Part1-Journey towards Redemption

4.5K 278 184
                                    

Hey guys m back with one more Ts. While watching the headboy competition episodes an idea came across my mind .

What if the bet never happened and naina's blame lead to sameer's rustication from school ?

lets see what happened in this situation.

Happy reading❤


Jee mein aata hai , tere daaman mein
Sar jhuka ke ham rote rahe , rote rahe
Teri bhi aankho mein , aansuo ki nami to nahi
Tere bina zindagi se koi , shikwa , to nahi
Shikwa nahi , shikwa nahi , shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi , to nahi
Zindagi nahi , zindagi nahi , zindagi nahi.

As the lyrics reached her ears, her eyes became moist remembering him. The way they collided in their first meet. His eyes that looked deep into hers ,his charming face , his long hair flowing with the breeze .

The breeze which once made his hair sway magnificiently is the same breeze which took him away , somewhere , may be too far from her reach .

She looked outside the window and could see how the trees were swaying to and fro because of the cool breeze.

"Aaj hawa ka rukh kuch alag hai ,aisa lag raha hai jaise nayi taazi leher mei aaj ye pedh bhi jhoom rahe hai par meri zindagi mei is hawa se koi badlaav nahi aaya , meri zindagi mei jis hawa ke jhoke ne khushiyan laayi thi , use to maine apne hi hatho se dusri disha mod diya .

Aaj bhi kosti hoon khud ko us galti ke liye jisne kuch zindagiyan kharab kar di , pyaar karke bharosa na karne ki galti ki saza to bauhat badi nikli , kash ki us din mein wapas jakar wo sab badal paati to aaj is pachtave ki aag mein jal nahi rahi hoti mai , kash ki pyar karne ke sath sath us par bharosa karti to aaj mere zindagi mein bhi khushiyon ki hawa hoti , ek aisi hawa jisse mujhe beintehaan pyar hai , ek hawa jiska nam mere rooh mei kaid hai , SAMEER !"

FLASHBACK (4 years ago)

PRAGATI VIDYA KA MANDIR ,

"Maine ye library ki chaabiyan Sameer ke jeb se girte huye dekhi "

"Ameerzaade teri himmat kaise hui meri chaabi churane ki "

Slap ...

"Sameer tumne bilkul theek nahi kiya , competition ke liye chori ?"

"Mera yakeen karo mummy maine koi paper nahi churaye"

"To ye duplicate chaabi aayi kaha se tumhare pass, vishakha main janta tha ye ladka aisi hi harkat kar sakta hai...imandari to ise aati hi nahi "

"Ye sab jo main sun raha hoon wo sach hai ? "

"Nanu mera yakeen kariye ye chaabi maine li thi par paper nahi churaye apko dhoka dene ke khayal se hi mai dar gaya tha maine sach mein kuch nahi kiya nanu "

"Jaiprakash ji , niyam todne ki saza to milegi hi...sameer ke pass khud ko begunaah sabit karne ka koi tarika nahi hai , isse sabit hota hai ki sameer ne chori ki hai "

"Nahi principal sir aisa nahi .."

"Sameer bas ...ab sir apko jo faisla lena hai mujhe manzoor hai "

Ts - Lost and found (Completed)Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang