5 years later.
A girl was shown sitting beside the window. Eyes closed and it was all dark around her, as if depicting her life.
Tears were continuously flowing.Preeta: yeh kesa mazak hai karan...mujhe yeh bilkul nahi pasand, kesi baatein kr rhe ho
Karan(angrily): yeh sach hai preeta...mazak nahi hai...aur jitne jaldi tum samajh jao tu tumhaare liye behtar hoga...
Preeta(crying): karan,,,plz mujhe tang na kro..tum tu mujh se pyaar krte ho na...tu phir kiun keh rhe ho k you don't love me...tumhein pata hai na mein tumhaare beghair nahi reh skti...preeta, karan k beghair kuch bhi nahi hai..
Karan: preeta plz, tum mujhe aur pareshan mat kro...tumhe keh diya hai keh wo sirf attraction thi mere liye..ab mujhe samajh aya hai k mein ghalat tha...mein ne tum se kabhi sacha pyar kiya hi nahi...tum meri dost thi aur us dosti ko mein pyar samajh betha...par ab mein yeh rishta aur nahi nibha skta...ab sab khatam ho chuka hai..behtar yehi hoga k tum bhi bhool jao...aur meri zindagi se bohot door chali jao
She slapped him and he looked at her confusingly.
Preeta(angry in tears): bhool jao? Kitni asaani se keh diya tum ne karan luthra k mein sab kuch bhool jao? Kya itna hi asaan hai sab kuch bhula dena mere liye.? Tumhaara pyaar, tumhaari dosti, tumhaar concern, tumhaari baatein, bhool jao? Soch bhi kese liya tum ne?
Karan(angrily): preeta..tum kiun aise react kr rhi ho? Just forget it yaar...tum kabhi mere liye important nahi thi.....tum sirf dost thi meri...us se aage kuch bhi nahi..
Preeta(crying): meri hi ghalti hai..sab meri ghalti hai k tum pr bharosa kiya..tum mujhe bewakoof banate gye aur mein banti gyi...tumhaari baaton mein agyi..tumhaare jhoote wadon pr bharosa kiya..jese tum kehte gye...mein wese krti gyi..
She stopped in the middle and was crying miserably.
Karan: babydoll,plz aise mat bolo..
Preeta: Mr.Luthra, yeh haq aap kho chuke hain, mera naam preeta hai..
He looked at her stunned.
Preeta: tumhein tumhaari life mubarak ho Karan Luthra...kiun k mein ab ja rhi hoon..aur wapis kabhi nahi aaon gi..
'Di?', a voice woke her up from her misery.
She came towards her sister and saw that she was again crying and remembering those horrible moments of her life.
The girl was revealed to be preeta.
Preeta: shristi? Tu yahan kya kr rhi hai?
Shristi: di, aap phir us insaan ko yaad kr k roye?
Preeta wiping her tears and said: mujhe is baare mein koi baat nahi krni hai..tu bata sameer kesa hai?
Shristi: theek hai...kaam k silsiley mein delhi aya tha...socha aap se mil k jaon..
Preeta(smiled): acha kiya..
Shristi: aap k is hasi k peeche bhi bohot gham hai di..aap kiun ab bhi apne aap ko kharab krte ho?
Preeta: pyaar ko bhulana itna asaan nahi hota shristi..kesa hai wo ab?
Shristi: aap aise kiun ho di? Ab bhi aap un k baare mein pooch rhi hain? Us insaan k baare mein jis ne aap ki qadar nahi ki? Jis ne aap ko dhoka diya?
Preeta glared her.
Shristi: jese aap ho is waqt, wese hi wo bhi hain...bas apne kaam mein hi rehte hain..na kisi se milna....na hi kahin ana jaana...aise lagta hai jese aap dono ko kisi ne tor diya ho di.....karan sir ab bhi usi ghar mein rehte hain....phir pata nahi unhon ne yeh sab kiun kiya?
Preeta(chuckled): koi wajah thori hi na hoti hai dhoka dene k liye...us k liye wo sab ek mazaak tha..aur mere liye pyaar...
---------------------
In Mumbai, same house was shown in which a happily married couple once lived. But now, it was empty of laughter.
A man was shown, talking to a picture, hung on the wall of his room.
That man was revealed to be Karan.
Karan: kahan ho tum? Kab se tumhe dhoond rha hoon, bohot miss krta hoon tumhe.....yeh ghar tumhaari yaad dilata hai.....tumhaari hasi sunai deti hai mujhe...aisa lagta hai jese tum mere aas paas hi ho...yahan tumhe mehsoos krta hoon...pehli baar jab tum mere ghar ayi thi...pata nahi usi waqt se hi tumhare aas paas rehne k dil chahta tha....tumhaari har choti si choti zid poora krne ka dil chahta tha...aur jab tumhaari aank mein aansoun ate, tu mujhe ajeeb si baycheni ho jati thi...usi waqt mujhe pata chal gya tha k tum meri life ka wo hissa ban chuki jisse mein chah kr bhi nahi chor skta....mein ne apni life mein kisi ko importance nahi di...lekin tumhe khud se zyada di, I love you yaar, plz wapis ajao...
He drank the alcohol and was crying.
Karan: tum tu meri zindagi apne saath le gyi babydoll,,meri zindagi jeene ka asal maqsad apne saath le gyi..karan luthra ko akela chor gyi tum...tumhaare saath guzra howa har ek lamha mujhe yaad ata hai...lekin shayad meri qismat mein tum bas thore se time k liye thi..hamara saath bas wahin tk tha....tum tu meri zindagi ho preeta,,aur agar tumhe kisi bhi cheez se bachaane k liye tumhe khud se door krna pr gya tu wo mujhe manzoor hai...lekin agar tumhe kuch ho jaye...tu mere jeene ka maqsad hi khatam ho jaye ga...
----------------------
Preeta was shown working in her office. She was now the managing director of interior design company.
Her eyes fell on a frame, kept on her table.
Preeta: kiun kiya tum ne aisa? Hum kitne khush the saath mein...mera tumhaare beghair rehna mushkil hota ja rha hai karan....ab mujh mein aur himmat nahi hai...5 saal ho gye hain...lekin mein tumhe nahi bhool pa rhi hoon...
Suddenly her door was knocked and she wiped her tears.
Girl: preeta mam?
Preeta: g boliye..
Girl: mam, sir ne aap ko do din bad ki party ki invitation di hai...
Preeta: kesi party?
Girl: actually humari deal mumbai ki bari company k saath file hui hai...isi liye company ki taraf se party hai..
Preeta: theek hai..tum jao..
She left from there.
Preeta: shayad ab isi tarah zindagi guzarni hai...
She looked at their photo and said: tumhaare beghair, tumhaari baaton k beghair...ab mere paas sirf tumhaari yaadein hain...tum nahi...
She cries remembering the time spent with him.
-----------------------
Do leave reviews🙂
YOU ARE READING
Yours Forever ✔
FanfictionBest friends forever since childhood, but will this 'forever is for life or just a second, peep in to know!' No.1 #preeran 11/01/20 No.4 #pkl No.4 #karanpreeta No.2 #dheeshra No.28 #kundalibhagya