sumedh support for mallika 💞

88 7 0
                                    

uma : yeh mallika kisi aur se pyar karti hai
boliye yeh baat aaplogo ko nahi pata
everyone is silent
varaakshi : dekhiye aapko koi galat fehmi hui hogi
uma : koi galat fehmi nahi ekdum sach!!!
aap bataiye varanj ji aur siya ji aap dono toh mallika ke maa baap hai
kamse kam siya ji ko toh pata hota na
siya and zalak confused that why is she talking like as she came to know from others when varanj about to tell that matter
varanj : dekhiye me bas yehi batane jaa raha tha ki mallika kisi aur se pyar karti hai aur maa hume bina bataye yeh rishta pakki ki hai
siya (in mind) : matlab varanj ji ne nahi bataye
zalak also thought that only which is siya thought
uma : wah wah wah what an acting
sab jante hai hum
aisi ladkiya na paiso keliye ek se shadi karte hai aur ek se apne apne havas pura karte hai
mallika family got hell angry
abhinav (angrily) : mom just Stop it
aap kisi ladki ke bare me aise kaise bol sakte hai
agar humare ghar me bhi koi ladki hoti
agar log humare ghar ki beti ke bare me kuch aisa bole kya hum sehlete?
mom, aurat aurat hoti hai chahe woh humare ghar ki ya paraya ghar ki
without knowing anything we should not judge
mallika tum kisse pyar karti ho
mallika took a while
mallika : sumedh.....
abhinav : okk koi usse bulalo yaha
Durga Devi : nahi ....
kabhi nahi woh iss ghar me nahi aa sakta
abhinav : dadiji samajhne ki koshish kijiye jab tak sumedh nahi aata tab tak yeh confusions solve nahi hote
kinshuk : me call karta hu
he dailed to sumedh
on the other side sumedh got call
he seen
sumedh (in mind) : kinshuk.....
kuch emergency toh nahi
he immediately answered the call
sumedh : hello kinshuk
everyone little bit shocked by hearing kinshuk
shivya (in mind) : kinshuk ka call aaya!
hey bhagwan kuch bhi galat na ho waha
kinshuk : hello sumedh
please aap jaldi yha humare ghar aajaiye
sumedh : whatttt?
lekin kyu? tum jante ho na dadi ji mujhe....
kinshuk : me janta hu but yaha aapka aana bohot jaruri hai
sumedh : thik hai me aata hu
call cutted
kinshuk : woh aa rahe hai
abhinav : mom yaha baat karunga aap please shant rahiye aur mallika ke bare me bura mat boliye
uma : abhinav! tum iss battameezi ladki keliye
before she complete he cutted her
abhinav : mom yehi na bolne ko kaha
mallika ko bhi nahi pata tha ki yeh rishta pakki hui hai
uma : aree abhinav kyu inn logo ki zhaal me faste ho kya bina pata hi yaha humare saamne chup chaap khadi rehti hai
thik hai maana ki nahi pata hota toh jab hum isse mile the kyu kuch nahi kahi thi
aree chaalbaaz hai yeh sab pata hai isse achha hua humare Jaan pehchan log yeh baat pata karke humko bataye hai warna hum toh pura dub jaate the
neerav : dekhiye aunty ji aap please apna muh ko control me rakhiye
sumedh aa raha hai na aane dijiye usse
on the other side
Basant : kya hua
sumedh : pata nahi kya hua
kinshuk urgently ghar bula raha hai
maa me chalta hu
Basant : ek minute me bhi aata hu
sumedh : nahi bhaiya aapko toh unlogo ke baato ke wajah se gussa aajayega
me sambhal lunga sab kuch
monika : sumedh apne bhaiya ki baat maano tum hoge toh zyada gussa nahi karenge
le jao na apne sath hume bhi tension nahi hogi
gouri : sumedh bhabhi sahi keh rahi hai
me tumhe akele waha kaise bhej sakti hu
Basant ko bhi sath me leke jao
sumedh : thik hai chaliye
then they both left
after sometime they reached outside of mallika house
sumedh is worrying
Basant : kya hua na chalna
sumedh : bhaiya kuch galat toh nahi hua hoga na
bohot gabhrahat ho raha hai
mallika ko kuch....
Basant : aree sumi
kyu itna soch rahe ho andar jaoge toh pata chalega na kya hua
chal me hu na tere sath gabhrao mat
sab thik hi hoga chalo
then they went inside
mallika seen sumedh
she felt some relief after seeing him
kinshuk : lo aagaye hai
abhinav : inn dono me sumedh kon hai
he asked to mallika
she pointed to sumedh with her index finger
abhinav went to sumedh
abhinav : hello i'm abhinav
he forwarded his hand
sumedh joined his hand
sumedh : i'm sumedh
they broke the shake hand
{just tried some high - tech english 🤧}
abhinav : kya aapko pata hai ki mallika ke shadi ....
sumedh : janta hu....
he took a breath to make himself calm
sumedh : janta hu
abhinav : woh me hi hu
mallika idhar aao
mallika went to them
she standing between sumedh and abhinav
abhinav : jab dadi humare rishta fix kar rahi thi
kya tumhe woh baat hai?
mallika : nahi
uma : haaaan......
she went to her
uma : ha kyu bolegi yeh ofcourse na hi bolegi
aree tumko mera beta hi mila kya
zindagi barbad karne keliye
sumedh glaring her
sumedh : kya baat kar rahe hai aap
woh bol rahi hai na usko nahi pata
uma : agar nahi pata hota toh jab humse mili thi toh kaamosh kyu thi
jab uski dadi uski saamne bol rahi thi ki usne khud ha kaha toh yeh chup kyu thi kuch bola kyu nahi
sumedh : bas sirf isiliye aap uspar ilzam laga rahi hai
dekhiye mujhe na hi utna age hai na hi utna experience hai jo aapke paas hai
lekin me itna toh keh sakta hu ki
aapko mallika ke bare me aisa nahi bolna chahiye
uma : wah ab toh tum mujhe bologe kya bolna hai kya nahi
aree tum toh khud iski lalaj me ho
bolo kitne paise di isne
jisse iske itna hone ke baad bhi isko bachane ki koshish kar rahe ho
Basant (angrily) : aap apne baato ko kaabil me rakhiye
kaisi baatein kar rahi hai aap ha
sumedh : bhaiya
he signed like no
sumedh (calmly) : ha me usko bachane ki koshish kar raha hu kyuki me janta hu ki woh galat nahi
woh kuch bata nahi paayi kyuki uske dadi batane nahi di
jab moka denge tabhi toh batayegi na
yeh baat mujhko mallika ko
mallika ke pariwar ko mere pariwar ko
kal hi pata chala
tab tak dadiji ke siwayi kisiko bhi nahi pata tha
usne bataya ki mallika ne khud ha kaha
kyu?
thaaki aaplog iss rishte keliye maan jaaye
thaaki mallika ke shadi aapke bete se hojaye
aur baat rahi mallika ke kaamoshi ki
uske kaamoshi ki wajah ek hi hai
DADI!!!
sahi kaha na dadiji meine
Durga Devi didn't gave any answer
varaakshi : tum apne had paar kar rahe ho sumedh
Basant : kya?! had paar kar raha hai?
sumedh : bhaiya
Basant : nahi sumedh mujhe mat roko
kya aunty ji sumedh had paar kar raha hai
aree sach hi toh keh raha hai
uss din utni unchi aavaz me sumedh ko job resign karne keliye bola kon?
AAP!!!
uss din humare pariwar aur aapke pariwar ko na milne ko order diya kon
AAP!!!
yaha hum sab jante hai ki jo dadiji ki baat hoti hai woh aapka bhi hoti hai
jab aap
na milne keliye hi control kar sakte toh
mallika ko shadi ke liye kaise control na karenge!!!
sumedh : aur aap
aap mallika pe ilzam laga rahi hai
tab sita mata agni pravesh karne ke baad agni dev yeh bataye ki sita aag hai
lekin mallika ko .....
mallika agni pravesh ke pehle hi agni dev yeh declare kardenge ki mallika khud aag hai
jab koi aapke ghar ke ladki par aisi ilzaam lagati toh aap chup rahenge ?
aaj aapke ilzam lagane ke baad bhi mallika chup hai iska matlab yeh nahi ki usne galti ki hai
sinh bhi kabhi kabhi chup hoti hai lekin woh samay aane par zarur garjan karti hai
aaj mallika chup hai lekin galat nahi
YEH SACH HAI
uma : hum itna bhi ullu nahi hai jo aap logo ki baato me aajaye
yaha mujhe yeh clearance aa chuki hai ki
yeh mallika mere bete ke zindagi ko barbad karna chahti thi
abhinav : mom agar aap ek aur shabd bolenge toh me bhul jaunga ki meri maa hai
uma : abhinav!!!
abhinav : haa mom...
had hoti hai kisi cheez keliye bhi
jab sumedh ne clearance dediya hai
fir bhi aap.....
aur mallika galti tumhari bhi hai
jabse hum yaha aaye the
tabse toh tum kuch boli hi nahi
jiske wajah se mom ko tumpar ilzam lagane ki moka mil gayi
mallika : kya bolti ?!
jab meri life meri haatho me nahi rahi toh me kya hi bol sakti hu
jab meri life kisi aur ke control me jaa chuki hai toh me kya hi bol sakti hu
jab woh controller meri khudki dadi hai
toh me kya hi bol sakti hu
jab meri zindagi ke faisle koi aur le rahe hai toh me kya hi bol sakti hu......
she said last line by shouting with pain
now her emotions are not in control
she stepped back
and leaned on her knees and started crying
sumedh and others got tensed
sumedh immediately went to mallika
sumedh sat on floor
he kept his hands on her face
sumedh : mallika, mallika ji
he wiped her tears
she seen at him
she leaned herself on him
he wrapped his arms around her
siya and zalak went to mallika
they about to hold her then...
kinshuk : nahi
aaplog mat jao sirf sumedh hi usse sambhal sakte hai
hum nahi
uma : ab iss natak se.....
she about to say something then kinshuk cutted her
kinshuk(angrily ) : nahi
ab koi bhi meri behen ko kuch nahi kahenge bohot suna liya aapne
abhinav please apne mom ko yaha se le jao
abhinav : mom aap bas chaliye yaha se
he holden her hand and left from there
varaakshi about to go to sumedh angrily
then kinshuk stopped her
kinshuk : no mummy
aap sumedh ko kuch nahi bolenge
ab mallika ko sumedh ki zarurat hai
then Durga Devi about to go from there angrily then......
Basant : rukiye Durga Devi jii
she stopped and turned to him
everyone seeing at Basant except sumellika
Basant : ha rukiye aur suniye
aap bhi suniye uncle
aap bhi suniye varaakshi ji
waha dekhiye dekhiye undono ko
kaise bann gaye hai
he holden mallika hand and taken her into between of hall
sumedh also went behind her
he is besides of mallika
Basant : dekhiye
dekhiye apne beti ko
ro rahi hai woh aaj sirf aur sirf aap logo ke wajah se
mallika still crying silently
she leaned her head on sumedh
he kept his hand on her shoulder
he holden her hand with his another hand
Basant : woh jo hai na mera bhai
aapko pata hai yaha andar aane se pehle usne kya kaha tha
usne yeh kaha tha ki bhaiya
kuch galat nahi hua hoga na
mallika ko kuch nahi hua hoga na
me apne bhai aankho me pehli baar pehli baar dar dekha tha
bachpan se me darta tha aur woh mujhe himmat deta tha
lekin aaj.....
inn dono ko chodiye uncle aapko kya hua
aapne khud kehte the na ki jo bhi ladki sumedh ke zindagi me aayegi
usse zyada bhaagyvaan aur koi nahi hoga
jab woh bhaagyvaan aapke beti ho
toh aapko humare status dikh gayi
aapko humare sukh suvidhaye dikh gayi
aap bas jhatko me itne saalo ki dosti tod diya
just because sumedh loves mallika
sumedh mallika se pyar karta hai isliye aapne dono pariwaro ke beech ka rishta hi khatam kardi
aapko laga sumedh aapke paiso keliye mallika se pyar kiya!!
agar aap umar me mujhse badhe nahi hote toh....
toh baat kuch aur hi hoti
aree heera hai mera bhai heera
laakho me nahi karodo me milta hai woh
aap chahe jitna bhi paise kharch karke kyu na dhunde
mera bhai jaisa jeevan sathi aap apne beti ko nahi laa payenge
aaj aapke beti ro rahi hai lekin usse kon sambhal raha hai
me bol raha hu agar mallika ke liye koi sahi jeevan sathi ho toh woh mera bhai hi
jaise aaj woh mallika ke aatma samman bachaya bilkul waise hi kal usko aur uske aatma samman ko waisa hi bachate rahega jeevan bhar
yeh mera wada hai
everyone is speechless
mallika little bit normal now
Basant went to them
Basant : sumi, bohot der hogayi hai
maa dekh rahi hogi chalo
sumedh once seen at mallika
she also seen at him
she got up her head from him
siya and zalak went to besides of mallika
sumedh eye signed like take care
she signed like okk
Basant holden sumedh hand and taking him out
but his all eyes on mallika only
siya and zalak taking mallika into her room
but her all eyes on sumedh only
after reaching some far they turned their eyes to other side with tears
time skipped to night
sumedh sat on cradle which is in garden
he keep staring the dark sky which is filled with stars (ofcourse moon also there 🌝)
sumedh father came and sat besides of sumedh
sumedh is unknown about that
kumar : sumedh, sumedh....
sumedh seen at kumar with jerk
sumedh : baba aap!!!
aap kab aaye hai ?!
kumar : abhi....
kumar took a while
kumar : sumedh beta, me janta hu
mere baato ke wajah se tumhe aahat pohunchi hogi
lekin beta woh .....
he about to say something
sumedh : nahi baba, me janta hu
me samajh sakta hu aapko aisa kyu bolna pada
bachha nahi hu me jo samajh nahi sakta
he told these words with smile
kumar seen sumedh
he caressed his head
kumar : bas thoda sa samay dedo beta
uske baad me khud jaakar varanj se baat karunga agar ab baat karenge toh jhagde ho jayenge
sumedh : baba....
meine kaha na me samajh sakta hu
aap mere chinta chod dijiye jo hoga wahi hoga
agar mallika meri kismat me likhi toh...
woh zarur meri zindagi me rahegi
agar nahi likhi toh .....
aap chinta na kijiye aur baat rahi mallika ki uske liye me hu na sambhalne keliye
jab tak me uske zindagi me rahunga
tab tak usko aanch tak nahi aane dunga
kumar seen him helplessly
kumar : tum galti se mera beta bann gaye ho
tumhe yaha nahi kisi ameer baap ko paida hona chahiye tha jo tumhare mann pasandi tumhe de sake jo me nahi de paa raha hu
sumedh gave a smile
sumedh : kisne kaha me ameer baap ka beta nahi hu..
mere baba bohot ameer hai
itna ameer hai ki humare bare me din bhar sochte hai itna ameer hai ki humare liye hi din raat mehnat kiye hai thaaki humare jaruratein aur humare mann ke pasandein puri hojaye
mujhe nahi lagta mere baba gareeb hai
kumar seen him like how good he is...
kumar : har maa baap ko tumhare jaise beta milna hai sumedh
sumedh smiled
sumedh : mere jaise beta toh milna chahiye lekin Basant bhaiya ke jaisa beta bilkul nahi milna chahiye warna humesha gussa karte rehte hai
then suddenly Basant came from behind and bent sumedh hands back
sumedh : aah...
Basant : kya kya bola re tu
sumedh : bhaiya... aap kab aaye hai aah
Basant : me kab aaya hu baad me pehle yeh bata kya bol raha tha tu
kumar : Basant kya kar rahe ho chodo usse
Basant : nahi baba aaj isse nahi chodunga bolo kya bol raha tha
sumedh : jo sach hai wahi bol raha tha aah...
Basant : achha...
kumar : Basant chodo chodo usko
sumedh : aree bhai chodo hath dukh rahe hai
then Basant leaved his hands
sumedh : uff.. kya karte ho bhaiya
hath fisal jate the aapke wajah se
Basant : aur nahi toh kya karu
aaya bada mujhe bolne wala
kumar smiled for their fight
kumar : beta, tum dono jaise bete har maa baap ko jaruri hai..
Basant signed to sumedh like see i also
sumedh moved his head like okay okay 😒
kumar : Basant beta tum dono iss ghar ke 2 khambhe jaise ho
tum dono me se agar ek bhi kho jaye toh yeh ghar gir jayegi
{a/n : you all know my hindi is some weak so i didn't found normal hindi word word for "collapsed" when i googled it i found "girni" hi mili I don't know whether it's correct word or not}
Basant : yeh baat mujhko nahi apne chote bete ko bol dijiye
har waqt mera mazak udata rehta hai
kumar : badhe bhai ho na isiliye
kumar got up and went to Basant
kumar : Basant beta, me janta hu
tum bahar dikhne me chahe jitna bhi isse lade andar se iske liye jaan dene keliye bhi tayyar hojate ho
sach kahu toh sumedh ko baap ki tarah me nahi tumne paala hai tumne hi isse sambhala hai
Basant : aage bhi sambhalta rahunga baba aur yeh sir ji uska faida uthate rahega
sumedh : me..?! 🙄
Basant : nahi tum nahi padosi aunty
sumedh laughed and eye rolled
kumar : chalo bohot der hogayi dono jaake sojao
Basant and sumedh nodded
then kumar went from there
Basant : suna nahi kya
jao sojao
sumedh : ha jaunga na thodi der baad jaunga
Basant : tumhe aisa nahi maa se daat dilwata hu ruko maa...
then sumedh immediately got up and kept his hands on Basant mouth
sumedh : aree kya ho bhaiya jaa raha hu na
then sumedh left
Basant : pata nahi aisa kab tak chalega pata nahi me firse sumedh ke chehre pe muskan kab dekhunga
he went to his room
monika making sandeep slept in her lap being sitting on bed
Basant sat besides of her
he lost in his own thoughts
he seeming worry
monika noticed that
monika : kya hua Basant ji
Basant : aah.. nahi kuch nahi
sandeep so gaya?
monika : so raha hai
he seen at sandeep and carresed his forehead
monika : aap bataiye kya hogaya aise kyu ho
Basant : abhi nayi kya monika ji
sumedh ke bare me hi soch raha hu
woh dikhne me aisa normal dikh raha hai lekin andar se.....
andar se kitna sensitive ho raha hai
me janta hu
yaha sirf sumedh ko hi nhi mallika ko bhi painful hai
monika ji me sumedh ka bhai hu
mallika toh mujhe khudke bhai maanti hai
dono mujhpe itna vishwas karte hai aur me....
aur me toh unke pyar keliye kuch bhi nahi kar paa raha hu
monika : Basant ji, me samajh sakti hu
raat ki andhera bhi 12 ghanto ke baad chali jaati hai aur yeh toh zindagi ki andhera hai mujhe pura vishwas hai humare sumedh aur mallika iss andhera se darenge nahi balki saamna karenge jeetenge aur subah ke roshni tak pohunch jayenge
humare time pe toh aapko vishwas ud gayi na ki humare shadi nahi hogi
lekin hua kya hai ab humara 1mehne ka chota sa bachha hai
bilkul waise hi dekhna aap humare sumedh aur mallika bhi jeet jayenge bilkul humare tarah
Basant smiled
Basant : dekh rahe ho sandeep
kitni motivation deti hai tumhare mumma ek din inhe motivation me nobel prize aajayegi
monika gently slapped on his shoulder
monika : ab chup chaap so jaiye
din bhar overthinking karte rehte hai
{a/n : just like author 🥲}
Basant smiled
on the other side at shivya room
shivya (on phone call with kinshuk) : kinshuk fir baad me unlog se kuch baat nahi hui?
kinshuk : nahi abhi tak toh nahi hui
shivya : khair achha hi hai
kamse kam mallika ke shadi ke bare me toh tension nahi hoti
kinshuk : hmm.... lekin mujhe nahi lagta ki nani maan jayegi yaar woh bohot ziddi hai kisi ki baat nahi maanti
shivya : toh tumhare behen usse bhi zyada ziddi hai unhi ka toh poti hai
kinshuk : hmm... achha suno shivya achha hua hum ab tak humare love ke bare me kisiko bhi nahi bataye hai
aage bhi aisa hi karenge jab tak sumedh aur mallika ki problem solve nahi hoti tab tak hum nahi batayenge
shivya : ha kinshuk baat toh sahi bol rahe ho
already bhaiya aur mallika ke bare me sabhi itni pareshan hai agar hum apne bataye toh...
aur pareshan ho jayenge
kinshuk : hmm... right
shivya : kinshuk, kya tumhe lagta hai ki tumhare mummy mujhe kabhi accept karegi
kinshuk : i have no idea
but trust me i will not leave you
ab pyar kiya toh sath nibhana hi hai na
don't worry i'm with you i will be always with you
shivya smiled
kinshuk : phone pe muskuraoge toh kaise pata chalega 😁
shivya : kinshuk 🙄😒
he smiled
kinshuk : chalo bohot der hogayi ab sojao good night
shivya : good night..
time skipped to next day morning at mallika office cabin
sumedh came there
sumedh : may i come in mam?
mallika lost in her own thoughts
sumedh : mam....
mallika reacted with jerk
mallika : haa come in,
he went inside
sumedh : aapka sign chahiye
she did sign on file
sumedh : ek baat bol sakta hu ?
mallika : bolo
sumedh : aap aaj nashta nahi khayi na
mallika seen him being surprised
mallika : tumhe kaise pata?
sumedh : pata chal gaya automatically
kyu apna health kharab kar rahe hai aap jo hoga wahi hoga kyu uske liye tension rakhna
mallika : sumedh
she holden his hands
mallika : mujhe kabhi chodke nahi jaoge na
he understood her fear
he also holden her hands to console her
sumedh : nahi jaunga meri mout aajayegi lekin bhut bankar aapke aas paas hi ghumunga
she leaved his hands angrily
mallika : sumedh, kyu aise baatein bolte ho?
he smiled
sumedh : bhut se dar lagta hai?
mallika : nahi, tumhare mout se
tumhe khone se dar lagta hai
she turned her face other side
he turned her to himself
sumedh : achha baba nahi baat karunga firse aisa thik hai...
mallika (cutely) : hmm....
sumedh : jab aap naraz hoti toh bohot cute lagti hai
she gently slapped on his hand
mallika : yaha me pareshan hu aur tum ho mazak kar rahe ho
someone voice : may i come in mam
mallika : yes, come in
that person entered room
sumellika seen him and shocked
mallika : abhinav!

...............................TBC............................

that's it for today's part
hope you all like this part
and very sorry this much long part 😅
bas hogayi itni lambi i can't help 🤧
stay tune for more parts
Radhe Radhe 💛

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now