7. Hamare Liye Wo Bhi Kafi Hai

65 2 0
                                    

A/N:

 Main Rachi Sharma ko Shaivi Bhatia imagine karti hoon. Aap sab kise imagine karte hain? Any suggestions for other castes? Tell me in the comment section.

(I usually don't give face to my characters because I feel like my readers can imagine them as they want to but whenever I write Shaivi I imagine her and now that I did give it out, I feel good. But I don't have any other characters' face in my mind right now.)

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

  "Bela, Kunal aur Maan ka roka hai aaj aur pata nahi Shaivi kahan reh gayi hai. Tu hi jake roke ki chunni le aa. Warna pata chala ki roka ke liye ladka- ladki, mehman sab aa gaye par chunni ka ata- pata hi nahi hai."

  "Haan, Sonia aunty, ham abhi lekar aate hain." Bela Jia ko aate dekhti hai. "Aapko pata hai Shaivi kahan hai? Kafi samay se dikhi nahi."

  "Shayad kuchh last minute arrangements hoga, main abhi aayi hoon." Jia wahan se chali jati hai.

  "Bela di, ek baat puchhun?"

  "Haan, puchho Kavya."

  "Yeh hamare seniors ne saara kam ham logon par kyun dal diya? Yeh log to hamein train karne aaye the lekin roz 11 baje aate hain aur 5 baje nikal jate hain."

  "Kyunki yeh kaam hamara hai, hamein seekhna khud hi hai. Wo to Mehrotras ka shukriya ki inke ghar do do shaadiyan hain warna ek saath itne interns ko kahan lete hain."

  "Lekin kitne berehem hain. Shaadi ke baad kuchh interns ko nikal denge? Wo log to hamein use kar rahe hain na, jab zaroorat hua use kiye phir baad mein nikal diya."

  "Free ka kam thodi karwa rahe hain. Hamein paisa mil raha hai, wo bhi achha khasa. Suno, hamein jane do, Maan ki chunni lekar aate hain ham."

  Bela ka phone bajne lagta hai. "Haan, gulabi rang ke phool hamein kal chahiye... hamne laal nahi gulabi kaha tha... ham nahi jante aap kya karenge, hamein gulabi phool hi chahiye... aap jante nahi ham kiske liye kaam karte hain, Glam Events ke liye. Aaruni maam ko pata chalega to saari deal cancel karwa dengi... yeh hui na baad, parso wakt pe phool bhejwa dijiyega, subah 8 baje. Yaad rakhiyega, bhool mat jaiyega."

  Halwai ka phone? "Address? Arrey, kal aapko sirf mithaiyan bhejwani hai. Menu sagai ke liye hai. Date ki charcha ho gayi thi na phone pe? Order dobara check kariye."

  "Bela didi, make up artist ka call hai. Aap baat kar lijiye, mujhe Sonia aunty ke kaam se bahar nikalna hai."

  Make up artist ka call? Ab kya problem ho gayi? Ek ke baad ek problems aati ja rahi hain, band hone ka naam hi nahi leti. "Haan, hamne booking karwayi hai... nahi, kal ke liye nahi parso ke liye. Roka parso hai... to aapse galti ho gayi hogi... Haan, date badal dijiye."

  Sab gadbad kar rahe hain. Yahi hota hai jab ek hi company se do- do shaadiyan karwane ki booking ho, wo bhi ek saath.

---☆---

  "Shaivi? Shaivi! Kahan ho tum?"

  "Maan didi, aapne mujhe bulaya?"

  "Shaivi, meri make up artist abhi tak nahi aayi hai. Tumne booking kiya tha na?"

  "Haan didi, maine booking kiya tha. Phir aapke kehne pe time change karwa ke use ek ghanta jaldi bhi bulwayi thi. Pata nahi late kyun ho gayi wo. Main company ko call karke puchhti hoon."

  "Abhi rehne do, uska time nahi hai mere paas. Yeh batao ab ham kya karein? Ek ghante se bhi kam time hai roka shuru hone mein."

  "Kya karein? Mujhe make up karne nahi aata hai. Rukiye, Neha se puchhti hoon." Shaivi bhag ke Neha ko dhoondhne jati hai.

Uljhe DorWhere stories live. Discover now