[unedited HIN] 17b|| F.R.I.E.N.D.S.

3.3K 162 32
                                    

"Aap dono dost baatein karo", Praneet said indicating to Tia and Priya, "Aur hum dono dost aate hain.", he indicated towards himself and Arjun.

Priya nodded and watched the two boys go towards the bar.

"The world is so small na?", chuckled Priya. "Kisne socha tha ki hum phirse milenge aur vo bhi aise!"

Tia too chuckled.

"So...", Priya initiated, "kitne mahine huye?", indicating to her slightly visible tummy.

"3 months."

"Praneet ne mujhe itna to bataya tha ki Arjun ne shaadi karli. But ye sab kab aur kaise hua, ye nehi bataya. Chakkar kya hain?", Priya asked with knitted eyebrows.

Tia started with little laugh, "Arjun kisi kaam se Mumbai aya tha aur kismat ka khel dekho! Sunn-saan sadak pe gundone pakar lia tha aur maine bas use bachaya... Aisi thi humari pehle mulaqat!", Tia laughed.

"Seriously? ", Priya said laughing.

"Haan, seriously. Phir 2-3din baad, achanak ekdin Arjun aur Praneet kothe mein pohoch gaye. Aur Arjun ne mere samne ek ajeeb si deal rakhdi ki vo mujhse shaadi karna chahta hain kyun ki use waris chahiye."

"Really? ", Priya's eyes went wide.

Tia nodded and continued," To maine bhi bol dia ki mujhe padhai karni hain. Agar vo mujhe padhai karne dega to main badle mein kuch bhi karungi. And he agreed! Aur phir shaadi. Aur pata hain main Bachelors of Fine Arts bhi kar rahi hu!! My dream!", Tia clapoed her hands excitedly.

"Tia...", Priya held Tia's hand, "Tu khush to hain na?", she was very concerned.

"Sach bolu toh... Main bohot bohot bohot zyada khush hu! Arjun ke iss deal-wali shaadi ke wajah se mujhe vo sab kuch milgaya jo mujhe humesha se chahiye tha.... Mujhe ek bhara-pura parivaar milgaya! Babasa, ek pita jaise sasur. Gayatri, ek behen jaisi nanad. Praneet, ek bhai jaisa friend.
Aur ab tum bhi to aarahi ho!", they giggled, "Meri bari-behen aur sabse achchhi dost, jo kho gayi thi lekin ab mere saath hi rahegi. I can't wait for you to join the family!", Tia hugged Priya tightly.

"Sab ke bare mein bata dia, lekin Arjun ke liye kuch nehi?", asked Priya teasingly.

"Arjun ke bare mein kya batau... Usske bare mein bolne baethungi to din nikal jayega. He's my everything. Humara rishta thora anokha hain, lekin mere liye sabse barke hain."

"Tu khush hain, yehi mere liye bohot hain."

"Ab tum batao, kaha thi itne saalon se? Akele ek naye sheher aake darr nehi laga? ", asked Tia.

"Darr to bohot laga tha.... Naya sheher, naye log, kahi meri asliyaat na pata chal jaye sabko! Lekin bhagwan ki kripa se sab bohot achchhe se hua. Phir mujhe Australia mein intership offer hua aur maine jhatt se haan kardi. Phir wahi job join karlia. Lekin aapne desh ki baat hi kuch aur hoti hain... Iss liye wapas chalu ayi."

"Itne saalon mein ekbar bhi Mumbai wapas nehi gayi?"

"Nehi...", Priya turned sad, "Tujhe kuch pata hain Aai ke bare mein?"

"Actually, Arjun ne kothe ke jagah par ladkiyon ke liye hostel banwaya dia hain. Reshma-tai aur kuch auratein waha se chali gayi, usske baad se unnki koi khabar nehi."

"Arjun ne bohot achchha kaam kia hain. I am so proud of my friend!"

"Sach mein, ussne mere saath saath sabki zindagi badal di...."

"Tia, tu sach mein bohot khushnasib hain ki Arjun tere saath hain aur Arjun ko shayad abhitak samajh nehi aya hain... Lekin vo bhi bohot khushnasib hain jo tu usski patni hain. Mujhe yakeen hain tum dono ek dusre ka bohot achchhe se khayal rakhoge."

Tia nodded with a smile.

~UPDATED ON 24th August'18~

Next Chapter:
Tejaswini-BlastFromPast
________________________
I have a news for you all!!
Many requested for English translations. So very soon I will be updating the chapters with ENGLISH TRANSLATIONS! 😄

BORN TO RULEWhere stories live. Discover now