friends 😍

107 7 2
                                    

Sumedh : par aap toh mere boss hai na
Mallika : woh office time pe na
Waise kaha likha hai ki boss aur employee friends nahi bann sakte ha
please sumedh 🙁
She made a puppy face and he melted for that
He smiled and said
Sumedh : thik hai abse hum dono friends hai 🤝
She became very happy
sumedh : par aapko mere kuch rules follow karni padegi
Mallika : sumedh ab hum dono friends hai na aap kyu bula rahe ho tum bulao na
Sumedh : woh kya hai na ki mujhe aapko AAP bulane ki aadad hai
Waise aap bulane se friendship thodi na kharab hoti
mallika : thik hai jaisa tum chaho ☺️
Sumedh : rules suniye toh
Aajse aap kisi par bhi bewajah gussa nahi karegi
Mallika : me ...
She about to say something but he stopped her
Sumedh : aap bewajah gussa karti hai yeh me janta hu
She became silent
Sumedh : aajse aap dusro ki Puri baat sunegi samjhegi tab aake react karegi
Kisi ko bhi galat nahi samjhegi
Kisi ek ke baat sunke kisi ko bhi galat nahi samjhegi
Mallika : itna toh mere pappa bhi nahi bataye the 🙄
Sumedh : isiliye toh aap itna gussa karti hai
Mallika : sumedh 😤
Sumedh : achha thik hai
Aajse jab bhi aapko gussa aata hai pehle ek lambi saans lijiye
Fir aankhe band kijiye kuch secs ke baad aankhe kholiye dimag me yeh yaad rakhiye ki kuch bhi galat nahi bolna hai
Ya fir mujhe bula lijiye me sambhalunga
Mallika : sumedh tum mere gussa ko bardasht nahi kar paoge
Sumedh : me kar paunga trust me
mallika : agar tum mere aas paas nahi rahoge toh....
Sumedh : toh jaise pehle kaha waise kijiye
Mallika : hmm... yeh sab baad me ab aaram Karo kabse bada bada kar raha hai 🙄
Sumedh : me bada bada kar raha hu 🫤
Mallika : ha tum hi ab chalo Leto aur chup chap sojao
Sumedh : par ...
Mallika : shhhh 🤫
He became silent
She eye signed to lie on bed
He lied on bed and closed his eyes
Mallika : hmm... Very good 😊
She about to go but she stopped
Mallika (in mind) : mere jaane ke baad agar sumedh ko koi zarurat pade toh ...
Nahi nahi me yehi rahungi
She's seeing him
Mallika : sote hue kitna cute lagta hai yeh 🥰
next day sumedh have been discharged
Mallika family also went with sumedh family to their house except Durga Devi, varaakshi
Gouri : sumedh yaha sofa pe baitho
Sumedh : kyu
Gouri : kaha na baitho
He sat
Gouri : Mallika beta tum bhi baitho
Mallika : mein!?
Siya : aunty bata rahi hai na baitho
She sat besides of him
gouri : chalo siya Nazar uthate hai
Siya : ha jiji
They both did Nazar utharna
{A/n : author is not good in English 🙂}
Mallika (whispering to sumedh) : lagta hai meri mummy hi nahi tumhare mummy bhi Aisa hi hai
Sumedh : duniya ki saare mummys aise hi hote hai
gouri : shivya yeh fek ke aa
She gave mirchi to shivya
She went to throw away that mirchi
And came back after sometime
mallika : mummy ab mujhe yeh sab kyu
Gouri : beta tum dono itna bada khatre se bahar nikle hai nazar utharni toh padegi na pata nahi kiska nazar lag gayi dono ko
siya : ha mikku jiji sahi bol Rahi hai tu toh meri baat sunegi hai nahi Kam se Kam unka baat toh suno
Gouri : sumi ab tum chup chap apne kamre pe jao aur aaram karo
Sumedh : jaisa aapki aadesh😁
Gouri : siya chalo kuch banake late hai bhuk lagi hogi sabko
Siya : ha jiji chaliye
Then they went to kitchen
mallika : suna nahi hai kya aunty ne kya kaha jao apne kamre me aur aaram karo
Sumedh : ha ha jaunga na itna bhi kya jaldi
She gave a death glance to him 👀
Varanj : aree jao beta warna yeh tumhe nahi chodegi
Kumar : ha beta bohot thaka hua lag rahe ho jao Jake aaram Karo
sumedh : ha thik hai jaa raha hu par Aisa ghurna band kijiye
basant : kyu bhai darte ho kya usse 😁
Sumedh : bhaiya 🙄
Ishita(whispering to sumedh): bhaiya aap jao warna yeh aapko maaregi jarur
Sumedh : ha ha Jaa raha hu
he is going to his room
While going he is smiling
Zalak : Mallika woh Jaa chuka hai
Ab toh usse ghurna band Karo
Kyu usse Dara Diya tumne
Mallika : warna yeh jayega nahi
Kisi ka baat hi nahi sunta
then gouri called Ishita and shivya
They went
Monika : Mallika baith baithke bore hogayi hogi aisa garden Tak chale
Mallika : ha thik hai didi aap bhi aaoge
Zalak : ha thik hai chalo
Varanj : zalak beta ek kaam Karo bache ko hume dedo hum sambhal lenge
zalak : thik hai mama ji
She gave hansh to Kumar and varanj
Then they 3 went from there
in garden monika, Mallika and zalak sat on chairs
zalak : waise monika ji aapka love marriage hai ya arranged
Monika : arranged marriage hai but woh mujhse bohot pyar karte hai
Mallika : ha woh toh hai basant bhaiya aapse bohot pyar karte hai
Monika smiled
Zalak : aapke parents kaha rehte hai?
Monika : Dusre sheher me jaha 20saalo me basant ji aur sabhi the
zalak : hmmm..... Waise woh bohot khush honge unka damad itne achhe jo hai
Her smile disappeared
Mallika : kya hua
Zalak : meine kuch galat kaha kya
Monika : nahi nahi koi galat nahi hai
Mallika : bhabhi aap chaho toh humse bata sakte hai
monika : woh actually basant ji aur unke family mujhe dekhne aaye the
hum dono ko akele me baat karne keliye bheje hai
Jab tak hum baat kar rahe the tab Tak bado bhi baat Karli hai
Jab meine basant ji se baat ki tabhi pata chala ki I met the best person in my life
me tabhi faisla li hai ki chahe jo hojaye me basant ji ko nahi chodungi
Hum dono ha kehne keliye tayyar hai
But mere parents nahi
Jab mere parents ko pata chala ki basant ji ko kam salary aati hai tabhi unhone mana Kiya tha
basant ji ko bura laga me apne parents ko manane ki koshish ki par woh nahi maane pata nahi par mujhe basant ji keliye Ghar chodne ki Mann Kiya
Me na ek single child hu
Bachpan se maa aur pappa apne apne kaam me busy hote the mujhpe zyada dhyan nahi dete the jiske wajah se me pura introvert ho chuki hu
Jaise badte Jaa rahi hu unko mujhse zyada mere marks ka chinta hoti thi
Uss pressure me aakar kaise na kaise government job toh mili
bachpan se mere koi friends nahi hote the aise artificial jeevan jeeti hui mujhko basant ji ka rishta aaya hai basant ji jaise insan ko me kaise chod sakti hu
Isiliye zindagi me pehli baar basant ji keliye zidd pakdi thi
Flashback
monika m : monika yeh kya zidd pakadke rakhi hai
Monika : kyu maa zindagi me pehli baar kuch maangi hu woh bhi sahi insan ko
Aapne dekha nahi woh kitne achhe hai
Unse kuch khshan hi baat ki but Aisa laga ki mere life time ka vardaan mil gayi
monika f : beta baato se pet nahi bharegi uska toh kitni Kam salary
Monika : salary toh hai na pappa woh hardworking person hai family keliye apno keliye hardwork karte hai
Thodi hi sahi salary toh aati na
Me bhi kamati hu na hum dono ka milkar kaafi hai pappa
Monika m : tu samajh kyu nahi rahi hai tumhare kamaye hue paise bhi uski family ko chali jayegi
Monika : ofcourse jayegi because they're family aur unko paiso ki zarurat hai isiliye toh dete hai
basant ji ke bhai beheno bhi job dekh rahe hai hum sabka milkar
kaafi hai na maa
monika f : agar koi kahe ki aapke damad ke salary kam hai toh hum kya kahenge
Monika : status keliye shadi karte hai kya pappa ?
Status dekhke shadi karte hai?
Ek dusre ki dil dekhke shadi karte hai
Monika m (angrily) : monika mere dimag garam mat karna chup chap yeh zidd chodo aur humare baat suno
Monika : nahi maa mujhe nahi Sunni
Agar aap mere shadi basant ji se nahi karenge toh me Ghar chodke chali jaungi aur mujhe rok nahi sakti
Both got very much angry
Monika m : yeh na aasman me ud Rahi hai udne dijiye baad me jab zameen par aayegi tab pata chalega ki yeh kitna bada pagal pann kar rahi thi
shadi kare ya na kare yeh toh Ghar chodke chali jayegi
Agar shadi ke baad jayegi toh humara thoda toh izzat rahegi
monika f : hmm.... Thik hai monika
Tum yeh mat samajhna ki shadi ke baad agar tumhe kuch dikkat hogi toh hum aayenge
Iss shadi ke baad tumhare aur humare beech rishta khatam ho jayega tum humare beti nahi rahegi
Monika m : bilkul sahi kaha aapne tabhi isko pata chalega humare value
Bolo manjur hai?
Monika : ji manjur hai
Flashback ended
Monika : fir mere shadi basant ji se Hui hai
Zindagi me pehli baar zidd pakdi thi
And i never regret for that
Yeh parivar mujhe ek deep introvert se ek extream extrovert bana diya apne pyar se
Mujhe lagta hai ki mere asle maa baba yehi hai jo mujhe itna pyar diya
Jo mujhe apna maana jo mere job ka nahi mera chinta karte hai
Aur rahi friends ki baat
Ishita aur shivya toh mere gossip partners hai uske college me jo hue the woh sab mujhse share ki
Sumedh toh mujhe bhabhi se zyada apne dost, behen aur maa bhi mana hai
Jo maa se keh nahi pata woh sab mujhe batadeta hai
Aur mujhe bohot comfort feel karata hai lagta hi nahi hai ki me apne devar se baat karti hu
Aur basant ji .....
Unka toh kya hi batau
yeh na meri sasural nahi mere mayke hai
Zalak and Mallika speechless after listening her story
Zalak : aapko apni parents ki yaad nahi aati ...
monika : aati hai bohot aati hai par yeh parivar mujhe mehsoos hone nahi deti
Khaskar sumedh.....
mallika : ek baat bataiye sumedh aapki fav hai na 🤨
Monika : ha woh mera fav hai
Kabhi kabhi na woh bachha bann Jata hai...
Yeh Jo mere kokh me hai yeh Mera first baby nahi hai sumedh mere first baby hai
They are laughed
Zalak : waise Mallika kahi sumedh tere fav toh nahi
Mallika (in flow) : ha ....
Then realised what she said
Mallika : nahi nahi di matlab woh mere dost hai na toh....
Zalak : ohh...
Monika : aap dono friends kab hue hai 🤨
Mallika : kal bhabhi kal hi hue hai
me toh humesha usse galat samajhke aayi hu par woh .. woh toh itna achha hai jo mere jaan bachaya hai aur mere dosti bhi accept ki
Zalak & monika at once : sumedh ki itni taarif 🤨
Mallika : kyu nahi kar sakti kya
Zalak : nahi nahi kar sakti ho
Waise monika ji
Mallika ki gussa ko sirf sumedh hi handle kar sakta hai
Monika : aur sumedh ko sirf Mallika hi handle kar sakti hai
Zalak and Monika laughed
Monika : waise aap mujhe monika ji mat buliye tum bulaiye 😌
Zalak : toh tum bhi mujhe tum hi bulana
Monika : ha 😌
Gouri from inside : monika,mallika, zalak idhar aao teeno nashta ready hai
Monika : ha maa aaye
Achha ab chalo
They 3 went inside
After completing breakfast Mallika and her family went to their home
Durga Devi : Mallika ruko ruko
Varakshi jaldi le aana
Mallika beta tum yaha baitho
She made her sit on sofa
mallika : kya hua dadi
Durga Devi : shhu nazar utharna hai tumhe na Jane kiski nazar lag gayi tujhe
mallika : dadi woh...
She about to say something but siya cutted her
Siya : Mikku dadi bol Rahi hai na kuch baatein Maanni chahiye
Mallika (whispering to siya) : yeh kya bol rahe ho mummy
Siya : beta agar hum batayenge ki tumhe waha nazar uthare the toh dadi pura Ghar ko sir pe utha legi isiliye tum shant hi raho
Varaakshi did Nazar utharna
Varaakshi : zalak hansh ko mujhe do aur yeh fek ke aao
She gave mirchi to zalak
Zalak : thik hai mummy
Zalak gave hansh to varakshi
Durga Devi sat besides of Mallika
Zalak went to throw away that mirchi and came back after sometime
Durga Devi : Mallika beta
ab tu thik hai na janti bhi ho me kitna gabhra gayi thi Mata Rani ka lakh lakh shukar
tu thik hai
Mallika : dadi kuch nahi hua mujhe
Me bilkul thik hu agar kuch hua toh sumedh ko but ab woh bhi thik hai usne hi toh mere jaan bachaya hai
Durga Devi : Mallika beta tumhe ek wada Dena hoga
mallika : konsi wada dadi
Durga Devi : pehle tum do fir batati hu
Mallika : nahi pehle aap batao ki baat kya hai
Durga Devi : thik hai toh suno
Tum uss sumedh ko job se nikal do
varanj : maa yeh kya baat kar rahi ho
Durga Devi : varanj mein baat kar rahi hu na
Mallika : nahi dadi me usse nahi nikal sakti
Varaakshi : Mallika beta dadi bol Rahi hai toh humare achhe keliye bol Rahi hai na
Mallika : ha meine kab disagree ki bua
Dadi sumedh ek hardworking and sincere employee me usse kaise nikal sakti hu jab ki woh koi galti Kiya hi nahi
Me janti aap kyu Aisa bol Rahi hai
Par hum personal baato ko professional life me nahi laa sakte
Iske bare aur baatein nahi hogi please
She was about to go
Durga Devi : matlab tum meri baat nahi sunegi
Mallika stopped and turned to Durga Devi
Mallika : sunungi dadi but yeh nahi
Sumedh humare company me hi job karega
Aap aisa kuch nahi karegi jisse sumedh khud chali Jaye ya mujhe usse nikalna pade aur iss matter me aap mujhe firse force nahi karegi that's it
She went from there
Varaakshi : wah dekh rahi ho maa bhabhi ki chavi
Siya : yeh tum kya bol rahe ho varaakshi
Varaakshi : sach bhabhi
Varanj : varaakshi Mallika ka aise bolne se aur siya se kya sambandh
Durga Devi : hai ....
Ek bachhi ka tarika apne maa se hoti hai
siya ka Bina bole hi kya Mallika itni bolegi
Zalak : nani kya aap Mallika ko janti nahi hai
Woh kisi ka bhi baat nahi sunti mami ka bhi nhi aur aap kaise mami par ilzam laga sakti hai
Varanj : maa siya ka koi galti nahi hai Mallika ne jo kuch bhi kaha apne Marzi se kaha na hi kisi ka force hai na hi kisi ka manipulation
Aap kyu har baar siya par ilzam lagate ho
Durga Devi : wah beta ab tu bhi mere khilaf bolne laga hai
varakshi : ab se kya maa jabse shadi hoke woh aayi hai tabse uske side Lena shuru kar Diya hai
varanj : varaakshi
woh bhabhi hai tumhari
Aur maa me isiliye siya ka side le raha hu kyuki uska galti nahi hai me aapki khilaf nahi baat kar raha hu bas keh raha hu agar fir bhi aapko galat Lage toh maaf kar dijiye
Durga Devi went to her room angrily
Varaakshi also left from there
Zalak : mami Nani aur mummy ke taraf se me maafi mangti hu
Siya : nahi nahi beta iski koi zarurat nahi hai woh dono gusse me hai na isiliye aisa bole the lagta hai hansh ko nind aa rahi hai jao isse sulao
Zalak nodded and left from there
Varanj holden siya hands
Varanj : siya mujhe.... Mujhe maaf kardo
Siya : aap... Aap yeh kya kar rahe hai
Varanj : siya humare shadi hoke 25saal hogaye inn 25saalo me tum mere maa ka behen ka har taane sunti aayi ho aur me .... me toh chahkar bhi tumhe support nahi kar paa Raha hu agar support karta hu toh kuch na kuch jhagda ho jati hai Ghar me
Siya : nahi ji aap aisa mat kahiye
me aapke patni hu me aapke majburi samajh sakti hu aap mujhse pyar karte hai har baar mujhe bachane ki puri koshish karte hai par ho nahi paati
maaji aur varaakshi dono hai hi aise
unhe pehle se me pasand nahi hu kyuki me ek middle class parivar se aayi hu meri shadi aapse isiliye Kiya kyuki aapke mama ji karvaye hai kyuki
yeh unki aakhri ichha hai
{A/n : shudd Hindi me ichha bolte hai normal Hindi me kya bole hai bhul gayi 🫤}
hum toh unhe badal nahi sakte na hi chod sakte hai aap hai na mere sath yeh bas hai mere liye
bas hume Mallika aur Anushka keliye sochna hai
varanj : mujhe Mallika ki utna chinta nahi hai kyuki woh ab independent hai mentally strong hai woh kahi bhi Jaa sakti hai kahi bhi reh sakti hai mujhe pura vishwas hai uspar agar chinta karna hai toh Anushka ki
Woh hai ki tumhare jaise bholi
siya : aapki badi beti bhi bholi hi hai
bas dikhti nahi hai
Mujhe toh dono ki chinta hoti hai khaskar mallika ki ek ladki ka zindagi kya hai uske shadi ke baad hi pata chalta hai pata nahi isse kaise sasural Wale milenge
pata nahi kiss ghar ko yeh Bahu bankar jaayegi
Varanj : siya tum khamakha pareshan hoti ho humare Mallika strong hai woh kisi bhi situation ko handle kar sakti hai
aur jis Ghar me bhi jayegi uss ghar me lakshmi nivas hogi
siya : agar uska tarif karna hai toh aapse hi seekhna hai
Both are laughed
Days are going on Mallika's family used to come to sumedh's house
Zalak and Monika became friends
sumedh and Mallika became close friends
One day at office
mallika : yeh kya hai meine kya kaha aur tumne kiya 😠
Then she suddenly remembers what sumedh said
She took a deep breath
mallika(calmly) : thik hai yeh sare corrections karke firse banao
employee left
then she called sumedh
Sumedh : kya hua mam aapne mujhe bulayi
mallika : boss hoke nahi friend hoke bulayi
Sumedh : toh batiye dost ji kyu bulaya mujhe 😁
She went near to him
mallika : kyuki tumhare tarika kaam kar rahi hai 😄
Sumedh : achha .... Toh aapka gussa shant ho rahi hai
Mallika : pura toh nahi par thoda thoda sa par tum humesha mere paas hi raho agar me gussa hogayi toh me hosh me nahi hoti hu tab tumhe hi situation sambhalna hoga sambhaloge na
She made a puppy face and he smiled for that
Sumedh : ha jab bhi zarurat ho me aaunga aur sab kuch sambhal lunga bas aap ek aavaj dijiye
mallika : I'm very glad that I got a precious friend like you
Yaar you are my sona 😙
She pinched his cheeks
He surprised and confused
Sumedh : Mallika ji 😳
Mallika : kya hua
sumedh : aapko samajh me aa raha hai ki aap kya kar rahi hai
Mallika : tum toh aise bol rahe ho jaise me tumhe maar rahi hu 🙄
friend ho tum mere itna bhi nahi kar sakti kya
Aur waise bhi tum hote hi itni cute
Toh me apne aapko rok nahi paati
Tumhare Gaal ko pinch karne ka Mann karta hai
he is so confused
Sumedh : kya hua Mallika ji sharab peeke aayi hai kya 🙄
Mallika(in cute angry) : chup Karo
Kuch bhi bolta rehta hai
Sumedh : nahi aapka behaviour hi aisa hai ki me confused hogaya hu
She gave a death glance to him
Sumedh : kya Mallika ji aap baar baar kyu ghurti hai mujhe 😕
mallika : tum baatein hi aisa karte ho jisse mujhe ghurna hi padta hai
Sumedh : achha aap yeh sab chodiye
mujhe ek baat batani hai
Mallika : kya
Sumedh : mujhe.... kal leave chahiye
Mallika : itni achank.....
Kyu?

That's it for today's part
I hope you all like it
Please comment Karo ki aapko yeh kaisa laga 🥰
Stay tune
Radhe Radhe 💛

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now