27. Get Out!

24 3 0
                                    

  Bela ke chehre par subah ke dhoop ki kirne padti hain aur wo apna aankh kholti hai, lekin sir aur aankh mein dard ke karan apne aankh wapas band kar leti hai. Wo dheere se uth ke baithti hai, apna sir pakde hue.

  Bela apna aankh kholti hai lekin use kuchh der sab dhundhla dikhta hai. "Yeh ham kahan hain?" Dheere dheere use saaf dikhne lagta hai aur use pata chalta hai ki wo Kunal ke kamre mein hai. "Ham Kunal ke kamre mein hain. Ham pakde gaye kya?" Kal kya hua tha? Hamne Aarohi ki shaadi roki ya nahi? Hamein kal shaam ke baad ka kuchh yaad nahi hai. Hamara phone kahan hai? Kunal ne wapas le liya kya?

  Darwaze par khatkhatne ki awaaz aati hai. "Uh, aap andar aa sakte hain." Ham waise bhi hote kaun hain yeh bolne wale, na hamara kamra hai aur na hamara ghar.

  Kunal andar aate hain aur unke pichhe Parvati, ghar mein kaam karti hai, mere liye ek tray mein ek glass pani aur kuchh dawa lekar aati hai. "Jaldi se yeh dawa kha lo, phir mujhe tumse baat karna hai."

  "Ham dawa nahi khayenge. Aapki tarah ham har chhoti- moti cheez ke liye dawai nahi khaate hain. Ek baar kadha pi lenge to sir dard theek ho jayega."

  "Kadha- tum jaanti bhi ho kal hua kya tha? Tuumhare saath kya hua tha? Tumhe sedate kiya gaya tha."

  "Hey Ganga Maiyya, yeh kya bol rahe hain aap? Chhee, ham yeh sab... ham saaf man ke insaan hain, koi hamein-."

  "Seduce nahi, sedate. Tumhe drug diya gaya tha jisse tum apne hosh mein nahi thi."

  "Hamein yeh kisne diya?"

  "Wahi to main tumse puchhne wala tha. Pehle dawai khao. Doctor ne diya hai. Isse tumhara shareer detoxify ho jayega, matlab yeh tumhare shareer se drug ko jaldi nikaalne mein madad karega." Bela apne haath mein lagi sui ko dekhti hai, phir dawai kha leti hai.

  "Bela, kal tum Aarohi aur Adhij ki shaadi todne aayi thi na?"

  "Haan, ham ek aakhri baar koshish kiye bina nahi ja sakte the. Aarohi ki zindagi ka sawaal tha. Uski shaadi ho gayi? Ham jab hosh mein nahi the, us samay uski shaadi ho gayi?" Hey Ganga Maiyya, ham kamiyaab nahi ho sake Aarohi ko bachane mein. Hamein nahi pata uski niyat mein kya likha hai, lekin Ganga Maiyya, use shakte dena.

  Kunal ka gussa badhte rehta hai. "Nahi, kal raat Aarohi aur Adhij ki shaadi nahi hui." Bela Kunal ko dekhti hai. Hey Ganga Maiyya, aapne Aarohi ki jaan bacha li, aapka dhanyavaad. "Lekin kal do shaadiyan hui thi."

  "Jab Aarohi ki shaadi nahi hui to phir kiski shaadi hui?"

  "Anshuman ki."

  "Anshuman ki?" Bela chauk jaati hai. "Kisse?"

  "Maan se."

  "Maan se? To aapki shaadi kisse hui?"

  "Tum shaadi ke jode mein ho, tumhare maang mein sindoor aur gale mein mangalsutr hai. Kya lagta hai? Tumse shaadi hui hai."

  "K-kya? Hamse kaise?" Bela ladkhadakar uthti hai, lekin apne aap ko sambhaal kar sheeshe ke saamne khadi ho jaati hai. Jaisa Kunal ne kaha, wo dulhan ke jode mein hai, uske maang mein sindoor aur gale mein mangalsutr bhi hai. "Nahi, yeh kaise ho gaya? Hamari shaadi, aapse kaise? Ham to- hamari shaadi agle mahine- aisa nahi ho sakta hai."

  Bela ne shaadi mein adla badli nahi kiya, main jaanta hoon. Lekin isne Maan ko brainwash kiya hai. Iski wajah se Maan ne wo sab kuchh kiya. Yeh us manipulator ke games mein phaste ja rahi hai aur hamre ghar mein sab barbaad karte ja rahi hai.

  "Ek baat batao, Bela, ekdam sach batana, Mehendi ki raat tum Maan se mili thi ya nahi?"

  Inhe kaise pata? Kahin Maan ne Kunal ko nahi bata diya? "Haan, ham usse mile the."

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 22 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Uljhe DorWhere stories live. Discover now