~ we're a great team! ~

790 56 7
                                    


(This is a continuation of the previous part)

Umeed kept fumbling her fingers as she paced around the room. Farjaad finally had enough. He was beginning to feel dizzy with her constant movement. Placing the laptop to the side, he finally spoke up. 

"Umeed! Kya masla hai? Kyun kamray ke pheray lagaye ja rahi ho?"

She stopped for a while as she turned to look at him, pouting her lips. 

"Tension ho rahi hai buhat"

"Kis cheez ki?"

"Ye jo aap ne sab ko daawat pe bula liya hai, is ki!"

He sighed, getting up. 

"Is mein tension wali kya baat hai?"

"Tension ki baat hai. Chaar ghentay reh gaye hein. Sab aaye hue hon gay, phir se koi garbar ho gayi, to?"

"To kya? Sab apnay hi log hein, konsa koi ghair hein?"

"Farjaad, mujhe achay se pata hai ke sab ko yehi lagta hai ke mein sirf waqt zaaya kar rahi hoon cafe chala ke. Mein nahi chahti ke un sab ko yaqeen hi ho jaye."

He moved closer to her, holding her firmly by the shoulders. 

"Umeed, aisa kuch bhi nahi ho ga. Mene tumhein pehle bhi kaha tha na ke hum mil ke kar lein gay handle."

"Aap ko nahi pata, mein hamesha koi na koi bongi maar jati hoon, ya khudi se kuch ulta ho jata hai."

"Ab aisay weham le ke jao gi to waqaye kuch garbar hi ho gi. Listen, sirf ghar ke log hein, unhein chai serve karni hai, nothing will go wrong. Trust me!"

She wanted to believe him. She really did. So she looked him in the eye for the reassurance she always found there. 

"Pakka?"

"Jee, pakka."

"Aur aap meri madad karein gay na?"

"Bilkul karoon ga. Aaj ka aap ka waiter haazir hai."

He smiled.

"Waiter?"

"Haan to owner to tum ho, tumhara cafe hai. Mein to mulazim hi hoon na."

"Aap? Mr. CEO? Mulazim?"

"Jee, Pasha's cafe ka mamooli sa mulazim."

"Acha, aur kya tankhua lein gay aap is mazdoori gi."

Farjaad smirked, leaning closer to her ear. 

"Monetary nahi, mujhe koi aur payment chahiye."

Umeed gasped, elbowing him, making him laugh. 

"Rehne dein aap, mujhe aap ki services nahi chahiyein, shukriya."

She pushed him, walking away, but Farjaad was quick to grab her by the elbow, crashing her into his chest. 

"Pakka? Kaafi varied qisam ki services provide kar sakta hoon mein. Soch lein, aisa heera baar baar nahi milay ga aap ko."

"Aik mil gaya hai na, wohi buhat hai. Shukriya."

Giving him a light push, she walked towards the closet. She scanned through her clothes, unable to decide on something for the night. 

"Mein pick karoon aaj tumharay liye?"

"Okay, magar phir mein aap ke liye pick karoon gi"

"Jee begum sahiba, aap to sherwani bhi nikal dein to hum pehan lein."

Farmeed / One-shot SeriesWhere stories live. Discover now