first meet

139 10 1
                                    

Sumedh : may i come in mam
He cannot see her face as she turned back
Mallika : yes come in
she turned to him
He just stunned after seeing her
Sumedh(in mind) : inhe dekhkar aisa kyu lag raha hai ki me inhe pehle se janta hu Inki chehra kisi se milte hai pata nahi kon....
mallika got angry as he didn't responded to her
mallika(shouting): excuse me
he reacted with a jerk
mallika : kya aapko ekbaar kahe toh sunayi nahi deti meine kaha come in
sumedh : umm.... Sorry mam
he entered into room (cabin)
mallika : sit down
he sat on the chair which is opposite of mallika
He seen name board of her
He gave his certificates, she examined his certificates
Sumedh(in mind): inki naam mallika hai
Kahi suna suna sa lag raha hai
Aree kya me bhi mallika ke naam par bohot sare log hai aise hi kahi na kahi suna hoga
Mallika(in mind): Inka naam hai sumedh....
graduation ke hisab se toh kaabil hai ab toh yeh dekhna hai ki yeh asli me kaabil hai ya nahi
mallika started asking him questions and he answered very well to her each question
mallika(in mind) : yes he having the talent which is this company needed
mallika : you are selected
he just shocked after listening that
Sumedh : whattttt 😧
mallika again got angry
Mallika(angrily): uff... Meine kaha YOU ARE SELECTED
he became very much happy
sumedh : thank you mam thank you very much
Mallika : kal se join hona
sumedh : ji mam
mallika : ab aap jaa sakte hai
he about go then
Mallika : rukiye
he turned to her
mallika : apne shukriya baaton me nahi apne kaam me aur sincerity me dikhana
sumedh(with smile): ji
then he came out from office
His became teary due to hai happiness
while coming back to home he visited Durga Mata temple
while doing darshan
Sumedh : hey maa durga aapne mujhe itni khush kardi mujhpe saya dikhayi me bata nahi sakta ki me kitna khush hu dhanyavad mata dhanyavad
Then he reached his house
sumedh : maa pappa bhaiya bhabhi ishi shivi kaha ho sab
Then all are came to hall
kumar : kya hua sumedh
sumedh : batata hu
he took his blessings
monika : sumedh interview ka kya hua
basant : ha batao
sumedh(excitedly): mujhe.... Job.... Lag gayi
all are became so happy
gouri : sach me beta
She kissed on his forehead
Kumar : meine kaha na beta issbaar yeh job zarur lagegi
basant hugged sumedh
basant : finally tumhe job lag hi gayi
monika : many many congratulations sumedh
sumedh : thank you bhabhi
Ishita and shivya hugged sumedh with happiness
Ishita and shivya : congratulations bhaiya
then they broke the hug
Ishita : achha humare party kidhar hai
sumedh : party....
Shivya : ha job lagi party toh banta hai
sumedh : abhi abhi job lagi aur tum logo ki party maangna shuru
basant : aree party Dena hai bina party Dene chodne wale nahi hai
Monika : ha sumedh party toh banta hai
Sumedh : bhabhi aap bhi
gouri : aree kyu sata rahe ho usse sabhi mere bachhe ko hi satate hai sumedh beta pehle tu ja fresh up hoke aa me aaj pakode, ghee halwa aur tumhare pasandi aloo Paratha bhi banaungi
sumedh : aloo Paratha
Gouri : ha...
Kumar : ha beta pehle tum fresh up hojao baaki sab baad me
then he went to his room
He layed on his bed and thinking like this
Sumedh : kon ho sakti hai woh
itna strongly kyu lag raha hai ki usko me bohot achhe se janta hu
Kher ... Chodo ...
At night while doing dinner he again thinking about her
basant : sumedh sumedh...
he reacted with a jerk
sumedh : ha bhaiya
basant : itna kya soch rahe ho
sumedh : bhaiya aaj interview me uss company ki ceo ne mujhe interview ki thi aur usko dekhkar aisa lag raha tha ki me usse bohot achhe se janta hu
Shivya : uski naam kya hai bhaiya
sumedh : mallika
monika : mallika ke naam par bohot sare log hai sumedh kahi na kahi suna hoga
sumedh : naam se nahi bhabhi chehre se mujhe uske chehre se lag raha hai ki me usse janta hu par kon hai yeh samajh nahi aa raha hai
monika : chodo na sumedh dekha hoga kahi na kahi itne sare log milte hai life me kahi na kahi mile hoge
kumar : achha beta uss company ka naam kya hai
sumedh : ravindra industries
Kumar : kahi suna suna lag raha hai ha yeh toh .... Gouri tumhe yaad hai na mera dost hum bachho ko bhi uske Ghar lekar jaate the woh bhi aate the
gouri : me kaise bhul sakti hu par mujhe nahi lagta ki yeh company unhi ka hai ho sakta hai ki yeh koi aur company ho sumedh ne kaha ki mallika hai ceo matlab koi aurat beta kitni saal ki hui hogi
Sumedh : zyada nahi maa 23,24 saal ki hai
Gouri : lijiye 23,24 saal ki ladki hai par uss company ko toh aapke dost hi ceo hue honge na
kumar : hmm...waise 20saal se usse baat hi nahi hui pata nahi kaisa hua hoga ek din uske jaana hai
gouri : jayenge par kya aapko lagta hai ki unke maa hume aane degi aap toh jaante hai unke maa aur behen kaise hai
Sumedh : kon hai maa hume thik se yaad nahi aa rahe hai
gouri : aree woh...
Then suddenly power cutted
Gouri : aree light chali gayi
Basant : hum dekhte hai maa chalo sumedh
Sumedh : chalo bhai
Ishita : abhi yeh light jaana tha
Due to powercut everyone forgot about what they are talking
On the other side at mallika home
All are doing dinner
Zalak : mallika aaj office me din kaisa gaya
mallika thinking about something
zalak : mallika ...
She reacted with a jerk
mallika : ha di
Zalak : itna kya soch rahe ho
mallika : kuch nahi bas office work ke bare me
varanj : mallika beta ghar par bhi office ke bare me.....
Dekho beta office ka tension office me chodna chahiye itna bhi stress mat lo beta tumhare sehet keliye thik nahi hai
siya : suna tumhare pappa ne kya kaha meri baat toh sunti nahi ho tum kamse kam inke baat toh maanle
mallika : ha maa sun rahi hu na me
Durga Devi : tum isse mat sikhao siya jo ghar me baithte hai unhe kya pata kaam kya hoti hai
varanj : aree maa siya bhi toh itna kaam karti hai ghar pe aap bhi toh dekh rahe hai
Durga Devi : kya yeh jo mixy chalana washing machine chalana yeh kaam hai
meine bhi ghar ke kaam ki thi tum dono ke bachpan me
par iske jaise nahi ghar ke kaam toh woh hoti hai yeh nahi
Mallika : dadi hum topic change kare
varaakshi : kyu beta sahi toh bol rahi hai Teri dadi
mallika(frustratedly): dadi sahi bol rahi hai ya galat yeh mujhe nahi pata bas topic change Karo kyu itne negative baatein karte ho me already office tension se pareshan hu upar se aaplogo ke itne negative baatein karne ke wajah se mere sir aur dukh raha hai
zalak : ha mummy mallika thik keh rahi hai already itni stressful hai aur aapke baaton ke wajah se aur stress ho rahi hai
Durga Devi about to say something
zalak : nahi nani please .....
After sometime in siya and varanj room siya folding clothes she is sad due to Durga Devi's words
then mallika and anushka came
mallika and anushka hugged her from backside
mallika & anushka (innocently): mummy.....
siya : kya hua
anushka : mummy aap kyu dadi ke wajah se aayi gussa ko hum par dikha rahe ho
Siya : aree meine kab gussa ki tum par
mallika : aree nahi mummy iska matlab hai ki aap humse baat nahi kar rahe hai na isiliye aur mujhe yeh information aayi hai ki aap pappa se bhi baat nahi kar rahe hai kyu pappa
Then varanj came into the room
varanj : ha bilkul
siya : aap ... aap humare baatein chup chupke sun rahe the
mallika : actually mummy hum 3 kabse aapko chup chupke dekh rahe hai aur yeh idea Anu ka hi hai
anushka : aree di aap kya mujh par hi ilzam laga rahe ho yeh idea meri nahi mummy didi ka hi hai
siya : chup Karo tum dono aur kya aap bhi bachho ke sath.....
Varanj : aree siya
He went to her
varanj : dekho siya me janta hu ki maa ke baato ke wajah se tumhe dukh pouchi hai par tum toh janti ho maa kaisi hai
Siya : hmm.... Janti hu
Anushka : pappa aap toh mummy ke husband hai na aap kyu kuch nahi kaha dadi ko
varanj : kyuki bolke koi faida nahi hai beta meri baaton ke wajah se dadi mummy ko aur baatein bolegi woh toh badalne wali hai nahi hume usse achhe kaam se badalna hai beta buri baato se nahi dadi bohot achhi hai beta bas tumhare mummy vishay me hi aisa karti hai dheere dheere wahi samajh jayegi
Siya : maa ka chodiye beti ka dekhiye jab bhi shadi ki topic le aati hu toh chid jaati hai
mallika : mummy meine kaha na meri shadi ke topic mat le aao
anushka : mummy ek baat toh pakka hai ki didi ke shadi ke pehle meri shadi ho jayegi
mallika : tumhare matlab kya hai
anushka : matlab meri shadi ki umar ho jayegi aur shadi bhi ho jayegi par fir bhi aapka shadi nahi hogi
mallika : achha ruk me batati hu tujhe
She started ran behind of her
Siya and varanj laughed
Days are going on mallika used to got very much angry on sumedh for small things. even which is he didn't done, for that also he used to tolerate her angry
mallika : what is this sumedh meine kaha na yeh Aaj Tak ho Jani chahiye
Sumedh : madam ek baar sun toh lijiye
Mallika : nahi mujhe kuch bhi nahi sunna now go and complete this mujhe yeh kal tak ho Jani chahiye
Tum kya karte ho kaha karte ho kaise karte ho mujhe nahi pata bas mujhe kal morning iska files mere table par honi chahiye
sumedh(in mind): yeh nahi sunegi 😑
Mallika(shouting): understand....
Sumedh : ye... yes mam
Mallika : go now
he went from there
At night sumedh doing work which is given by mallika, then monika went to sumedh
Monika : sumedh abhi Tak jaage ho bohot der hogayi yeh kaam kal bhi kar sakte ho na ab sojaao
sumedh : nahi bhabhi yeh mujhe kal subah mere boss ko present karna hai
Monika : jab se Ghar aaye ho tabse kaam hi kiya Jaa rahe ho abhi tak toh pura bhi nahi hui
na jaane yeh office Wale itni kaam kyu dete hai
Sumedh : hmm.... Woh bhi jo Mera kaam hai hi nahi
Monika : kya.... Tumhara kaam nahi hai toh tum kyu kar rahe ho
Sumedh : ab kya bolu bhabhi yeh jiska kaam tha
Woh toh aadha kaam bhi pura nahi kiya
Jab mere boss ko pata chala ki yeh kaam ab tak pura nahi hui toh jiska yeh kaam tha na woh mere boss ko confuse Kiya hai ki yeh uske nahi Mera kaam hai
Aur yeh jo mere boss hai na usse khud yaad nahi ki konsi kaam kisko Diya hai woh toh convince hogayi ki yeh kaam mujhe Diya hai
Monika : toh tum samjhao na usse
Sumedh : kaise samjhaye bhabhi agar sunegi tabhi toh samjha paunga na par mere ek nahi sunti hai woh bas chid jati Hai aap chodiye na bhabhi me sambhal leta hu
monika : ha par zyada der Tak jaage mat rehna sehet keliye achhi nahi hai
Sumedh : ha bhabhi aap jaayiye
Next day he presented the to mallika which is he completed
Days are going on
On one sunday
Kumar and gouri went out for some work
sumedh is at home as it was holiday
He laying in Ishita's lap due to his headache
and she is doing massage to his head
shivya : bhaiya itna bhi kya headache hai aapko
sumedh : jab tumhe mere boss jaise boss milegi na tab pata chalega
basant : utna kya torture di tumhe
sumedh : usko torture nahi torture ka baap kehte hai bhai matlab Jo galti mujhse nahi hoti uski saja bhi mujhe.....
monika : ha vaise itna bhi rude nahi honi chahiye
Sumedh : wahi toh bhabhi woh mallika nahi headache hai
Ishita,shivya,basant&monika at once : headache!!!!!
Sumedh : ha headache... na jaane uske hone Wale pati kon hoga jo bhi hoga uska toh hogaya bas.....
on the other hand
kumar and gouri about go back home and waiting for auto
Varanj,siya,mallika&anushka also went to the same place where kumar and gouri are there
varanj seen kumar and gouri
Varanj : yeh toh.... yeh toh kumar hai
Kumar...(called him)
kumar seen him
kumar : yeh varanj...(called him)

That's it in today's part
What do you think, does varanj and kumar knew eachother before?
What is the relation between kumar and varanj?
To know this wait for next part..
Till then stay tune
Radhe Radhe 💗

~Author

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now