Dadi asks Khushi to fast

3.3K 166 8
                                    

Arnav is raging with anger because of what he just heard. He knew Dadi hated Khushi but never knew she would try to kill his child.

After, dadi and Shyam go. He looks around and goes towards his room. He takes a minute before knocking trying to compose himself. No way can Khushi know that anybody is trying to kill her baby she will stress out. Finally, once he feels better he knocks.

Khushi.

Khushi opens the door. There a scared look on her face. Arnav starts losing his confidence again. He quickly moves in and closes the door.

Arnvaji, kya hua. Kahan Gaye the aap.

Kuch nai Khushi mujhe bas laga maine kisiko dekha niche

Khushi goes pale

Shyam

Nai Khushi koi nai tha. Tum daro mat. Bas mujhe ek promise karo. Ab dadi aayi hai is ghar mein. And Shyam dadi se milta rehta tha. Pata nai unke dimag mein kya chal raha hoga. Tum please kuch bhi khane pine ka unke haath se mat lena. Aur kitna ho sake tum unse dur rehna. Kamre mein rehna please. I promise yeh sab jaldi khatam hi jayega. Lekin agar tumhare saath kuch ho gaya toh main ji nai paunga. Please Khushi promise me. Yeh log kuch bhi kar sakte hai inke pass koi dil nai hai

Khushi looks at Arnav. It was very rare of her husband to pour his heart out. He must be going through hell to speak like. She just hugs him. Arnav cries his heart out. Finally, once he is about to control himself. He looks at Khushi.

Hum wada karte hai Arnavji. Hum dadi se dur rahenge.

Normally, she would not promise such things but she knew Arnav needs assurance.

Khushi takes Arnav to bed. And lays next to him. Arnav takes her in his arms. In his thoughts promising never break down like this while Khushi needs him to be strong.

He grabs his phone and messages someone.

........

Bhai kya hua aapne itna late message kiya tha kal raat and aise hume yahan bulaya.

Arnav looks at Aman and Akash with swollen eyes.

ASR. Kya hua?

Aman, Akash. I want to discuss something very important with you guys.

Arnav fills them up on the events of last night. They both are dumb struck.

ASR kya plan hai.

Batata hu.

Piche k gate pe ek sensor lagana hai. Jabhi bhi gate khulega mujhe mere phone pe notification aayega.

Bhai aapke saath saath hum sab ko aana chahiye. Hum sab alert honege toh aacha hoga.

Ok Akash. Hum teen k alawa Payal and Di ko bhi main app de dunga. But unko please kehna k Khushi se kuch nai kahe. Jaise hi hume notification milega hum dadi aur Shyam dhundenge bt unhe pakdenge nai. Hume unka plan jaan unko range haath pakadna padega.

Ok ASR. Mere pass ek suggestion hai. Hum kuch undercover log. Ghar mein late hai. Naukar bana kar. Main kuch logo ko janta hu. Woh protect kar sakte hai ghar walo ko.

Ok Aman. But make sure sab bharose k log hi aaye.

Ofcourse ASR.

Aane do woh Shyam ko. I will kill that bastard.

............

Dadi asks Payal

Payal. Aap karva chauth toh karengi na kal.

Ha dadi. Bilkul.

Bt bitya apka aisan bhukha rehna thik nai. Yash abhi chota hai.
Nani intervines.

Dadi koi baat nai Yash ab 4 mahine ka hone aaya hai. Ab toh baby food bhi khata hai hum thik honge.

Thik hai bitya. But aapko lage thik nai lag raha toh sanchok na kijye ka khane mein.

Devyani. Vrat ka matlab hi woh hai k apni pati ki lambi upar k liye patni thodi peeda sehti hai.

Subhadra humne aapse pehle hi kahan hai. Humare bacho ko takleef na de. Warna hum bhul jayenge aap humari kya hai.

Thik hai aapki ghar ki bahu aap jane. But humari bahu ko hum bol sakte hai na.

Dadi looks at Khushi.

Khushi. Aap nai karenge vrat chote k liye.

Nai karegi. Kyunki uska pati keh raha hai.

The ladies look back at Arnav. Khushi gets tensed sensing the upcoming storm.

Aapke bhale k liye keh rahe hai chote. Aapki umar badhegi isse. Yeh patni ka pyar hota hai apne pati k liye. Ha bt aapke shadi mein kehna mushkil hai pyar hai bhi k nai.

Pyar toh main bhi karta hu Khushi se toh mujhe bhi vrat karna chahiye.

Arnavji aap kya bol rahe hai. Aap bhuke nai reh sakte. Aapka sugar level low ho jata hai.

Dekha aapne dadi. Umar bas vrat se nai badhti. Ek dusre ka khayal rakhne se badhti hai. Agar apne Khushi ko force kiya bhuka rehne toh main bhi bhuka rahunga. Kyunki aisi lambi umar nai chahiye jahan Khushi mere saath nai.

Thik hai aapka filmy natak ho gaya ho. Toh Khushi hume jawab de dijye aap kya karengi. Hum sargi banaye ya nai.

Khushi looks at dadi then at Arnav and back at dadi.

Dadi aap sargi banayi

Khushi

Ek min Arnavji. Dadi, hum vrat nai kar sakte but pooja fir bhi karenge humare pati k liye. And sargi toh chahiye.

Agar aap vrat nai karengi toh hum sargi nai denge.

Koi baat nai hum denge. Hum bhi Khushi bitya ki nani saas hai..

Subhadra fumes as everyone gangs up on her and leaves a huff.

She goes in her room and calls someone.

Karva chauth mein kaam ho jana chahiye. Karva chauth ki pooja k baad hoga shrad.

A story left incompleteWhere stories live. Discover now