"Jee coffee. Neend aa rahi thi, is liye pi rahi hoon. Ye mat sochein ke aap yaad aa rahay thay."

"Mene aisa socha to nahi tha, magar acha hua tum ne khudi bata diya. Wese tumhara to nahi pata, magar mein tumhein yaad kar ke hi chai pi raha tha."

"Aap - aap chai pi rahay hein? Meri wajah se?"

He could sense the excitement and happiness in her voice, making him smile too. 

"Haan, mera to ab har kaam tumharay hi gird ghoomta hai, Umeed. Mein, mera ghar, mera kamra, sab intezaar kar rahay hein tumhara."

"Ye bhi acha hai. Aap ko pata hai na ke aap ne abhi tak mujhe formally propose bhi nahi kiya. Khudi se assume kar liya bas ke aap mere mangetar ban gaye hein."

Farmeed / One-shot SeriesWhere stories live. Discover now