9. Ek Mahine Mein Shaadi?!

35 2 0
                                    

  Aarohi ka roka ho gaya aur ham kuchh nahi kar paye, aapke wajah se Kunal. Par ham Aarohi ki zindagi barbad nahi hone de sakte. Agar aapko hamari baat par vishwas nahi hota hai to ham saboot ikattha karenge. Bas dar is baat ka hai ki der na ho jaye.

  "Bela di, aapne saman pack kar liya? Company se car aayi hai, adhe ghante mein hamein company pahunchni hai."

  "Ham bas dekh lete hain kuchh chhut to nahi gaya."

  "Hamlog hamesha ke liye nahi ja rahe hain, kal bhi wapas aana hai. Kal le lijiyega. Abhi chaliye warna Rachna ma'am datengi."

  "Theek hai, baad mein le lenge ham."

---☆---

  Kunal Bela ke kamre mein jata hai usse baat karne ke liye. Ussi samay Aalok cleaning staff ko lekar aata hai room saaf karwane. "Aalok, Bela kahan hai?"

  "Kunal sir, Bela ji aur baki sab ja chukein hain."

  "Usse baat karna tha." Kunal apne aap se kehta hai.

  "Koi baat nahi sir, phone pe kar lijiye."

  Kunal Aalok ko death glare deta hai. "Baat phone pe nahi ho sakti, Aalok. Warna main kar leta usse phone pe baat."

  "To kal phir se aayengi, tab baat kar lijiyega."

  "Janta hoon, Aalok. Aaj- kal bohot bolne laga hai tu." Aalok niche dekhta hai jab use ek anguthi milti hai.

  "Sir, ye anguthi mili hai zameen par. Shayad Bela ji ya Shaivi ji mein se kisi ka hai."

  "Lao, mujhe do." Yeh Bela ka hai. Maine notice kiya hai Bela ise hamesha pehne rehti hai. Us din jab pool mein giri thi tab bhi maine dekha tha. "Jab wo wapas aayegi to use mujhse le lene ke liye bolna."

  "Aap takleef kyun kar rahe hain. Main de dunga unhe."

  "Jitna bola jaye utna karo, Aalok."

---☆---

  "Papa, ham aa gaye. Papa, kahan hain aap?" Jab Prof. Narayan ka koi jawab nahi aata hai to Bela ghabra jati hai. "Aap so rahe hain kya? Yeh kya samay hai sone ka?" Bela darted hue kehti jab uske man mein bure khayal aane lagte hain.

  "Papa?" Bela kitchen mein jati hai aur Prof. sahab ko zameen pe gire hue dekhti hai. "Papa! Papa, aankhe kholiye, please. Hamein daraiye mat." Bela pani lene uthti hai to dekhti hai ki gas on hai aur doodh ubal ke saara gir gaya hai. Bela gas off karke glass mein pani bharti hai aur Prof. sahab ke chehre pe chhidakti hai.

  Prof. sahab jab nahi uthte hain to Bela ambulance ko call karne wali hoti hai lekin nahi karti hai. Ambulance mein khamakha Kharche ho jayega. Riksha bula late hain.

  Bela Prof. sahab ko lekar hospital jati hai aur uske papa ko turant check up ke liye le jate hain. Ek nurse bahar aati hai.

  "Papa kaise hain ab?"

  "Mr. Narayan ab stable hain. Doctor kuchh tests karenge uske baad hi kuchh keh sakte hain. Insurance hai? Aapne form fill kiya?"

  "Haan, insurance hai." Papa itne bade professor hain, college ke taraf se bhi insurance hai aur papa ne alag se bhi insurance liya hua hai.

  "Aap wait kariye, Doctor aayenge to aap unse mil lijiyega."

  Bela Rachna ko call karti hai. "Ma'am, hamein kuchh dino ki chhutti chahiye. Hamare papa ki tabiyat kharab hai, hospital mein hain."

  "What? Kya hua? Ab kaise hain tumhare papa?"

  "Ab theek hain. Doctor se milne ke baad pata chalega kya hua."

Uljhe DorWhere stories live. Discover now