Promise

1.3K 153 33
                                    

Haseena came out of the hospital and saw a temple outside the hospital. She was moving like a body who has no soul. It was just breathing but her heart was not beating. She sat down on the floor in the temple. The priest came near and saw her broken state.

He took the pooja thal and forwarder it towards Haseena. Haseena looked at him. He smiled.

Priest: Beta ye prasad lo. Bhagwan sab thik kar denge. Bas unpe bharosa rakho.

Haseena looked at the thal in his hand. She took a bit of the prasad and touched the priest's feet. She stood up and went near the idol of the god hands folded in front of her.

HM pov: Ye sab kya ho gaya. Anubhav.... Agar unhe kuch ho gaya to hum kese jinda rahenge. Uske bina to hum mar jayenge. He bhagwan aap unki saari problems aur ye bimari bhi mujhe de do bas unhe thik kar do. Unhone mere liye itne dard sahe. Esi halat me bhi unhone mera socha aur ek me hu jo keval unpar gussa kar rahi thi. Kar waqt unhe ganda bolti thi. Unka dil kar waqt tuta hoga jab wo jis insan ke liye itna bada natak kar rahe he wo hi unse nafrat kar raha he ye dekh kar. Hum maafi ke layak hi nahi he bhagwan. Hume ye kehne ka hak hi nahi he ki hum unse pyaar karte he kyuki jab unhe hamari sabse jyada jarurat thi tab hum unke sath nahi the. Gusse ki esi patti aakhon par bandh li ki unki aakhon me chupa pyaar dekh hi nahi paaye.

She remembered his gaze on her, his protectiveness when she was going to Asad, his meaning behind his goodbye. She clenched her fist. She hated herself for not being able to see his pain

HM:Unka wo hume dekhna, har waqt protective rehna, unka wo kehna ki har waqt wo hamare aas pass hi rahenge is sab ke baad bhi hume samajh nahi aaya. Saari galti hamari he to saza unhe kyu? Aap saja bhi hume do na. Wo kyu sahe sab kuch. Nahi ab nahi. Ab hum unke upar ek aanch tak nahi aane denge. Is waqt se bahar niklenge hum dono ye wada he mera aapse Anubhav. Aur is baar sab sahi hoga. Hum kuch galat hone hi nahi denge. Har waqt aap hamari dhaal bane he is baar hum banenge. Bhagwan ji ye Haseena Malik aaj aapke saamne ye promise kar rahi he ki me Anubhav ko to ab kuch bhi nahi hone dungi. Ha kam he lekin chance to he na. Aur us chance par mujhe yakeen he. Bohot pariksha de di hamare pyaar ne. Ab ham thak gaye he aur ab keval khushiya hi hongi hamari life me. Ye hamara promise he aapse Anubhav ki ab hamari life me chahe kitni bhi muhskile aaye hum sath honge. Ab hum kabhi alag nahi honge.

The priest came and put his hand on her head.
Priest: Bhagwan tumhari saari takleefe khatam kar de.

Haseena closed her eyes. She thanked the priest and once again entered the hospital. She saw Karishma along with Maa, Cheetah, Santosh and Pushpa ji standing there. She saw an unknown face and assumed him to be Karishma's husband.

Karishma saw her and ran to her. She hugged Haseena tightly.
KS crying: Maddam sir Anu bhaiya...

Haseena broke the hug and looked at Karishma.
HM: Karishma Singh unhe kuch nahi hoga. Aur ye hamari umeed nahi hamara vishwas he. Is baar hum unhe kuch hone hi nahi denge.

Karishma looked at Haseena and nodded. Haseena looked at Maa who was sitting there crying. Pushpa ji was consoling her.

Haseena went near her and sat down on her knees. She held Maa's hand. Everyone looked at her.

HM: Maa aapne humko apni beti mana he na. Sagai wale hadse ke baad bhi aapne humse kaha tha ki chahe kuch bhi ho jaye hum hamesha aapki beti hi rahenge. To bas apni is beti ke vishwas par vishwas rakhiye. Kuch nahi hoga unhe. Hum aapki beti Karishma jitne pakke to nahi apne waade ke lekin ha is baar hum sab sath milke hamare is waade ko pura karenge. Anubhav sir ko hum sab ke liye theek hona hi hoga.

Everyone looked at Haseena. Her love was inside the operation theatre and her she was giving hope to everyone else. Maa kissed her forehead.

SS: Ye hamari Maddam sir he.

CC nodded: Sabse strong.

KS: Apne abbu ki sherni.

Their talks were stopped when they saw the lights of the operation theater turning off. Everyone waited for the doctor. Haseena closed her eyes.
Abhishek held her hand. She looked at him. She tried to take her hand out of his hold but he didn't let her and instead tightened his grip. Loosing she held his hand back tightly. He smiled.

KS: Doctor bhaiya ko kya hua? Matlab ese achanak se beshosh.

Doc: Aap sab cabin me aaiye.

Everyone nodded.

In cabin
Doc: I think aap sab unki health condition, I mean unke brain me jo clot he usko leke aware honge.

Everyone nodded with a sad face.
Doc: Dekhiye I know ye aap sab ke liye sunna aasan nahi hoga lekin unke bachne ke chances bohot kam he.

Karishma's husband - Vyom Singh

VS: Doctor Anu bhaiya hamare liye bohot jaruri he. Aap kuch bhi kariye bas unhe thik kariye.

Doc : Actually me aapse usi se related baat karna chahta tha. Mr Anubhav Singh ki previous reports mujhe Miss Roshni ne dikhayi he. Brain me clot bohot bada he jisse unki memory aur normal day to day activities par asar pad raha he. Aur aage jake ye problem aur badhegi. Lekin hamare pass ek option he. Darasal Mumbai ke top hospital ke best neurosurgeon do din baad hamare hospital me kuch surgeries ke liye aa rahe he. Mene unse Anubhav ke baare me baat kari aur unhone inka operation karne ke liye agree kar diya he. Lekin ha ye operation bohot expensive he.

Abhishek spoke in between.
AV: Doctor aap paiso ki koi bhi chinta mat kariye. Jo bhi kharcha hoga wo hum pay kar denge. Best se best doctor se aap Anubhav ka ilaaj karaiye. Bas unhe thik kariye.

Doc: That's the main thing. Operation me unke survival ke chances kam he. And even if by god's grace he survives than he might loose his memory. I know aap log soch rahe honge ki chances agar operation ke baad bhi kam he to what's the point of it. Dekhiye Anubhav ki halat bohot nazuk he. Agar us clot ko operate nahi kiya gaya to uski size aur badi ho jayegi jiske baad humara unhe bachana namumkin ho jayega. So I personally suggest you that you undergo this operation kyuki isme thode hi chances of survival he. I will give you guys a minute to decide. Aap log baat kar lijiye aur bata dijiye taki me aage senior doctor ke operations line up kar saku. Aur ha abhi Anubhav ko thodi der me hosh aa jayega. Phir aap sab ek ek karke unse mil sakte he.

Saying this the doctor exited the cabin. Everyone looked at each other. All of their faces showed fear.

HM: Operation hoga.

Everyone looked at her.
HM: Bina operation ke to koi chances nahi he. Aur hume us upar wale par bharosa he ki is baar wo kuch galat nahi hone dega. Is baar mera vishwas hi jeetega aur mera promise pura hoga.

Maa came near her and cupped her face.
Maa: Aur is baar Anu ke thik hote he dono ko bandh ke sidha shaadi ke mandap me bitha dungi me. Ab aur der nahi karni mujhe.

Haseena looked at her and smiled. Everyone smiled.

They informed the doctor and he made the arrangements for the operation that was scheduled after two days.

Listening To Heart 💕💕Where stories live. Discover now