12. Apni Aukat Mein Raho

52 3 0
                                    

  "Yeh tum kya karne ja rahi thi? Maine tumse kaha tha ki wo baat tum kisi se nahi kahogi."

  "Ham jante hain lekin hamari aankhon ke saamne Aarohi ki zindagi barbaad hone ja rahi hai, ham haath pe haath rakh ke kaise baith sakte hain?"

  "Karna padega, because my family is none of your God damn business! Tum ek wedding planner ho, apne kaam se kaam rakho aur apne aukat mein raho. Mere family matters mein interfere karne ki koi zaroorat nahi hai."

  "Ham jante hain hamara koi hak nahi banta hai aapke pariwar ke mamlon mein dakhal dene ka lekin Aarohi ki zindagi ka sawal hai aur ham uski zindagi barbaad nahi hone denge."

  Kunal Bela ka haath uske pichhe modta hai aur use apne kareeb kheechta hai. Uska gusse se bhara chehra dekhkar Bela dar jati hai.

  "Kunal, chhodiye hamein. Hamein dard ho raha hai." Bela dheemi awaz mein bolti hai.

  "Ab kahan gayi tumhari attitude? Kal to tumhare paas bohot kuchh tha kehne ko, aaj bolti band kyun hai tumhari?"

  Aap darawne hain lekin ham bhi kamzor nahi hain, itni asani se nahi jhukenge. "Aapse behes karne ka koi fayda nahi hai. Aap hamari baat sunenge nahi to bhais ke aage been bajane ka koi fayda nahi."

  "You- just stay out of my business, understood?" Kunal Bela ka haath chhod deta hai.

  "Ab aap bataiye aap hamse milne kyun aaye the?" Bela apna haath dabate hue kehti hai.

  "Kisne kaha main tumse milne aaya hoon?"

  "Yahan hamara aur Shaivi ka kamra hai. Shaivi, Kavya aur Neha, sab upar hi hain, sajawat dekh rahe hain. Aap antaryami to hain nahi ki aapko sapna aayega ki ham Anshuman aur Veer se baat karne wale hain kyunki yeh baat hamein khud nahi pata tha. Zahir si baat hai aap hamse hi milne aaye honge. Ab batayenge baat kya hai? Hamein bohot kaam hai, app par aise wakt zaya nahi kar sakte hain ham."

  "Thodi der pehle to kafi time tha tumhare paas Ansh aur Veer se baat karne ke liye."

  "To kya ham din bhar logon se baat karte phire? Aur unse baat karte karte ham kaam bhi nipta rahe the, lekin ab hamari zaroorat upar hai. Ab aap wo kahenge jo kehne aaye the?"

  "Haan, mere-"

  "Bela Di, aap wahan hain kya? Aapne jo chairs mangwaye the ladke- ladki ke liye wo aa gaye hain. Rakhwane se pehle ek baar aapse puchh lena chahti hoon."

  "Tum chalo, Kavya, ham aate hain."

  "Jaldi kariye, Di, un logon ko aur bhi jagah jana hai."

  "Aaye," Bela kamre se chillati hai. "Dekh liye, aa gaya bulawa. Dher saare kaam hain, hamein jane dijiye warna baad mein koi gadbadi hui to aap hamein hi daatenge." Bela darwaza kholti hai aur wahan se chali jati hai.

---☆---

  Yeh yahan kyun hai? Aarohi ko aur koi nahi mila tha shaadi karne ke liye? Pata nahi maine roka ke samay kaise nahi dekha use. Yeh baat mujhse chhoot kaise gayi?

---☆---


  Shaivi Maan ko kapde de kar wapas ja rahi thi jab koi achanak uska haath pakad ke use common poolside kheech leta hai.

  "Veer! Tumne mujhe dara diya. Aise kaun karta hai?"

  "Veer Mehrotra."

  "Ha ha, very funny."

  "I know I'm funny, lekin main tumhe hasane ya tumse jhagda karne nahi aaya hoon, to please mujhse jhagda mat karna."

Uljhe DorWhere stories live. Discover now