ghar mein pata chal gaya 😓

107 6 4
                                    

mallika : kya hai dadi
Durga Devi : meine tumhari shadi tay karli
mallika is hell shocked
zalak,neerav & kinshuk also shocked
siya also shocked
varaakshi felt very happy
varanj : lekin maa itni achanak se
Durga Devi : achanak nahi hai beta
kabse me iske liye rishta dhund rahi thi aur aaj ek achhi rishta mil hi gayi
varanj : lekin maa mallika ko abhi se shadi ka kya zarurat
varaakshi : bhaiya baap ke nazro me beti bachhi hi rehti hai lekin woh asal me bohot badi ho jati hai
mallika ko shadi ka umar aagayi
ab nahi toh aur kab karenge uski shadi
varanj : ha par hum mein koi bhi usse mila tak nahi
baat tak nahi ki woh kon hai yeh tak nahi pata lekin aap tay karke aagayi!!!
Durga Devi : toh kya varanj tumhe apne maa par bharosa nahi hai?
varanj : nahi maa waisa nahi mujhe bharosa hai aap par
Durga Devi : toh fir....
dekh varanj mallika meri poti hai
kya me aise hi kisi se bhi meri poti ki shadi karwalungi
ladka achha hai pariwar achhi hai
ladke ke maa khud ek buisness woman hai
ladka toh khud ek software engineer hai
laakho me kamaata hai
dil se bhi bohot achha hai yeh rishta mallika keliye sahi hi nahi perfect hai
siya noticed mallika
she still in shock
siya : yaha toh aap sabhi baat kar rahe hai kisi ne mallika ko pucha tak nahi ki usko yeh shadi karna pasand hai ki nahi
varaakshi : isme mallika ko kya puchna bhabhi maa jo bhi karti hai uski bhalayi keliye toh karti hai
siya : lekin jeevan bitana toh meri beti ko na varaakshi
varanj : siya sahi bol rahi hai pehle mallika ke sehmat zaruri hai
varanj went to mallika
varanj : mallika beta bolo kya yeh rishta tumhe pasand hai
no response from mallika
then siya went to mallika
siya : mikku agar yeh shadi hogi toh tumhare sehmat se hi hogi
agar tum chahogi tabhi yeh shadi hogi
bol beta
still no response from mallika
zalak moved her shoulder
zalak : mikku...
then mallika came to world with a zerk
mallika : anu tum andar jao
then Anushka went from there
mallika : mujhe yeh shadi nahi karni hai
varaakshi : kyu nahi karni hai
mallika : bas nahi karni hai iss baat pe discussions mat rakhiye
she about to go then Durga Devi grabbed her
Durga Devi : itni battameezi kab seekhi tune ha bol kyu nahi karni hai yeh shadi
mallika freed herself
mallika : dadi ekbaar kaha na mujhe bas yeh shadi nahi karni nahi karni nahi karni
mallika said this by shouting
Durga Devi (shouting) : wahi kyu nahi karni
varanj : maa bol rahi hai shadi nahi karni chodo na
Durga Devi (by shouting) : tum chup raho tum dono ke wajah se hi yeh itni bigad gayi hai
tum bolo kyu nahi karni hai shadi
mujhe meri sawal ka jawab chahiye
mallika (in flow) : kyuki me sumedh se pyaar karti hu
everyone is shocked
kinshuk (whispering to neelak) : batadiya
zalak : iss time pe pata chalna....
pata nahi ab yeh log kaise react karenge
neerav : dekhte hai shayad mama ji mami ji support karte hai usse sumedh ke papa khud unke dost hai
siya felt very very happy from inside
but also feared about other family members reaction
varaakshi : dekha bhaiya dekha me toh pehle hi boli thi ki uss pariwar ko dur rakho dur rakho lekin aap toh meri sune hi nhi ab dekhiye uski natiza
varanj : mallika sirf tum hi pyar karti ho ya dono bhi
no response from her
he holden her hand tightly
varanj (shouting) : bolo.....
she zerked for his reaction
mallika (softly) : dono
he leaved her hand
Durga Devi (with extreme angry) : sarvnash sarvnash hogaya ghar me
ab kya murti ki tarah khade ho varanj dekhle apne beti ko aree pehle hi batake aayi thi ki woh ladka ek din isko apne pyar ke fasayega uss pariwar ko dur rakho
tab tune kya bola
yehi bola na ki maa kumar ke pariwar bohot achhi hai sumedh toh mallika ke dost hai
ab dekh ab dekho tum wahi wahi sumedh humare humare paise keliye mallika ko pakadliya
mallika (softly) : dadi sumedh waisa nahi
mallika (angrily) : chuppp!!!!!
she said this while slapping mallika's cheek tightly
everyone is shocked
siya : maaji
she went between mallika and Durga Devi
siya : ghar ki ladki par hath lagayenge
Durga Devi : usse nahi pehle tumhe lagani chahiye tere wajah se yeh hath se nikal gayi hai
aree ab bhi isse bolne ke bajaye bacha rahi ho
varaakshi : maa kisko bol rahi ho bhabhi ko?
aree yehi toh hai jo uss pariwar ka bhajan karti rehti hai bhaiya ko brainwash karti hai
middle class ghar ki hai na woh cheep mentality kaha jayegi
varanj : varaakshi aise baatein karte ho apne bhabhi se
Durga Devi : aree bivi ka chod apne beti ka dekh
agar ab bhi tum chup rahoge toh
yeh iss pariwar ka humare khandan ka izzat sadak pe layegi
on the other side at sumedh house
shivya with monika and sandeep in basantika room
monika handling sandeep
shivya again and again seeing at hall
monika noticed that
monika : kya hua shivi
baar baar hall me kyu dekh rahi ho
shivya : woh.... basant bhai, sumedh bhai kab aayenge?
monika : aate hi honge kyu?
shivya : woh mujhe aap 3se ek zaruri baat karni hai
fir ishi aur kanan jiju se bhi batani hai
monika : aisa konsi baat hai
shivya : dono bhaiyo ko aane dijiye aap 3 ko milkar batati hu
monika : achha thik hai
then Basant came home
monika : tumhare bade bhaiya aagaye hai shayad me chalti hu
shivya : Sandeep ko mujhe dijiye
monika : ha yeh lo
shivya taken sandeep
monika left
shivya : sandeep sandeep ...
she started playing with him
monika : Basant ji yeh lijiye paani
Basant drank the water
then sumedh came there being very happy
sumedh : bhaiya bhabhi
maa baba kaha hai shivi kaha hai
Basant : andar hai shayad
kya hua itni khush kyu ho
sumedh : batata hu
maa baba shivi jaldi aaiye
shivya : bhaiya aagaye
lekin maa baba ko bhi bula rahe hai
aaj raat tak kaise na kaise batana hi hoga
she kept sandeep in cradle and went to hall
monika : sandeep sogaya
shivya : ha bhabhi bas sogaya
sumedh parents also came there
kumar : kya hua beta
then sumedh explained everything which is said by mallika to her family members
everyone felt very very happy
kumar : beta ekbaar mallika ko call karna usko shubh kamnaye denge
sumedh : ji baba
he called her
sumedh : mallika ka toh switch aa raha hai
shayad... charging kam hui hogi
kumar : achha koi baat nahi me varanj ko hi call kar deta hu
kumar called varanj
on the other side at mallika house
varanj phone ranging
{note : his phone was on teapoy so everyone can clearly see who is calling}
varaakshi(angrily) : kumar!!!!
varanj is not answering
but varaakshi answered his call
and turned on loud speaker
kumar : hello varanj
varaakshi : varanj nahi varanj ke behen varaakshi
aur kaan kholke suno jiss kaand keliye apne bete ko bheje ho na woh hume pata chal gaya hai
kumar : kaand? yeh kya baat kar rahe hai aap mujhe kuch samajh nahi aaya
other family members in sumedh house are confused and worried that what happened
varaakshi : waah wah wah !
maanna padega aapke iss acting skills ko
thik hai tumhare mann ki tasalli keliye batadeti hu
tumhare beta sumedh humare bachhi mallika ko apne pyar ke zhaal me fasaya hai
kumar is hell shocked
kumar : kya!!!!!???
he seen at sumedh
varaakshi : ha!!!!!
lekin afsos baat yeh hai ki ab tumlogo ka plan success nahi hogi
ab hume pata chal gaya hai
jald hi mallika ko shadi karwayenge
aur apne bete ko bolo ki apne job ka resign kare tabhi izzat se jayega
nahi toh hume nikalna padega
kumar : dekhiye aapko koi galat fehmi hui hogi
aap varanj ko phone dijiye
varanj : kumar...
yeh sach hai
mujhe tumhare bete se yeh umeed nahi tha
aaj usne toh......
aaj usne sab kuch khatam kardiya.....
kumar is stunned for his words
Durga Devi : suna mere bete ne kya kaha ab kaan kholke suno
tum sabhi bhi suno
aaj iss pariwar aur uss pariwar ke beech rishta khatam ho gayi hai
na hi iss ghar se koi waha jayenge
na hi uss ghar se koi yaha aayenge
ab kabhi humse baat karne ki ya milne koshish mat karo kumar
yeh me tumhe aur tumhare pura pariwar ko bol rahi hu
then she taken the phone and cutted the call
mallika is so shocked for varanj words
she never thought that he will reacts like this
Durga Devi : aur tum mallika
tumhare shadi usse se hi hogi jisko meine tumhare liye dekha hai
agar tum yeh shadi nahi ki toh iss ghar me tumhare koi dadi nahi hogi
by saying this she left from there
varaakshi went near to siya
varaakshi : kamse kam ab toh achhe baatein boliye
by saying this she also went from there
varanj : mallika
me janta hu ki yeh tumhe dukh pahuchayegi lekin bade jo bhi karte hai bachho ki bhalayi keliye hi karte hai
agar samjhogi toh..... achha hoga
by saying this he also went from there
on the other side
kumar (angrily) : sumedh ...
jo me sun raha hu kya woh sach hai ?
all are confused
gouri : kya hua hai ji
kumar : pucho apne bete se
sumedh : hua kya hai baba
kumar : varanj aur uske behen bol rahe hai ki tum mallika se pyar karte ho
everyone is shocked
shivya (whispering to basantika) : pata chal gaya
sumedh became silent and kept his head down
kumar : mere sawal ka jawab do sumedh kya tum mallika se pyar karte ho
sumedh : ha baba
gouri felt very happy from inside
Basant : baba kya pyar karna itna galat hai
kumar : pyar karna galat nhi hai beta jiske sath pyar ki yeh zaruri hai
gouri came to world and understood the situation there by kumar voice range
Basant : toh mallika me kya kami hai baba
kumar : kami mallika me nahi hum me hai
hum kon hai aur woh kon hai
woh hai itni ameer ladki aur hum....
hum hai aam log jo 1taarikh aane pe kirana saaman ka kitna bharna hai
emi kitna hai dudh ka kitna bharna hai
current bill kitna aayi
kis kiske salary kitna kharcha hota hai aur kitna bachta hai
aur kitna adjust hona hai
bas yehi sochte rehte hai
{a/n : every middle class man/woman/girl/boy story 🙂}
kumar : aur woh ladki humse adjust kaise ho payegi hum kaise woh sukh suvidhaye de sakte hai jo usko waha mila hai
woh humare ghar me khush kaise rahegi aur ab toh woh log sumedh ko resign karne ko bole hai
upar se varanj.....
janti ho gouri usne kya kaha
usne kaha ki sumedh ne sab kuch khatam karliya hai
iska matlab kya hai gouri
usne humare beech jo itne saalo ki dosti hai woh khatam hogayi na
Basant : baba woh toh aapke dost hai na aur woh sumedh ko bohot achhe se jante bhi hai
woh jante hai na sumedh kaisa hai
kumar : Basant woh mere dost zarur hai lekin mallika ke baap bhi hai
sumedh ko zarur janta hai lekin aise karne se sumedh par vishwas udd gaya hai
hum sumedh ke pyar ko zarur support karte hai lekin hume yeh bhi sochna chahiye ki saamne wale kon hai kaise hai aise bina soche samjhe aage nikal gaye toh aise hi rishte tut jate hai
sumedh (aggressively) : toh kya me itna bhi nahi sochta baba
socha tha baba socha tha
isiliye jab meine pyar kiya usse meine nahi bataya ki me usse pyar karta hu
lekin....
he is getting tears
somehow hardly he controlled those
lekin woh aake mujhe batayi baba
ki woh mujhse pyaar karti hai
maa me karta....
usko mana kardeta!?
kaise mana kar deta maa
woh yaha hai (pointing at his heart)
usko mana karne keliye mere dil kaisa maanega
dil ka toh chod mere dimag bhi allow nahi karega
aapne kya bola baba ....
mujhe resign karne keliye woh log bola na
thik hai kar deta resign
agar aapko lagta hai ki mere job resign karne se mujhse hui galti thoda sudhrega toh thik hai resign kar leta hu
agar sabhi ko yehi lagta hai ki mere aur mallika dur hona sahi baat hai toh thik hai dur ho jata hu me mallika se
zindagi me kabhi mudke bhi usse nahi dekhunga
mujhe koi farak nahi padega baba
MUJHE KOI FARAK NAHI PADEGA
maa aapke beta itni bhi kamzor nahi hai jo itni si baat pe sensitive ho jata hai
me kamzor nahi hu maa me kamzor nahi hu
dur ho jata hu mallika se
he getting tears and he unable to control them so he left to his room
he leaned on his knees he kept his fingers at his eyes and started crying
on the other side
mallika getting cry
mallika feeling very uncomfortable so she almost getting anxiety attack
so she left to her room by keeping her hands at her mouth
siya : mallika....
siya,zalak,neerav & kinshuk got tense and went to mallika room but she locked door
they knocked door
even while going through that anxiety attack she still answered them
mallika : mummy me .... me thik hu me koi kamzor nahi hu i'm so strong
aap jao yaha se
zalak : mami ji chaliye
siya : lekin woh..
kinshuk : mami ji usse waqt chahiye
we should give her time aap chaliye humare saath
neerav : mami ji mallika ko kuch nahi hoga chaliye
then they left from there
then mallika leaned on her knees
tears are flowing from her eyes
but she is not able to cry
she feeling very very uncomfortable
she taken her mobile and tried to turned on
but it's switched off due to low charge
with very much difficulties she went to charging point in her room
and put charging then she switched on phone and directly went to sumedh photo which is having in her gallery
then she started crying
{a/n : don't know what i'm writing 😐 just go with flow}
on the other side at sumedh house
gouri turned to kumar
gouri(with teary eyes) : kumar ji
mujhe kabhi nahi laga ki aap...
aap aise baat karenge
aap toh humesha humare bachho ka sath diya lekin aaj....
thik hai maani ki aapka aur varanj ji ka dosti zaruri hai lekin
kya mera beta zaruri nahi hai
kya uska pyar kuch nahi hai
kya uska kuch feelings nhi hai
kya patthar hai (shouting)
boliye kumar ji
chabbis saal chabbis saal paali meine mere bete ko
inn chabbis saalo me kabhi bhi
kabhi bhi itna aggressive woh nahi hua
lekin aaj pehli baar hua
aap jante hai log itna aggressive kab ho jate hai
tabhi ho jate hai jab woh apne dard ko apne dukh ko bata nahi paate
aur dukh tabhi bataye paate jab saamne wale samajhte hai
uska galti hi kya
sabhi ka bhalayi hi toh chahta hai
na jaane mera konsa paap mere bete ko lag gayi
then she left from there
monika : maa maa...
monika also went behind her
Basant signed to shivya like you talk with baba i will go to sumedh
shivya nodded
Basant went to sumedh room
there sumedh sitting on floor by his back resting at bed
Basant went to sumedh and sat besides of him
he is so silent
he is seeing into void (khaalipan)
Basant literally scared and worried by seeing sumedh like this
Basant kept his hand on sumedh shoulder
Basant : sumi ....
sumedh seen at Basant
he is trying to hide his pain
sumedh : me thik hu bhaiya
Basant : ha dikh raha hai kitna thik ho
sumi tumhe maa baba se zyada tumhe tumse zyada me janta hu
sumedh stared at Basant with teary eyes
sumedh : sab....
sab mere wajah se hi hua hai bhaiya
sab kuch mere wajah se
jab mallika propose ki thi mujhe mana karna chahiye tha
tab toh pal bhar keliye dukh hota lekin ab ....
ab toh jeevan bhar dukh hoga
mere wajah se ab mallika ko bhi dukh sehna pad raha hai bhaiya
he couldn't stop himself
he leaned himself on Basant started crying
Basant consoling him by carresing him
Basant : sumi sumi
tum himmat mat kho tumhare bhaiya hai na bas thoda sa intzar karo sab thik ho jayega ha....
he rubbed sumedh head
on the other side at hall
kumar sitting on sofa shivya sat besides of him
shivya : baba
me samajhti hu ki aapke liye varanj uncle ke dosti zaruri hai lekin bhaiya keliye bhi unke pyar zaruri hai na baba
baba jitna maan aapko apne dost par hai utni hi maan bhaiya ko apne pyar par hai
bhaiya keliye mallika unki praan hai papa
usse dur nahi ho sakte
ab meine bhaiya ko aankho me aansu dekha hai baba
pehli baar pehli baar uske chehre pe dukh dekhi meine
bhaiya ko......
she is getting tears
shivya : bhaiya ko aisa nahi dekh sakti baba
she leaned herself on kumar shoulder
kumar caressed her and started thinking about sumedh
on the other side
gouri : monika mujhe bata me kya karu
mujhe kuch samajh nahi aa raha hai
me kya karu beta me apne bete ki dukh kaise dur karu
monika : maa please aap shant ho jaiye
mujhe sumedh ke pyar pe pura vishwas hai
jitna dukh aaj zhel raha hai utna hi Khushi kal mehsus karega
bas hume intzar karna padega
maa humare har sawal ka jawab samay hi dega bas hume patience se rukna padega wait karna padega
maa mark my words ek din sumedh pura dil se muskurayega woh bhi mallika ke sath
on the other side
siya : zalak beta me kya karu
sumedh aur mallika ek dusre se khush rahenge aur me yeh baat sabhi ko kaise samjhau
zalak : mami ji
aap please shant ho jaiye
siya : kaise shant rahu zalak
waha meri beti ro rahi hai aur me shant rahu
kinshuk : mami ji
mujhe nahi lagta ki sumedh aur mallika itni aasani se dur ho jayenge
abhi toh shuruwat hai na sabhi aise hi react karenge
siya : nahi beta
tum apne nani ko nahi jante ho
agar woh kuch karne ko decide kiya toh usko karke hi maanegi
mujhe yeh samajh nahi aa raha ki varanj ji .....
tumhare mamaji aise kaise bola
bachpan se mallika ko itna support kiya
aur aaj jab unhe mallika sath deni chahiye toh tab .....
tab unhone uska sath nahi diya
neerav : mami ji
almost every father especially
girl's father aise hi react karte hai
har baap yehi sochte ki unke beti ko the best husband mile
lekin woh sone ki khoj me
asli heere ko khojate hai
jaise ab sumedh ko kho rahe hai
lekin mamiji unhe thoda sa samay dijiye
ekdin woh zarur samjhenge
tab tak hum sab hai na
hum sab milkar kaise na kaise iss shadi ko rok lenge
kinshuk : ha mami ji please thoda sa himmat rakhiye sab thik ho jayega
time skipped to next day early morning
siya is doing some work then mallika came to her
mallika : mummy
siya seen her
siya : mikku yeh subah subah ready hoke kaha jaa rahi ho
mallika : office
siya : office woh bhi itni jaldi
mallika : kaam hai isiliye me jaa rahi hu mummy bye!
mallika about to go
siya : mikku mikku ruko
beta aise khali pet se mat jao ruko me kuch banati hu
mallika : nahi mummy mujhe late hojayega mujhe jaana hai
siya : aree.....
achha kam se kam yeh bread toh leke jao ruko me dabbe me rakhti hu
she put some bread and jam in tiffin box
siya : yeh lo office jaate hi yeh khana
mallika : hmm....
mallika left from there
siya : aaram se jana beta
me janti hu mikku tum kyu jaa rahi ho
bhagwan kamse kam waha toh meri bachhi ko thoda shanti dijiye
pata nahi yeh sab kab khatam honge
pata nahi me firse mallika ko haste hue kab dekhungi
after sometime at office
sumedh wrote resignation letter
{note : he just came then only and he didn't met mallika}
sumedh : yeh letter dena mushkil hai
aapse dur hona toh na mumkin hai lekin karna hai
he took a deep breath to make himself calm and left to mallika cabin
he entered mallika cabin and shocked

.............................TBC..............................

that's it for today's part
hope you all like this part
stay tune for more parts
Radhe Radhe 💛

aapke bin hum honge adhure Where stories live. Discover now