Help

203 16 19
                                    

I was again left in the world of loving and caring people and Bravehearts too.

Ajabde knew what she had to do. She went to Ranimaa, she knew only ranimaa could help her out in this issue.

Ranimaa...

Ajabde...andhar aao beta

Pranam ranimaa

Baito humare paas

Ji ranimaa

Achanak Ajabde yaha...koi avashyak karya tha??

Nahi ranimaa...hum apse milne aaye

Accha

Waise ranimaa hume Kunwar Shakti ke baare mein kuch baat karni hai

Toh karo Ajabde

Woh ranimaa...humne suna ki Kunwar Shakti ka vivaah tay hua hai...Gwalior ke rajkumari se

Haan...Ranaji aur Sajja behena ne hi tay kiya

Ranimaa Kunwar Shati humare paas aaye the aur unhone humse kaha ki unhe iss vivaah se koi prasanatha hai

Kya?? Unhone toh Ranaji aur Sajja behena ko suna tha...tab toh unhone kuch na kaha

Ranimaa...veh kisi aur se prem karte hai...veh Solankani bai se vivaah nahi karna chahte...veh toh Phool Kanwar se vivaah karna chahte hai

Ajabde agar yeh sach hai toh pata nahi Ranaji unka kya karenge

Hum jante hai ranimaa isliye toh humne yeh baat apse kahi

Accha Ajabde, hum kuch karte hai...shayad hum Ranaji se hi baat karenge

Ji ranimaa

Aagya dijiye

In Ajabde's chamber

Ajabde...

Kunwar Pratap aap yaha??

Kyu hum apne patni se nahi milne aa sakte hai??

Heh...hum abhi apke patni nahi hai...sirf humara vivaah ka baat chal raha hai

Tabhi...aap toh humari patni hai...

Nahi...

Hai...humne apko humari patni maan liya hai aur ab hum apke bina reh nahi sakte hai...iss ka arth hua ki aap humari ardhagini hai

Kunwar Pratap aap yeh apka yeh bakwas band kijiye...hume apse kuch kaam ki baat karni hai

Accha...toh kariye

Woh...Kunwar Shakti ne humse kaha ki unko vivaah nahi karna

Haan toh...unka vivaah abhi toh nahi ho raha hai...abhi toh veh chote hai...

Nahi Kunwar Pratap...Ranaji ne unka vivaah Rajkumari Solankani se tay kiya hai aur veh vivaah se prasanna nahi hai

Kya??

Haan...apko toh pata hai ki unhe Phool prasand hai

Haan, sahi baat hai

Waise maine ranimaa se baat kar li hai iss vishay par

Accha kiya...ranimaa hi kuch karengi

Haan

Accha ab baat hua toh hum toda samay sath bhitaye??

Kunwar Pratap aap din bar din badmaash ho rahe hai

Nahi...yeh sab prem ka asar hai

Accha...prem toh hume bhi hua hai...hume toh aisa kuch anubhav ho raha hai...kyu??

Kyu...accha prashna hai

Uttar batayiye

Uttar hum jante hai

Toh batayiye na

Ek kshan ruqiye...

Chakrapani...

Chakrapani...

Aap unhe kyu bula rahe hai??

Taki hume pata chal sake ki aap pehle bhi aisi thi ya vivaah tay hone ke kaaran aisi hai

Kunwar Pratap...yeh prem ka asar hai

Humne kaha na...ab aap apna haar swikaar kijiye

Accha accha

Kahiye, Apki jeet aur humari haar

Humari jeet aur apki haar

Heh?? Apki jeet aur humari haar

Apki jeet aur humari haar

Suddenly a daasi drops in

Ajabde baisa...

Ji

Apko aur Kunwarsa ko darbar mein bulaya gaya hai

Ji abhi aate hai

Chaliye Ajabde

Ji chaliye

They both went to the court. Ajabde went to Jhokra while Pratap went to his seat. All the ladies and gents of royal family had gathered there. Maharani, Jaiwanta Bai; Chotirani, Sajja Bai, Dheer Bai Bhatyani, Veer Bai; Prince, Pratap, Shakti, Vikram, Jagmal; Princess, Maan and Guests, Ajabde, Phool had gathered along with the council of ministers.

I was transported to the normal human world where the humans were rushing and were in hurry.

Chamber Of Secrets- A PrAja Love Saga; CompletedWhere stories live. Discover now