BONDITA IS AWARE

2.6K 88 14
                                    

When kaka sasur ji and aniruddh was having a conversation, bondita got up and she was getting down the stairs. Now she heard the sound and asked kaka sasur ji about the matter.

Kaka sasur ji: kuch nahi bahu aise hi

Aniruddh : kya kuch nahi kaka mein bathaunga bondita

Kaka sasur ji : kabardar agar kuch bataya toh . Tum jho soch rahe ho woh nahi hoga . Aur bahu ko tumhare pagalpan mein math gasito.

Aniruddh : ( ignoring every thing) to bondita : bondita aaj joh mein kehna chahta hoon woh maine sirf tumhare balayi ke liye hi socha hein.

Bondita : kehiye na pati babu. Aap jo kahenge mere balai ke liye hi kehenge mujhe pata hein.

Kaka sasur ji : chup hojao aniruddh

Aniruddh : nahi kaka mein chup nahi hounga .  Mujhe Kehne dijiye.

Bondita : kya hua aap kaka sasur ji ko aisa kyun bol rahe hein.

Kaka sasur ji sits on the sofa keeping his hands on his head. Bondita was in a confused state and aniruddh was in a way to speak about his decision .

Aniruddh : deko bondita mein ek faisle mein aaya hoon ki hum dono ka divorce hojana chahiye.

Bondita : kyaaaaa!!!!!!! Mera matlab kyun pati babu, kya hua , maine koi galati kar diya kya. Please pati babu kya hua aise hi achanak( she was in a deep grief)

Aniruddh : nahi bondita maine kaha tha na tumhe mein independent aur bold banana chahta hoon. Tumhe nidarr jo kisi ke bhi sahare ke bina jee sake waise ladki banana chahta hoon.

Bondita :  par pati babu maine bachpan se hi sirf aap dhike hein. Aap hi mera sab kuch ho. Aapke aage ya piche kuch bhi mujhe nahi diktha . Aap hi mere sansaar ho pati babu.
( Tears roll out)

Aniruddh :mujhe isika toh darr tha bondita.  mujhe tumhe  baandke nahi rakna hein. Azadh karna hein . Tumhe hak hein bondita kul ke jeene ki. Aur mujhe poora vishwas hai tum par bondita ki tum mera sath dogi. Rona bandh karo bondita , padaai shuru karne se pehle bhi aise hi tumne roya tha. Phir tumne thoda thoda karke sikha aur jaana. Waise hi samjho isse

Bondita : par pati babu mein...kya kahoon......mujhe toda samay dijeeye pati babu . Mujhe sochna hein. ( She was in a state as if her world is down )

Aniruddh : mein jake court mein divorce ke baare mein details dekh ke aaana chahtha tha par tumhe time chahiye na . Mujhe laga ki tum mere sath dogi. Phir bhi Bondita tumhe pura azadi hein sochne ke liye bhi. Toh mein kuch dusra kam dekh kar aata hoon.

Kaka sasur ji : maine tumhe usse puchne ke liye kaha tha . Abhi samajh mein aaya kya maine kyun bola ek baar puchne ke liye. Abhi yeh faisle ko baad mein dekenge. Bahu nahi chahti hein ki tum dono ka divorce ho.

Aniruddh : kaka pls kaka aap samajhiye na yeh bohoth zaroori hai. Bondita ke liye aur mere liye bhi. Bondita jaldi tumhara decision kehna tik hein. Mein chalta hoon.
Aur doosri bath bondita ke kehne se pehle aap uske taraf ka faisle ko math boliye pls. Aapko jaldi samajh mein aayega ki mein kyun yeh keh raha hoon.

When they were having the conversation bondita without saying to anyone went to her room and locked the door.

Barrister Babu Fan FictionWhere stories live. Discover now