supportive abhinav

73 9 0
                                    

mallika : abhinav!
abhinav : i'm sorry disturb toh nahi kiya
mallika : aahm no no..please come
he went to her table
mallika : baithiye
he sat on chair
sumedh : madam mera kaam hogaya me chalta hu
abhinav : sumedh, aap yehi rahiye
agar aap rahenge toh mallika free feel kar payegi mere sath
he seen at her
she moved her head like be here
sumedh nodded like okay
abhinav : aap bhi baithiye
mallika sat on her seat
sumedh sat on chair which besides of abhinav
mallika : kya lenge coffee, tea
abhinav : no, thanks
actually me aapko sorry bolne aaya tha
kal meri mom jiss tarah se aapse behave ki uske liye i'm very very sorry
mallika : no, it's okay
koi bhi unke place me aisa hi karte hai
abhinav : definitely not mallika.
she literally judged your character
mujhe kabhi nahi laga meri mom aisa baat karegi
sach me dil se sorry mallika
mallika : aree meine kaha na it's okay
i never mind that jo hua so hogaya ab uske bare me sochke kya faida
abhinav : absolutely right..
btw aap dono ka love matter kaha tak aaya aapke ghar wale maan gaye?
sumellika seen at eachother
mallika : nahi woh...
meri gharwale abhi tak nahi maane
abhinav is little bit shocked for her answer
abhinav : whattt?
mujhe laga sumedh ke gharwale nahi maanenge but aapke gharwale nahi maane ?!
but why mallika unlogo ne khud dekha ki sumedh kaise aapko support kar raha tha even when you started crying he immediately came to you to console you
itna dekhne ke baad bhi woh log nahi maane
what's the problem?
mallika : status..
meri dadi har cheez me pehle status dekhti hai dadi aur bua ke bare me surprise hone wali baat nahi kyuki woh pehle se aise hi hai
lekin mujhe iss baat surprise lag raha hai ki papa nahi maane
sumedh ke father aur mere father bachpan ke dost hai
even woh sumedh ko bohot achhe se jante hai fir bhi... fir bhi woh nahi maan rahe hai
papa status dekh rahe hai ya fir kuch aur hai samajh nahi aa raha hai
abhinav : aapko kya lagta hai sumedh?
sumedh : he is a father abhinav
har ladki ka baap yehi sochte hai ki unke beti ko achhi life mile
agar mallika mujhse shadi karegi toh....
she has to face many difficulties
mallika : zindagi me difficulties aana common hai sumedh. life is unpredictable kab kya hota hai kisiko nahi pata
i'm ready to face those difficulties
sumedh : yeh baat humko samajh me aata hai mallika ji unko nahi
agar hum samjhaye tab bhi woh samajh nahi payenge
unko ek protective father se bahar aakar ek responsible father ki tarah sochna hoga tabhi woh humko samajh payenge
abhinav : i think sumedh sahi keh rahe hai he has to change his way of thinking
well, jo bhi aapke pyar ko jitane keliye jo bhi help karna pade me zarur karunga
don't hesitate to ask me
sumedh : lekin aap...
abhinav : come on sumedh...
i have to do it
i always admires love couples
aur yaha toh aap dono ka kitna true love hai yeh kal hi pata chal gaya
mallika aap bilkul chinta na kariye
god always helps to true love
bhagwan aapke test le rahe hai ek din aap dono iss test me zarur pass karenge all the best both of you for your future
sumellika : thank you
mallika : aap bohot supportive hai abhinav aapke hone wali patni bohot lucky hai
abhinav : mera toh pata nahi lekin sumedh ke hone wali patni toh luckiest hai jo aap hai
sumellika seen at eachother and smiled
abhinav : mallika, the best life advice i can give to you that....
don't loose him he is the gem
she smiled and nodded
abhinav : achha ab me chalta hu agar zarurat ho toh yaad karna
sumellika : definitely..
then he left
time skipped to late evening
mallika reached home and laid on her bed by closing her eyes
Anushka gave water to her
mallika seen that and got up
Anushka : paani lo didi
mallika : tum kyu laayi ho
she said this by taking water glass
Anushka sat besides of mallika
Anushka : aap sad ho na didi
mallika : nahi anu, waisa kuch nahi bas office ka stress hai
she started drinking water
Anushka : me janti hu didi
aap sumedh se pyar karti hai na
mallika stopped drinking with shock
and started coughing
mallika : tum... tumhe kaise pata
Anushka : ghar me sabhi yehi baat kar rahe hai
pata toh chalega hi na
mallika : yeh gharwale bhi na
sabhi ko meri topic hi mili hai kya 🤦
Anushka : mujhe nahi pata chalne chahiye?
mallika : nahi anu aisa nahi hai
tum abhi bachhi ho na tumhe kyu yeh saari tensions
Anushka : didi, agar sumedh mere jiju hojaye toh kitna achha hota na
pata nahi dadi kyu itni jiddi hoti hai
mallika : don't worry
tumhare didi bhi bohot jiddi hai
waise agar mere aur sumedh ka shadi hojaye toh pehle tum dono crime partners bann jayenge pakka
Anushka : woh toh hum banenge hi 😁
both are laughed
on the other side varanj went to Durga Devi room
she is reading some book by sitting on her chair
varanj sat infront of her
varanj : maa aapse kuch baat karni hai
mallika ke bare me
no response from her
varanj : maa aapke aashirwad ke bina mallika ke shadi nahi ho sakti
sumedh itna bhi bura nahi hai maa
Durga Devi : wahi ruk jao varanj
aage aur kuch mat bolo
varanj : maa woh humare mallika ke sath diya hai
kal aap bhi waha hai na
Durga Devi : woh sab dikhawa hai
chahe woh log jitna bhi hoshiyar bane
me nahi maanungi
unko bas humare paise chahiye yeh sach hai
dekho varanj mallika ki shadi sumedh se nahi ho sakti nahi ho sakti nahi ho sakti bas ab jao
then varanj went from there
next day at morning in hall
Durga Devi and varaakshi sitting on sofa
mallika was about to office with kinshuk
varaakshi : mallika
they stopped
varaakshi : tumse kuch baat karni hai
mallika : me janti hu bua aap kya bolne wali hai
please you can't force me
me nahi maanungi
varaakshi : itni zidd kyu pakdi ho mallika
woh tumhare dadi hai woh tumhare bhalayi sochti hai tum yeh kyu samajh paa rahi ho ki woh jo bhi kehti hai thik hi kehti hai tumhare bhalayi keliye hi kehti hai
mallika : aap yeh kyu samajh nahi paa rahe ki sumedh mujhe apna praan samajhta hai
jab abhinav ke maa meri beizzati kar rahi thi toh mujhe support kiya kon
kal hi hua aaj bhul gaye ?!
i love him and he loves me
ha maana ki woh middle class hai aur choti moti problems face karni padti hai
me kaise samjhau ki
I'M READY FOR THAT
she said last line by shouting
with that shout evryone came out to hall
mallika : aur dadi aap achhe se suno
me shadi karungi toh sumedh se hi karungi lekin aap sabhi ke acceptance ke sath
aur tab tak mere liye koi rishta mat dhundna
agar kuch aisa kiya aap apne poti mallika ko bhul jaiye
chaliye bhaiya
then they both went from there
neerav : zalak
me office chalta hu take care
zalak nodded
neerav : anu, chalo tumhe school me drop kar leta hu
Anushka nodded
then they both also left
varaakshi : hahh, ab yeh konsa nayi hai
mallika kab humare baat maani hai
waise galti uski nahi
bachhe ka vyavahar maa pe depend hoti hai
yaha toh mallika pura ke pura bigad gayi hai
varanj : varaakshi...
kitni baar bola apne bhabhi ke bare me waise baatein mat karo
waise yaha mallika ki galti thi hi kya
mujhe nahi lagta ki meri beti galat hai
maa kamse kam ab toh maan jao
aapne suna nahi usne kya kaha
mallika humare izzat karti hai isiliye bola ki uski shadi humare acceptance hi hogi
maa meri beti kabhi galat nahi hoti
woh humesha sahi hoti hai
varaakshi : agar aisa hai bhaiya toh
uss sumedh ka zidd kyu pakdi hai humare baat kyu nahi maan rahi hai
agar humpe itna hi pyar hai itna izzat hai toh jiss ladke ko hum dekhte hai usse shadi kyu nahi karti hai
siya : kyuki woh janti hai aisa karne se na hi mallika khush reh payegi na hi woh ladka
yaha 1nahi 3zindagi kharab hojayenge
sumedh ki mallika ki aur jiss ladke se mallika ki shadi karayenge uske
zalak : mummy, nani it's her life
jeene dijiye usse
woh atleast yeh kaha ki humare acceptance ke bina woh shadi nahi karegi
pura chodke toh nahi gayi na
and aaplog sumedh ko kyu nahi samajh paa rahe hai
jo bhi ho don't force mallika atleast
by saying this she left from there
Durga Devi : ghar me sabki aankhein band hogayi
by saying this Durga Devi left from there
time skipped to 1week
{a/n : yes, mere stories me time kuch zyada hi skip hoti hai
neeche na gire 😔🤧😅}
at office when sumedh is working varanj came to him
varanj : sumedh..
sumedh seen at him and immediately got up
sumedh : uncle aap..
mallika... i mean madam andar hai
varanj : mallika se nahi tumse baat karne ko aaya hu
sumedh : chaliye
then went to visiting area and sat
varanj : beta, sabse pehle kya tum aur tumhare baba mujhe maaf kar sakte hai
sumedh : aap..... kya baat kar rahe hai
hum kyu...?
varanj : kya ho tum beta
sab jante hue bhi puch rahe ho ki kyu..
usdin meine tumhare baba kesath humare itne saalo ke dosti tod diya
sach kahe toh mujhe tumhare baba kesath baat karna chahiye tha lekin....
himmat hi nahi jathi
kya tumhare baba ab bhi humse gussa hai?
sumedh gave a smile
sumedh : uncle, aap dono ke kitne saal ki dosti hai?
varanj : chaalis se pachas saal ki hai
matlab beech ki hai
sumedh : itni saalo me kya kabhi aisa hua jab baba aapse gussa hokar aapse baatein band kardi?
varanj : nahi.., jhagde hote the lekin baad me mil hi jaate the
na hi me jyada der tak gussa reh pata tha na hi woh
sumedh : ab bhi waisa hi hai uncle kuch nahi badla
woh jante hai ki aap woh baat dilse nahi kaha
aap woh baat ek baap ke nazriya se kaha dost ke nazriya se nahi
varanj became happy for that
varanj : toh me tumhare baba se milta hu tum dono ke bare me baat karne keliye
sumedh (being confused) : humare bare me?
varanj : ha beta tumhare aur mallika ke bare me
beta, sach toh hai ki meine pehle yehi dekha ki tum middle class ho
kyuki meri beti luxury me badi hui hai
aur ek middle class ghar me pariwar me kaise adjust kar payegi
isme toh me bhul hi gaya ki tum kitne achhe ho tumhare pariwar kitni achhi hai
meine tumhare aur mallika ke sath bohot galat kiya tha ab aur nahi isiliye tum dono ke bare me tumhare baba se baat karleta hu
sumedh : matlab.... aap humare pyar ko accept kar liya?!
varanj : ha beta karliya
sumedh somewhere felt happy
sumedh : aapko baba se baat karne ki zarurat nahi kyuki woh already humare love ko accept karliya hai
meri puri family humare love ko accept karliya hai
aur mallika ke family se almost aap sabhi ne kiya hai
lekin ghar ke badi dadi ji ne nahi kiya
mallika toh chahti hai ki uska acceptance bhi aajaye atleast woh humare pyar se dukhi na ho
varanj : beta, maa ka acceptance na mumkin hai
agar tumlog uske acceptance keliye wait kar rahe hai toh woh kabhi nahi milegi
sumedh : lekin mallika yehi chahti hai uncle
meine mallika se pyar kiya hai uncle
mere liye sirf mallika hi nahi woh kya sochti hai woh kya chahti hai woh kisse pyar karti hai yeh bhi important hai
agar dadiji ke acceptance ke bina woh mujhse shadi ki toh shayad bahar khushi dikhegi lekin andar se woh dukhi hi rahegi
uncle, dadiji ko waqt chahiye hume accept karne keliye toh lene dijiye sochne dijiye
hume koi dikkat nahi hum wait karlenge unke aashirwad ke bina humare shadi nahi ho sakti
varanj is stunned for sumedh words
varanj : tum galat zamane me paida hua ho beta tumhe toh purani zamane me paida hona chahiye tha
sumedh : aapke beti keliye hi iss zamane me paida hona pada
varanj : baaton me tumse koi jeet nahi sakte
sumedh : kyu nahi
hai na...
aapke beti
varanj smiled
sumedh : sach me uncle
aapke beti se me toh nahi jeet paunga
varanj : nahi beta
dikhne me toh tum haarte ho lekin asal me tumhi jeet te ho
sumedh smiled
sumedh : uncle, jab tak dadiji nahi maanti tab tak hum dono pariwaro me baatein na ho jaye toh behtar hoga
agar milenge toh aapke ghar me jhagde ho sakte hai
aur itni jaldi mat bataiye ga ki meine job nahi choda
agar bataye toh bohot gussa hojayenge
dheere dheere jab unka gussa shant hogi tab sab batayenge aaram se
varanj : thik hai beta tum samajhdar ho
jaise tumlog chaho
then sumedh noticed that someone is there who are listening their talks being hidden
he didn't took even 1sec to recognise that
it's mallika only
sumedh : umm.... uncle lagta hai ki waha kuch hai
varanj seen
varanj : waha....?! nahi beta kuch bhi toh nahi
sumedh : nahi uncle hai...
waha sher jaisi billi hai
mallika got little bit angry for his words
varanj is confused
sumedh signed like "waha aapki beti hai"
then varanj noticed her clearly
he about to say something
sumedh : 🤫
then varanj didn't told
varanj(to tease her) : ha beta yeh kuch aisa billi hai ki dikhne me sher jaisi bhokal dikhati hai
lekin andar se billi jaisi chupti
sumedh silently laughed
mallika pissed off
sumedh (silent language) : aap jaiye me usse sambhal leta hu
varanj nodded and left from there
then sumedh silently went to mallika
sumedh : ahm ahm .. kya hua billi ji
mallika glared him angrily
sumedh getting hell laugh
sumedh : kya... ghur kya rahi hai aap 😂
mallika turned her face to another side
with cute angry face
sumedh : humare baatein sun rahi thi na 👀
mallika : nahi woh yaha se guzar rahi thi toh.....
mere kaano me pad gayi
sumedh : mallika ji...
he kept his fingers at her chin and turned to him
sumedh : aap bohot achhe se janti hai ki aap mujhse jhut nahi bol sakti me jhatko me pakad leta hu
mallika : achha baba thik hai tum logo ke baatein sunne keliye hi aayi hu yaha
mujhe bhi jaanna hai na mere papa tumse kya baat karne aaye hai
sumedh : toh sunne ke baad kya paga chala aapko
mallika smiled and said
mallika : yeh pata chala ki mere pappa meri hath kabhi nahi chodte aur mera pyar mere sumedh bhi
mujhe khushi hui ki mere sumedh meri hi nahi meri khayalo ka bhi khyal rakhta hai aur dukh bhi hui
sumedh : kyu?!
mallika : sumedh, meri wajah se sirf meri wajah se tumhe wait karna pad raha hai meri wajah se tumhe takleef ho rahi hai meri wajah se....
sumedh : mallika ji........
aapke wajah se mujhe kuch bhi takleef nhi hai aur na hi kabhi hogi
infact agar hum dadiji ke acceptance ke bina shadi ki na toh mujhe khudko bohot bura lagega
isiliye hum wait karenge chahe jitna bhi lambi kyu na ho wait karenge thik hai
she smiled and nodded
6months passed
sumedh family and mallika family didn't met even once also not talked on phones also
but kinshivya used to meet secretly
sumellika obviously meets in office
day by day confidence reducing in 2couples
but trying to cheerup their partners
one day at office mallika doing some work on files
sumedh also there for some work
he physically only there but he lost in his own thoughts
he seeming so upset and demotivated mallika noticed that
all she can see in his face is
the fear of losing her
mallika : sumedh..
sumedh .....
sumedh reacted with zerk
mallika : kaha khoye ho
sumedh : woh....
mallika : sumedh yeh kaam vaam chodo mujhe batao kya soch rahe ho
sumedh : woh.... kuch nahi hai
mallika : sumedh, tum bohot achhe se jante ho ki tum mujhse kuch bhi nahi chupa sakte jhatko me pakad leti hu
tumhare chehre hi bata rahi hai ki tum dar rahe ho
bolo sumedh share with me
sumedh : pata nahi mallika ji kahi na kahi lagta hai ki hum dur hojayenge
aap mujhe dur hojayegi
me aapko kho jaunga
mallika : offo..!!! ajeeb insan ho tum sumedh
mujhe motivate karte ho aur khud demotivate hojate ho
sumedh : kabhi kabhi motivate karne walo ko bhi motivation ki jarurat padti hai mallika ji
aur mujhe nahi lagta ki ab koi bhi motive mujhe effect kar payegi
kuch soch hi nahi paa raha hu
mann me bohot gabhrahat ho rahi hai
mallika : sumedh sumedh sumedh !!!
please itna bhi demotivate mat hojao
waise me hu na tumhare sath toh kyu gabhrana
tumhare halat dekhkar aisa lag raha hai ki tumne subah me bhi kuch khaya nahi hoga
hai na?
first he tried to deny but couldn't
mallika : pata tha mujhe
tum toh overthinking ki baap nikle ho
ruko ...
she taken some box
sumedh : yeh aapki hai na
agar aap mujhe dedegi toh aap kya khayegi
mallika : meri baad me ab me khilati hu chup chap khao pata nahi aunty tumhe kaise jhel rahi hai
sumedh : lekin...
mallika : shhh...🤫 aa karo
she started feeding him food
he is just seeing her
unknowingly 1tear drop flowed from sumedh eye
mallika got worried
mallika : sumedh...
she wiped that tear
then he came to sense
she kept the box aside which is having food
he trying to hide his emotions
she holden his hand
and moved her head like come
he couldn't stop himself
he immediately hugged her
she also hugged her back
tears are continuously flowing from his eyes
mallika (in mind) : pehli baar pehli baar sumedh aisa....
hey bhagwan mujhe bohot darr lag raha hai jaldi sab thik kardena
then her phone started ranging
they broke the hug
he wiped his tears
she answered the call
mallika : ha didi bolo
kya (being shocked)
sumedh is confused
mallika : lekin kyu..?
achha thik hai hum aa rahe hai
she cutted the call
sumedh : kya hua mallika ji itni shock kyu ho?

..............................TBC.............................

hope you all like this part
stay tune for more parts
Radhe Radhe 💛

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now