4. Roka ki Tayyari Shuru Karo!

59 4 0
                                    

  "Yeh aapka kamra hai, ma'am."

  "Please, ek to aap hamein 'ma'am' mat kahiye. Bela naam hai hamara. Bela Narayan from Banaras."

  "Achha, Bela ji. Is room mein Kunal sir ki wedding planner bhi rukengi. Aapko kisi bhi cheez ki zaroorat ho to mujhe buka lijiyega." Aalok Bela ko neeche chhodkar wapas upar chale jata hai.
Neeche basement nahi hai, bas thoda neeche hai ground level se, aur ground floor ground level se bas thoda upar hai.

  Bela apne kamre ke andar jati hai aur apna saman wahan dekhti hai. "Wah, Aalok bhaiya, aap hamara saman le bhi aaye."

  Bathroom ka darwaza khulta hai aur Shaivi andar se nikalti hai.

  "Aap? Aap yahan kya kar rahin hain? Aap mera peechha karte karte yahan bhi aa gayin?"

  "Tum sun bhi rahi tum kya bol rahi ho? Tumko lagta hai ki Mehrotra Mansion jaise bade ghar mein koi bhi kisi ka peechha karte karte andar ghus jayega? Aur duniya tumhare ird- gird nahi ghoomti. Itni bhi badi insaan nahi ho."

  "Par aap dekhiyega, main bohot badi insaan bankar dikhaungi. Phir aapki himmat nahi hogi meri aur meri Chachi ji ki bezzati karne ki."

  "Pehle khud to badi ho jao, baad mein badi insaan banna."

  "Dekhiye, aap mujhe chhota mat aakiye. Bhale hi main aapee chhoti hoon umar mein aur aap mujhse bohot badi lagti hain, lekin kaam ke mamle mein main aapse kam nahi hoon. Kya pata main aapse zyada achhi hoon? Aaj- kal ke logon ko kya pasand hai mujhe pata hoga, aakhir main bhi aaj ki hi hoon na."

  "Tum mujhe budhi keh rahi ho?" Bela gussa hote hue bolti hai.

  "Aunty ji, aap khud hi mujhe chhoti chhoti kehte rehti hain. Main 22 saal ki hoon. Agar aap aise bol rahi hain to yani aap mujhse kafi badi hongi, aur aise logon ko hamare desh mein commonly aunty hi kehte hain."

  "Tum hame aunty kaise-"

  "Bela di! Aap andar hain kya?" Aarohi ki aawaz aati hai bahar se.

  "Haan, ham andar hain. Aaye." Bela Shaivi ki ore dekhti hai gusse se. "Ham tumhe baad mein dekh lenge. Aur haan, ham budhe nahi hain, hamari shaadi bhi nahi hui hai abhi tak."

  Bela jaise hi room se nikalti hai, Shaivi apni hasi aur rok nahi paati. Aap to senti ho gayi, aunty ji.

  "Haan, boliye Aarohi ji."

  "Aap mujhe Aarohi ji mat boliye. Budhon walj feeling aati hai."

  Andar hasne ki aawaz tez ho jati hai. Lagta hai wo ladki hamari baat sun rahi hai. " Aap mujhe sirf Aarohi bulaiye. Aur 'tum' chalega."

  "Achha, theek hai. Bolo, kya kaam tha?"

  "Do mahinon mein meri shaadi hai aur main bohot excited hoon. Kitni saari baatein karni hain aapse. Aap free hain kya?"

  "Haan, ham free-"

  "Aarohi, main janta hoon tu bohot excited hai par unhe aram to karne de. Abhi aayi hai bechari, thak gayi hogi."

  "Point hai teri baat mein. Bela di, main aapko shaam mein milun?"

  "Theek hai."

  "Perfect. Take rest, Bela di."

  Yeh sab koi ne kya 'take rest' laga rakha hai? Ham itne budhe lagte hain kya ki hamein aram ki zaroorat pad jaye?

  "Bela, right?" Bela apna sir hilakar haan bolti hai. "Bela di, Shaivi kahan milegi?"

  "Kaun Shaivi?"

  "Wahi jo Kunal bhaiya ki wedding planner hai."

  "Ham abhi abhi company join kiye hain. Ham nahi jante kaun kaun hai."

Uljhe DorWhere stories live. Discover now