2. Pehla Project

140 6 0
                                    

  "Bela! Jaldi karo, late ho jaogi. 9 baj gaye."

  "Aayi, papa. 2 minute." Bela ka kurta pet ke niche se pura transparent hai, jiske saath usne jeans pehna hai. Bela chappal nikalti hai shoe rack se aur pehen rahi hoti hai lekin uska baal uske chehre par aa raha hota hai.

  "Baal baandh lo. Din bhar aankh par aayenge ye nagin se lambe baal to kaam kaise karogi?"

  "Ham apne baal sambhal sakte hain. Par aap bhi sahi keh rahe hain. Ham baandh hi lete hain. Aur hamare baal utne bhi lambe nahi hain, kamar tak bhi nahi pahuchte."

  Bela apne baal ko ek low pony mein baandh kar aati hai. "Dahi- shakkar khayi?" Bela apna jeebh nikalti hai. "Bhool gayi na. Kya hoga tumhara hamare bina." Prof. Narayan andar se ek katori mein dahi aur cheeni lekar aate hain.

  "Is liye aapko hamare saath abhi kayi saal rehna hai."

  "Tum to apne papa ko bhool jaogi ek baar shaadi ho jayegi, dekhna."

  "Kaisi baat kartein hain. Ham aapko kaise bhool sakte hain? Aapne hamein akele paala hai, zaroorat ki har cheez di hai, hamara kitna khayal rakha hai, hamein zara si bhi takleef nahi hone di aapne. Aapko ham akele kaise chhod dein jab aapko hamari zaroorat hai? Aapko chhod kar nahi jayenge ham, aapko saath lekar jayenge."

  "Pagli, tumhare sasural mein ham kya karenge? Achha, yeh sab baatein chhodo. Tumhe der ho rahi hai. Jaldi se yeh khao aur bhago."

  "Aap chinta mat kariye. Aruna Chawla ma'am bhi janti hain ki Bela ke bina unka nuksan ho jayegi."

  "Lekin uske liye pehle Glam Events pahunchna padega."

  Prof. Narayan Bela ko dahi cheeni khila dete hain aur Bela unka aashirvad lekar chali jaati hai.

---☆---

  Shaivi apne aap ko sheeshe mein dekhte hue kehti hai. Baal to khule hi thik hai. Shaivi apne lambe baal ko kanghi kar leti hai aur apni sleeveless top skirt ke saath pehen leti hai aur ke dupatta apne gale mein daal leti hai. "Chachi ji, main nikal rahi hoon. Shaam tak aa jaungi."

  "Jo karna hai karo."

  Shaivi auto bulati hai par wo jis taraf jana chahti hai us taraf koi jaane ko tayyar nahi hai. "Bhaiya, Glam Events office chaloge?"

  "Nahi, sorry ma'am."

  Barish hone lagti hai aur Shaivi bus stand ke niche ruk jaati hai aur barish ke kam hone ka intezar karti hai. "Chhata bhi nahi layi main. Ekdam jhalli hai tu, Shaivi."

  Jab barish kam hoti hai to Shaivi bus stand ke niche se bahar aati hai lekin ek bright orange colour ki mehengi sports bike uske saamne se guzarti hai aur us par kichad uchhal deti hai.

  "Kichad uchhal diya mujh par. Andha hai kya? Dikhta nahi hai?"

  Bike thodi dur par rukti hai, aur Shaivi bike ka number plate ka photo khich leti hai, phir bike tezi se chali jaati hai.

  "Pagal kahin ka. Kapde kharab kar diya. Ab ghar jakar badalna padega. Kahin late na ho jaun." Tune photo to khich liya par iska karegi kya, Shaivi? Police ke paas to jayegi nahi, itni chhoti si baat ke liye itna bada jhanjhat kyun palna, wise bhi ya to ameer hoga ya bike ke liye pagal ki itni mehengi bike khareed li. Dono hi achha nahi lag raha. Lekin agli baar milga mujhe to chhodungi nahi.

  Shaivi bhag kar ghar jati hai aur naha kar, kapde badal kar wapas nikal padti hai.

  Auto dhoondhne ke chakkar mein late ho gayi main. Shaivi receptionist se puchhti hai interview ke bare mein. Receptionist usko dekhti hai, lagta hai main bohot hi late hoon, par details de deti hai. Shaivi 5th floor par pahunch jati hai par puri floor use khali dikhti hai.

Uljhe DorWhere stories live. Discover now