1. Jhagda, Jhagda, Jhagda! Aur Pyaar Bhi...

691 9 0
                                    

"Bela, Prof. sahab kaise hain? Sunne ko aaya hai ki aaj kal bimar rehte hain."

"Papa thik hain, kaka. Aap bataiye aap kaise hain?

"Hamko kya hoga. Ekdam badhiya hain. Kya lena hai?

"2 kg cheeni chahiye."

"Haan beta, abhi laye."

"Zara bachkar, shaadi ki umar ho gayi hai. Moti ho jaogi to haath laga rishta toot jayega. Agar Rishi tumhe chhod kar chala gaya to aur kaun pasand karega tumhe? Prof. sahab ke paas itna paisa bhi nahi ki dobara tumhari sagai karvayein aur phir shaadi."

"Hamari aur Rishi ki chinta mat kariye, aapko muh kholne ka mauka nahi denge ham. To shayad aapko kisi aur ko pakadna padega apna vakt bitane ke liye."

"Arrey, badi besharam hai tu. Aur kaise kaise kapde pehen ke nikal jati hai, behaya kahin ki. Na jaane Rishi ki mati mari gayi thi jo usne tujhse mangni kar li."

"Dheet to aap bhi kam nahi hain, kamini- ah, Kaamini- chachi. Aapki beti na jaane kahan kahan raat bita kar aati hai. Aapko uspar dhyaan dena chahiye. Pehle usko dekhiye phir kisi aur par ungli uthaiyega."

"Arrey kaise baat karti hai, dekho to."

"Aap jaise logon se jaise baat karna chahiye."

Kamini chachi gusse mein Bela ko thappad marne wali hoti hai lekin Bela unka haath pakad leti hai aur use jhatak deti hai, jiske jor ke wajah se Kaamini chachi gir jaati hai.

"Chachi ji!" Ek ladki Kaamini chachi ke paas turant aa jaati hai aur unhe khada hone mein madat karti hain. "Chachi ji, aap thik to hain na?"

"Arrey, mem mari kamara todi nakhi. Aa chhokri mane marine chhodi dese!"

"Aapki himmat kaise hui meri Chachi pe haath uthane ki? Badon se kaise pesh aate hain aapko pata hai ki nahi?"

"Iski ma isse bachpan mein chhod ke chali gayi thi, tabhi aisi hai. Aur jaye bhi kyun na, aisi badchalan beti ko to main bhi chhod deti."

"Chachi ji-"

"Chup kar tu."

"Apni Chachi ji ko kuch nahi kahogi? Mnh, of course kuch nahi kahogi. Tum abhi khud bachhi ho, mujhe sikhane se pehle dekh liya karo, samajh liya karo."

"Kisne kaha ki chhoton se nahi seekh sakte? Agar aap aisa sochti hain to bohot chhota sochti hain. Baat chahe jo bhi ho, badon ka aadar, unka samman karna chahiye."

"Samman unka karte hain jo samman ke layak ho. Aur jo galat hai wo galat hai, bada ho ya chhota ho."

"Aap galat-"

"Shaivi! Chal yahan se. Yeh badtameez ladki to mazak bana hi rahi hai hamara, iski aur madad mat kar. Chal mere saath." Chachi Shaivi ko dukaan se kheech ke le jati hai.

"Aap thik to hain, Chachi ji?"

"Tu jab aati hai, main thik kaise ho sakti hoon, manhoos kahin ki. Tu to apne ma-papa ko bhi nahi chhodi, main to phir bhi chachi hoon. Is baar kitne dinon ke liye aayi hai, ek hafta?"

"Ab main aapke aur Shanaya ke saath hi rahungi."

"Kya kala kaand karke aayi hai jo tujhe muh chhupana pad raha hai yahan?"

"Aisi koi baat nahi hai."

"To yahan kyun aayi hai? Hamein tang karne?"

"Main aapko tang nahi karungi. Ek job mil gaya hai mujhe yahan, to aapko ghar mein madat kar dungi."

"Tere 2 paise se kya madat hogi hamari? Ulta hamein madat karna padega."

"Utna zyada to nahi hai, par aapko mere wajah se pareshani nahi hogi. Aap aisa samajh lijiye ki main aapki kirayedar hoon."

Uljhe DorWhere stories live. Discover now