begining of the journey

198 8 4
                                    

in the morning time kumar got call from basant(they are not moved mumbai yet)
all are talking with basant and monika (phone in loudspeaker)
basant : maa sumedh waha nahi hai kya ?
gouri : aree hai na andar hai ruk bulati hu
sumedh ....
then one boy infront of mirror combing his curly hair
his hezel green eyes are visible in the mirror.
ishita : maa aapke beta aise nahi aayega ruko hum dono lekar aate hai chalo shivya
shivya : ha chalo
They went to his room
they are back side of him
ishita & shivya at once (shouting) : bhaiya.....
then he turned back with a zerk
Sumedh : kya hua aise kyu chilla rahe ho dono
Shivya : warna aap toh aayenge hi nahi maa kabse bula rahi hai
ishita : ha basant bhaiya aur bhabhi call me hai jaldi aao aap
then he became very happy
Sumedh : kya toh chalo baat karte hai
then they went to hall
sumedh : hello bhaiya bhabhi kaise ho
Monika : hum bohot achhe hai sumedh tumhara kya tumhare job trials kaise hai
Sumedh : aur kya nayi hogi bhabhi wahi interview pe jaana mujhe interview karna mujhe almost select kehna fir wahi ko select karna jo laakho me paise bharte hai jiske paas degree tak nahi hai mujhe nahi lagta ki koi job mujhe aayegi
Monika : aisa mat kaho sumedh aajayegi job bas waqt lagta hai
then sumedh smiled
Basant : achha pappa mujhe aapse ek important baat karni hai
Kumar : ha beta bolo
basant : pappa aap sab yaha humesha keliye aajayiye na hum sab eksath honge
Kumar : nahi beta sumedh ka ab tak koi job nahi hai mere job toh chala gaya hai upar se monika pregnant hai me nahi chahta hu ki hum sab tumhare liye bojh banjaye
Basant : pappa mere liye mere family bojh kaise hogi
Monika : ha pappa aap sab humare liye bojh nahi hai aap sabhi toh humare apne hai aap toh jaante hai na meri maa papa mujhse baat nahi karte isiliye kyuki meine basant ji se shadi ki even mere pregnancy news sunne ke baad bhi woh baat nahi ki ...
mere liye maa baba toh aap dono hi hai aap sabhi mere parivar hai bojh nahi
yaha aayenge toh sumedh,ishi,shivya ka achhi life hogi ham sab sath me honge aur vaise aap hi kehte the na agar parivar me Shanti ho ekdusro me understanding ho toh woh kahi bhi honge woh jannat bann jata hai jaise bhi honge Khushi hi milti hai
Maan jaayiye baba
shivya : pappa i think bhaiya bhabhi sahi keh rahe hai Maan jaayiye na
Gouri : bachhe sahi keh rahe hai waise monika ka khyal bhi rakhna hai usko iss waqt me ek maa ki zaruri hai uski maa toh aayegi nahi Kam se Kam hume toh honi chahiye
kumar : thik hai beta hum aayenge
basant and monika became very much happy
basant : sach me pappa !!!
kumar : ha beta kal subha 10bajhe ka bus ko aayenge
monika : thank you pappa thank you very much
gouri : par ek baat dhyan se sunna sunna basant humare aane ke wajah se monika ko zyada stress mat Dena aane ke baad sab me hi karungi
basant : ha ha maa waise aapke bahu ko koi pareshan kar sakte hai bhala
All are laughed
kumar : thik hai beta ab rakhunga tayyariya bhi karni hai na
then they cutted the call
Kumar : achha me Zara Sharma ji ke paas jata hu
gouri v ji
then he left from there
After that sumedh engaged in some thoughts
gouri,Ishita,shivya was there
shivya : sumedh Bhai ab aap kin socho me pad Gaye ho
he stared at her little angrily
gouri : shivya kyu usse pareshan kar rahi hai tu utho waha se
she sat besides of him and puts her hand on his shoulder
gouri : kya baat hai beta kya soch rahe ho
sumedh : maa mujhe na bohot guilt feel ho raha hai
ek toh mujhe koi job nahi mil rahi hai ab toh pura parivar ka jimmedari basant Bhai par hai upar se bhabhi pregnant bhi hai
gouri : me samajhti hu tumhare mann me kya chal raha hai par beta tum koshish toh kar rahe ho na isiliye hum mein koi bhi tumhe pressure nahi kar rahe hai me aur tumhare pappa humesha tum sabhi ka bhalayi chahte the aur chahenge bhi hum apne bachho ka har halat par support karenge
shivya : vaise bhaiya aap itna negative kyu sochte hai aap toh yehi sochte ki aapko job nahi mil rahi hai par aap yeh kyu nahi sochte ki aapko yaha koi bhi job nahi mil rahi hai toh inn sabse badha turning point hogi
sumedh : kya turning point hogi shivya na hi yaha kuch job milegi na hi mumbai me jagah badalne se kismat nahi badlegi
Ishita : nahi bhaiya shivya sahi bol rahi hai aapko zarur mumbai me kuch life turning point aayegi
then someone's beautiful eyes sees in mirror and she putting bindi on her head
someone : mallika beta jaldi aaja nashta nahi karni kya
then she turns back
mallika : aayi mummy
she went to dining table and hugged her mom from back
mallika : good morning mummy
siya v good morning achha ab baitho Aaj me khilaungi
then she broke the hug
mallika : mummy me badi hogayi hu me khud khalungi
by saying this she sat on the chair
siya : na.... aaj aisa kuch bhi nahi chalega har din tum aur Anu aadha khake hi jate hai aaj me tum dono ko khilaungi chup chap Khao ab aakar
She started feeding her
Siya : yeh Anushka ab tak nahi aayi Anu...jaldi aao school nahi jaana kya aao nashta karo
Then anushka came to dining table
anushka : good morning didi
Mallika : good morning Anu .... Saare books bag me rakhli na
anushka : ha didi sab rakhli
siya : Anu baitho Aaj tumhe bhi me hi khilaungi
anushka : mummy.....
siya : kya mummy aaj tumhare drama kuch bhi nahi chalegi chup chap baitho
then she sat on the chair
siya started feeding anushka also
then zalak came with hansh
zalak : good morning maami ji
siya : good morning beta lo tumhara aur hansh ka nashta laga hua hai
Zalak : maami ji meine kaha na ki aaj me aapki help karungi
siya : aree beta tumhi hansh se itni busy hoti ho mere help kaise karogi me kaam khud kar sakti hu beta tum Khao
Zalak smiled and sat on the chair by makin hansh sit in her lap
and started feeding hansh along with him she also eating
then someone : siya nashta tayyar hai ki nahi
siya : tayyar hai maaji aap bas aayiye
Then Durga Devi has came
zalak,mallika & anushka : good morning dadi
Durga Devi : good morning bachho
Zalak : Mallika mujhe toh lagta hai ki tum dono me aur hansh me farak hi nahi hai jaise yeh mere bachha hai tum dono maami ji keliye ab bhi bachhe hai
mallika smiled
siya : kyuki me maa hu na beta isiliye
someone's voice : maa toh hum sabhi hai na bhabhi
then varaakshi came to siya
Varaakshi : maa toh hum bhi hai bhabhi par hum aapke jaise overacting nahi karte
siya deeply hurted for that but didn't shown she keep feeding mallika and anushka
Zalak, mallika and anushka felt bad zalak and anushka about to say something but mallika stopped them
Mallika : bua ji aayiye na Aaj aapke favourite nashta bani hai
varaakshi : ha beta
she started eating
mallika : umm.... mummy pappa kaha hai
siya : aate hi honge beta lo aagaye
mallika : good morning pappa
anushka : good morning pappa
varanj : good morning bachho
siya aao tum bhi Khao
siya : nahi ji baad me khaungi bachho ko khila rahi hu na
varanj : achha .... Aaj mujhe acidity jaisa lag raha hai me baad me khaunga
mallika got worried
mallika : pappa aapne medicines liye na
varanj : ha beta tu mere chinta mat kar me thik ho jaunga
Durga Devi : varanj siya keliye tumhe na khaane ki kya jarurat
Usko jab khaana hai tab khayegi tu kha koi bahana mat do
varanj : aree maa sach me acidity hai aapse thodi na jhut kehta hu
siya knows that varanj is not eating for siya only...
varaakshi : mallika beta Aaj me tumhare sath office aaungi ok?
mallika : okk bua ji
everyone finished their breakfast mallika about to go but zalak stopped her anushka also there
zalak : mallika tumne kyu roka hume
anushka : ha didi mujhe achha nahi laga jab bua ji ne Aisa kaha
mallika : di,Anu i understand woh meri bhi maa hai sabse pehle mujhe hi dukh laga aur gussa aaya par waha dadi hai me chahti ki subha subha kuch jhagda ho aur bua ji ko kya jawab Dena hai woh me dungi me apne maa ko jhukne nahi dungi
zalak nodded like yes
Mallika : achha ab hum chalte hai chalo Anu
Varaakshi about sit in the car
mallika : rukiye bua ji Anu tum car me baitho mujhe bua ji se baat karni hai
anushka sat in the car
varaakshi : bolo beta kya baat karni hai
Mallika(with confidence): aap firse meri maa se aisa baat mat kijiye ga
varaakshi : par beta me toh bas
she cutted her words
mallika : nahi bua ji meine waha kuch nahi kaha kyuki me nahi chahti ki subha subha koi jhagda hojaye
aapne kaha na ki aap sabhi maa hai par meri maa jaise nahi karte woh isiliye kyuki aapka pyar karne ki tarika alag aur mere maa ki pyar karne tarika alag
aap dadi didi meri maa jaise chinta nahi karte kyuki
aapke bachhe aapke saamne hai aur apna khyal rakhte hai
dadi ke saamne aap aur pappa hai aapke saamne zalak di hoti hai
hansh toh zalak di ke sath hi hota hai woh har sec apne bachhe ka khyal rakh sakti hai par meri maa ko Aisa nahi me office jaati hu aur Anu school jati hai aur agar hum dono kuch kaam me pad jate hai toh khaana tak bhul jate hai aur meri maa yeh baat bohot achhe se jaanti hai
uske pyar karne ka tarika aapse alag hai iska matlab yeh nahi ki woh overacting karti hai ab aage kabhi bhi meri maa se aisa baat mat kijiye ga khaaskar Anu ke saamne woh apne maa galat nahi samjhegi balki apne bua ke baare me hi galat samjhegi bachhi na
after listening that varaakshi don't have any words to answer
mallika noticed her mother from some far (siya couldn't hear their conversation)
mallika : aap car me baithiye me aati hu
then varaakshi sat in the car
mallika went to her mother
siya : mallika bua se kya baat kar rahi thi batao
Mallika : Bas apni maa ki self respect ko bachaa rahi hu
siya : beta jo bhi hua woh hum dono ke beech tha me nahi chahti ki meri wajah se tum dono bua bhanji ke beech kuch bhi jhagde aaye me nahi chahti hu ki meri wajah se tum dono ke beech pyar Kam hojaye
mallika : pyar Kam hogi tab na mummy
me unki bhanji hu par aapke beti bhi
maa toh kuch kahegi na Kam se Kam beti ko toh bolni chahiye na
then both are smiled
siya put her hands on mallika's cheeks
siya : tu toh meri maa hai tumhare Nani bhi aisi hi hai bhagwan mujhse meri maa ko dur nahi ki beti ke roop me mere paas hi rakhe the
both are smiled
mallika : achha ab bas karo me already bohot late hu Anu ko school me drop karna hai fir office Jana hai thik hai bye mummy
mallika kissed on siya cheek

so that's all in this part i know it's some lag but please adjust with this
for this much i took alot of efforts and and time so I hope you all like it
Will update next part soon till then stay tune
Radhe Radhe 💛
Btw happy radhashtami ❤️

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now