Part 6

1.1K 41 5
                                    

Siddharth was working in his office. Asim called him.
Sid: Han bol.
Asim: Bhai kaha ho?
Sid: Office.
Asim: Main aaun?
Sid: Nahi office aakar kya karoge, raat me ghar aa jana.
Asim: Nahi bhai please, mujhe aap ko 2 good news deni hai... Please bhai.
Sid: Achha ab itna bol raha hai to aaja. Aise bhi abhi mujhe koi zaruri kaam nahi hai.
Asim: See, koi zaruri kaam nahi hai tab bhi mujhe aane se mana kar rahe ho. You are such a bad brother Siddharth Shukla!
Sid: Ab nautanki band kar aur aa jaldi.
He said this while laughing and asim was also laughing on the other side of the phone.
20 mins later Asim reached his office.
There was a knock on the door of Sid's room.
Sid: Aaja! Mujhe pata hai tu hai.
And he was right,it was Asim.
Asim: Wah bhai kya guess kiya aapne.
Sid chuckled. Asim sat in the chair in front of him.
Sid: Han to batao kaun si do good news deni hai.
Asim: Seedhe good news, pehle pucho 'asim kaise ho mere pyare bhai,kuch khaoge? Pizza order karwa doon?'
Sid made a face and was looking at him with a smile.
Sid: Asim ji , ye sab jo aap nautanki karte ho na, ab maza nahi aata hai.
Asim: Good good, thori comedy sikh rahe ho mujhse. I like it..
Sid: Kaam ki baat!
Asim: Hanji,to kaam ki baat no.1 Yuvi di ke liye rishta aaya hai,aur unhe di ke past se koi problem nahi hai.
Sid's eyes lit up.
Sid: Arey waah! par wo log achhe to hai na?
Asim: Mera bhi first question yahi tha. Ab mom dad ne choose kiya hai to kuch soch kar hi kiya hoga. Waise abhi official confirmation nahi mili hai. Wo log kal ghar aa rahe hai apne bete ke sath, fir agar dono ek dusre ko pasand karle to done hai.
Sid: Arey waah, lekin tu ladke k track record pata laga liyo haan, Aur mujhe nahi lagta koi bhi ladka is duniya ka humari yuvika ko reject kar sakta hai.
Asim: Arey bhai wo sab aap mujh pe chhor do, main in sab cheezon me bohot aage hoon. Bas milne do kal use,uske baat uski puri life history pata laga lunga.
Sid chuckled.
Sid: Kisi bhi cheez ki zaroorat ho na mujhe bolna. Yuvika ki shadi me koi kami nahi honi chahiye.
Asim: Ek kami to hogi hi bhai.
Sid: Kya? Tu bolna main abhi arrange karwa dunga. Kya chahiye?
Asim: Aap. Aap nahi honge shadi me.
Sid became quiet when he heard Asim. Asim was a prankster and comedian for sure, but he speakes heart striking phrases sometimes.
Sid: Main physically wahan nahi honga Asim, Dil se main humesha tum logo ke sath hoon. Bas ek baar awaaz laga ke dekh lena. Tum,yuvika,mahira tum teeno ko jab bhi meri zarurat pade na i'll always be there for you.
Asim: Ab senti mat karo bhai dusri good news baki hai. Main ro dunga to wo kaun batayega.
Sid: Pagal. Chal ab bata.
Sid took a glass of water to drink
Asim: I am in love.
Sid nearly choked on his drink.
Sid: Kyaa?
Asim: Itna shocking tha? I am inlove. Mujhe pyaar hogya hai.
Sid: Mazak mat kar. Is baar kitne dino ke liye 2 ya 3 ? installment me 1 2 hafte bhi chal sakta hai.
Asim: Nahi bhai, is baar shayad humesha ke liye. She is so pretty,she has such big beautiful eyes, perfectly shaped lips, long straight hair. Her smile can light up an entire room. She is just to beautiful to be real.
Sid: Kaun hai ye badnaseeb ladki?
Asim: Mujhe uske bare me kuch bhi nahi pata bhai. Bas maine use do baar dekha hai. Aur kuch bhi nahi pata mujhe uske bare me. I hope main use dubara dekh paun.
Sid: Kyun 2 baar jb dekha tumne to tumhara boy charm uspe kaam nahi kiya?
Asim: Nah, bilkul nahi, wo to ulta mujhse dur bhagti hai.
Sid started laughing.
Sid: Ye hi sudharegi tujhe.
Asim: But it's okay, main chahta bhi ni ki wo easy ho. I wanna impress her. I wanna show her how much I love her. I wanna win her slowly. She is not just some other girl.
Sid patted his shoulder.
Sid: All the best brother.
Asim: Thanks bhai, mera to hogaya set. Aap apna batao buddhe ho rahe ho din par din.
Sid: Mujhe interest nahi hai.
Asim: Huh.. Interest...
His phone started ringing.
Asim: Ek min bhai... Hello?
It was his mother.
Rakshanda: Asim. Ghar aao to yuvika ke sasural se log aane wale hai. Tum aao help kar do kaam me
Asim: Achha aaya mom.
He cut the call.
Asim: Bhai i'm going, wo log aaye hai. Main aapko sare updates dunga thik hai?
Sid: Thik hai Bye
And Asim left.

Meanwhile at Sid's home:
Divya and Sana were chilling as usual.
Divya: Aur tune wo movie dekhi hai Kalank?
Sana: Haan ,lives up to its name. Achhi filmein banana bhul gaye hai ye log.
Divya: Sachchi, ab jo hai hollywood hi hai.
Sana: I swear, chal aaj koi new series start karte hai.
Divya: Great idea. Chalo.
They were in Divya's room making the room perfect for a series run. Divya's phone started ringing. She looked at the name and made an awkward face
Divya: Sana tum room thik karo main snacks lekar aati hoon.
And she ran out. Sana found her behaviour very weird. But she didn't pay attention,she started making the bed. After all her work was done for a perfect movie night,she had to choose a series. She went to ask Divya what they are watching.
She went straight , Divya was in the kitchen but before entering the kitchen she heard some whispering.
Divya: Maine kaha tha na ki bina bataye call nahi karne. Abhi main fas jati tumhari wajah se. Sana ko pata chal jata to.
Sana(to herself): Kya chhupa rahi hai ye sabse?
Divya: Abhi main nahi aa sakti, i've promised Sana a movie night. You should've told me earlier na. Okay bye i'll talk to you later.
She went outside the kitchen and saw Sana standing.
Sana: sorry, i was eavesdropping, kahi jana hai to chale jao hum movie kal bhi dekh sakte hai.
Divya: Nahi nahi thik hai. Chalo na hum room me chalte hai. Kahi nahi jaana
Sana: Divya tum kisse baat kar rahi thi. You call me bestfriend,mujhe to bata sakti ho.
Divya: Han you're right. Room me chalo.
They went to her room.
Divya: I was talking to my boyfriend Sana.
Sana: Oh , pr maine jab pehle tumse pucha tha to you said you are single.
Divya: Ghar pe kisiko nahi pata. You know na how strict bhai is. Unhe ye bilkul mat batana sana. Unhe ye sab bilkul bhi nahi pasand.
Sana: Are you stupid main unhe kuch bhi kyun bataungi. Waise who is he?
Divya: Varun, hum college me sath the and now we are interning together.
Sana: Wo tumhe milne bula raha tha?
Divya: Han he said ghar pe koi hai nahi, we can hangout at his place.
Sana: To jao .
Divya: Nahi i promised you ki hum abhi kuch dekhenge.
Sana: Arey its okay baba. Koi baat nahi, main yahi rehti hoon. Tum jao milne mujhe bura nahi lagega.
Divya: Pakka?
Sana: Pakka.
Divya hugged her in happiness: Thankyou so much Sana, you are the best.
Sana: Par mujhe bhi milwana kabhi okay?
Divya: Haan pakka.
Divya got ready and left to meet Varun.


You all must be waiting for Sana's apology part . I'll write it in the next part.

Broken Ties.Where stories live. Discover now